Sahib ,,Parnay Say Dar Nahi
Laghta ,,,Magar Likhnay Say Laghta Hay,,,Jabh Say Hum Nay Ye Dialogue Suna
Humein Likhnay Sey Ishq Saa Hu Gia,,Magar Masla Ye Tha Kay Hum Kia
Likhein,,,Application Tak Tu Likhna Atee Nahi Thee Werna Dak Khanay Kay Baher
Baith Kay Khat O Kitabat Arziaan Hee Likh Detay ,,,Ek Dafa Hum Nay Hakeem Jalebi
Khan Ko Jabh Wo Pechli Sadee Mein College Mein Hua Kartay Thay ,,Un Kay Behad
Israar Par Ek Love Letter Likh Kay Diya Tha Jabh Say Wo Hum Say Ubh Kuch Nahi
Likhwatay Balkay Hum Nay Tu Yahan Tak Suna Hay Humaray Letter Kay Jabh Nataeijh
Samnay Aye Tu Wo Mahinu Humein Jaan Say Maarnay Kay Liye Dhundhtay Rahay Wo Tu
Hum Race Mein Jamican Olympic Champion Sen Bolt Say Bas Zara Kuch Seconds Hee
Slow Hein Aur Hakeem Jaleebi Khan Sahibh Apnay Alloo Numa Jusay Ko Jisay Urf E
Aam Mein Jisam Kaha Aur Pukaara Jata Hay Balkay Likha Aur Parha Beee Shaied
Jisam Hee Jata Hay ,,,,,Jaleebi Khan Jabh Humein Kahein Dekh Laitay Thay Tu Jaan
Say Marnay Ko Dourtay Thay Iss Douraan Jabh Wo Dournay Ki Koshish Kartay Thay Un
Ka Pait Jisay Logh Tond Bee Kehtay Hein Agay Pechay Hu Jata Tha Balkay Hakeem
Jaleebi Ka Pait Baaz Dafa Waheen Reh Jata Tha Aur Hakeem Sahibh Agay Nikal Jatay
Thay Wo Becharay Pher Palat Kay Apna Pait Uthanay Jatay Thay Iss Tra Say Hum Ajh
Tak Zinda Hein Werna Ubh Tak Hum Janaty Hu Chuckay Hutay Humaree Janat Aur
Duniya Kay Darmiyaan Bas Yun Samajhiye Hakeem Ka Pait Aa Gia.Bas Qisa Kuch Yun
Hay Kay Hakeem Hum Say Umar Tajrabay Wazan Mein Bahut Zayda Hein Magar Chonkay
Hum Unn Ki Hikmat Kay Azeem Magar Jhootay Qisay Har Khas O Aam Ko Sunatay Thay
Aur Kabi Jabh Pasun Ki Zarorat Zayda Hutee Thee Tu Hum Un Kay Dawakhanay Kay
Eshtehaar Say Poray Shaher Ki Deewarein Pull Bhar Diya Kartay Thay Hakeem Humein
Har Kaam Ka Commission Detay Hein Isi Liye Humaray Aur Un Kay Darmiyaan Ek
Karobaari Reshta Bee Hay,,,,Han Yaad Aya Humaree Jaan Kay Wo Dushman Kuch Iss
Tra Hu Gaye Thay Kay Ju Love Letter Hum Nay Un Ko Likh Kay Diya Jis Larki Ko
Diya,,,,Wo Tu Hakeem Par Du Lanat Bejh Chuki Thee Magar Larki Ki Khala Ju Hakeem
Ki Shikayat Karnay Unn Kay Ghar Gein Thee Unhun Nay Banfas E Nafees Khud Hakeem
Sahibh Ko Kam Az Kam 12 Jutay Du Dafa Maray Kia Kaha 2 Dafa Qun Maray Ubh Asa
Bee Nahi Kay Wo Beyhad Zalim Thein ,,Nahi Bilkul Bee Nahi ,,Magar Maar Kutaiee
Ki Dhakam Peil Mein ,,Qun Kay Hakeem Ki Maa Aur Muhalay Kay Chand Sharartee
Bachay Jin Mein Hum Bee Shamil Thay Sab Kay Sab Hakeem Ko Jution Say Nawaaz
Rahay Thay Iss Douraan Larki Ki Khala Ju Kay Asal Zalim Aurat Thee Wo 8 Kay Baad
Counting Bhool Gein Bas Pher 1 Se Shuro Karna Para,,,Qisa Mukhtasir Bas Isi
Qurbat Mein Larki Ki Khala Hakeem Sahibh Par Ashiq Hu Gein Huty Bee Qun Naa Wo
Khat Kis Nay Likha Tha,,,,,Ajee Hum Nay,,,Baat Hay Tu Ghroor Karnay Ki Magar
Qasam Lay Lijiye Hum Nay Ju Kabi 3gm Ghror Bee Kiya Hu,,,Bas Baat Jutay Bazi Say
Ankh Bazi Tak Pohanch Gai Bas Chat Biah Aur Patt 6 Adad Hakeem Numa
Bachay,,,,,,,Boliye Hum Writer Qun Kar Na Bantay,,Kia Kami Hay Humaree Likharee
Hunay Mein.