Tum Kitnay Bhookay Maaru Gay Har Ghar Say Bhooka Niklay Ga

(HuKhan, Karachi)

W H O Nay Ek Report Publish Ki Hay Jis Mein Watan A Aziz Kay Loghun Kay Baray Mein Hairat Angaiz Inkishaafaat Kiye Gaye Hein Hum Ju Apnay Aap Ki Fiqar Mein Dubhlay Huay Jaa Rahay Hein Jis Ka Print Or Electronic Media Din Raat Dubhla Hunay Ka Parchaar Karta Rehta Hay Tv Kay Morning Shows Mein Loghun Ko Gora,Dubhla,Khubsorat Or Purkashish Nazar Anay Kaa Jihaad Iss Tawatar Say Kiya Jaa Raha Hay Jasay Humara Bunyadee Masla Roty Kapra Makaan Sehat Taleem Nahi Balkay Mazkoora Tehreer Kiye Gaye Masaaeil Hee Hein,,Sharam Tum Ko Magar Nahi Aty.W H O Kay Mutabiq Humaray Haan Kay Nonehaal Ki 41% Tadaad Ghizaiee Qilat Ka Shikaar Hay Adults Mein Ye 51% Hay Duniya Mein Kam Ghiza Khanay Walun Mein Humara 78 Number Hay Kam Say Kam 2100 Calories Daily Har Insaan Ki Laazmi Zarorrat Hay Jabh Kay Kam Say Kam 1700 Calories Tu Laazman Hee Chaiye Magar Watan Aziz Mein Iss Ki Quantity Bee 1400 Calories Say Kam Hein Afriqi Mulk Ghana Bee Duniya Mein Humaray Sath 78 Number Par Hay Ubh Aap Andaza Laga Lijiye Hum Kaha Khuray Hein Jabh Kay Hum Ek So Called Agriculture Mulk Hein Jis Kay Pas Saray Mosam Sona Ughalty Zameeen Hay Jis Kay Paas Khoon Paseena Ek Kar Denay Wala Kisaan Hay Pher Asee Kia Wajoohaat Hein Kay Hum Iss Halat Mein Hein ,,,,Hukmamarnu Say Kehta Hun,,,Tum Kitnay Bhookay Maaaru Gay Har Ghar Say Bhooka Niklay Ga.Agar Hum Ye Par Chukay Hein Sound Mind Exixts In A Sound Body,,,,,,Pherkamzoor Laghir Jisam Say Tu Hum Laghir Doctor Engineer Player Artist Hee Paida Karein Gay Duniya Kaa Muqaablay Karnay Kay Liye Hum Khaak Tyaar Hun Gay Humein Tu Khud Say Hee Shikast Hu Jaye Gee ,,Apnay Wajoodh Ko Hee Dhundhta Raha Jabh Tofaan Aya.Milawat,Corruption,,Energy Crisis ,Favourtism,Econimical Crisis Aur Unfair Society Nay Humein Kaha Laa Khara Kiya Hay Ajh Hum Apnay Bachun Ko Bee Pori Ghaza Nahi Dey Saktay Pher Taleem Tarbiat Kia Khaak Dein Gay In Bachun Kaa Serf Ek Ye Hee Qasoor Hay Kay Wo Pakistan Mein Paida Hu Rahay Hein Jahan Hum Jasay Barun Nay Un Kay Liye Koi Roshan Misaal Qaim Nahi Ki Hay Hum Un Kay Asay Mujrim Hein Jinhein Apnay Jurm Par Naa Tu Sharmindeghi Hay Or Naa Hee Ehsaas E Jurm Hay

HuKhan
About the Author: HuKhan Read More Articles by HuKhan: 1124 Articles with 1197104 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.