Puraani Car 2

(HuKhan, Karachi)

Humein Dostun Nay Bata Rakha Tha Balkay Yun Kehiye Samjha Rakha Tha Kay Puraani Car Aur Puraani Bv Dono Bahut Tangh Kartein Hein Hum Nay Socha Kia Pata Adhee Baat Hee Sach Hu Aur Puraani Car Lay Hee Daali Saree Umar Cycle Yeni 2 Wheeler Kay Adee Thay ,,,,,,,,,,,,Nacha Na Janay Anghan Terha ,,,Bandar Kia Janay Adrak,,,,,,,,Gadha Kia Janay Zafraan Hum Nay Ye Sabh Par Rkha Tha Magar Hath Kanghan Ko Arsee Kiya Paray Likhay Ko Farsee Kiya Ye Humaray Demagh Mein Zayda Perfect Fit Tha Car Dekhnay Mein Tu Achi Bhali Thee Ubh Chalnay Mein Keci Thee Ghaieb Ka Ilm Tu Humein Thaa Nahi Barhaal Hum Din Raat Ju Sapnay Dekh Rahay Thay ,,,,,,,,,,Meray Sapnu Ki Raani Kab Aye Gee Tuu,Chali Aa Tu Chali Aa,,,,,,Wo A Gai Thee Ubh Humein Yaqeen Hu Chala Tha Muhalay Ki Langhree Lolee Kali Kaloti Behanghi Totli Motee Sukhi Ju Ya Jin Ki Shadi Huni Wali Thee Ya Ju Unqareeb Bewa Hunay Wali Thee Humein Humaree Cycle Ki Waja Say Lift Nahi Detein Thee Ubh Wo Sab Din Raat Humaray Deedaar Ko Tarsein Gee Aur Hum Un Sab Ki Ankh Ka Chand Tara Motiya Kajal Mail Sab Ka Sab Hum Hee Hun Gay Hu Sakta Hay Kay Humein Apna Makaan Hee Kici Posh Area Mein Hee Naa Laina Par Jaye Apna Makaan Tu Hum Nay Bas Asee Hee Keh Diya Matlab Rent Wala Makaan Chore Kay Kici Aur Kia Kaha Ek Kamray Ko Makaan Nahi Kehtay Acha Bahi Par Ek Car Ko Tu Ek Car Hee Kahein Gay Na,,,,,Subah 4 Bajay Hum Uth Kay Apni Soo Feesad Apni Car Ko Ju Kay Tyres Say Lay Kar Chath Tak Pori Ki Pori Humaree Thee Dhunay Lagay Qun Kay Commitee Kay Nalkay Mein Pani Ata Hee 4 Se 5 Tak Tha Uss Kay Baad Us Mein Serf Hawaein Shaein Shaein Karty Thee Yeni Nalka 5 Bajay Kay Baad Fan Kaa Kaam Deta Tha Car Ko Nehlanay Kay Baad Hum Nay Apni Service Bee Karni Thee Maaaf Kijye Ga Hum Nay Nahnaa Tha Car Ki Service Huni Thee Hum Nay Ajh Tak Petrol Nahi Khareeda Tha Car Anay Kay Baad Petrol Ki Price Sun Kay Humara Munh Asa Hu Gia Jasay Kici Bewaah Ki Chapal Toti Hui Hu Dost Ko Bulaya Jis Ko Driving Aty Thee Uss Kay Sath Petrol Pump Gaye Gallon Mein Petrol Laye ,,,Jabh Hum Nay Pump Walay Say Kaha Humaree Car Kay Liye Iss Mein Petrol Bhar Dijye Uss Nay Humein Asa Dekha Jasay Koi Bandar Or Baqree Ka Tamasha Dekhta Hay Kher Hum Nay Car Mein Laa Kar Petrol Dala Kambakht Asa Laga Kici Kunwein Mein Ya Darya Mein Lota Undail Diya Hu Petrol Asay Gaheib Hua Jasay Kici Ghareeb Ki Salary 1st Ko Hee Nayaab Hu Jaty Hay Humaray Dost Nay Car Start Ki Uss Mein Say Pehlay Tu Asee Awaaz Ayee Jasay Humaree Perosan Apnay Bachun Ko Apna Miaan Samajh Kay Peetee Hay Tu Bachun Or Un Kay Abaa Kay Munh Say Course Kay Andaaaz Mein Aaah O Baqaa Nikalty Hay Jis Say Pora Muhala Laraz Jata Hay Car Kay Abhee Bhut Say Kamaal Baqi Hein Ju Pher Arz Krun Ga

HuKhan
About the Author: HuKhan Read More Articles by HuKhan: 1124 Articles with 1196127 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.