21 Nov Ko Television Day Manaya
Gia Siaanay Kehtay Hein Kay Tv Aur Bv Mein Bas Itna Saa Farq Huta Hay Kay Tv Ka
Switch Off Huta Hay Jabh Kay Ye Sahulat Bv Mein Dastiyaabh Nahi Hay Ye Bacha Ubh
Kafee Jawaan Hu Gia Hay Aur Ye Itna Laazmi Hu Gia Hay Kay Ghar Mein Iss Kay Liye
Lounge Banaya Jata Hay Ju Zara Ghareeb Kisam Kay Ghar Hein Mera Matlab Jin Kaa
Pora Ghar Hee Bamushkil Hee Lounge Kay Barabar Huta Hay Wahan Bee Iss Kay
Shayaan E Shaan Jagah Bana Dee Jaty Hay Kay Tv Bahi Ko Zara Bee Bay Araami Na Hu
Ghar Mein Khanay Ki Table Hu Na Hu Tv Kay Liye Table Kursee Sab Kuch Lazim
Ehtemaam Huta Hay Ghareeb Admi Bee Dawaiee Lay Naa Lay Tv Zaror Laita Hay
Pakistan Mein Tv Ki Paidaash 1964 Ko Huee,,Konsa Hospital Tha Ya Konsee Doctor
Thee Iss Kaa Kuch Zayda Ilm Nahi Hay Barhaal Iss Waqt Pakistan Mein 100 Say
Zaied Channels Hein Ju Hum Pakistanio Kaa Sabar Azmaatay Rehtay Hein.Hakoomat Ko
Tv Zayda Pasand Nahi Ata Magar Jabh Ye Hee Hakomat Jabh Oposition Kaa Hisaa
Hutee Hay Tu Tv Un Ka Sab Sey Ladllaa Bacha Huta Hay Magar Jabh Ye Oposition Say
Hakoomat Ki Sehree Chartee Hay Tuu Tv Hakoomat Kay Liye Sokan Jasa Hu Jata Hay
Pher Wo Serf Uss Time Dekhtee Hay Jabh Wo Koi Jhoota Hee Sahi Magar Pheeta Kaat
Tee Hay Ya Pher Jabh Usay Din Raat Lakhun Kharch Kar Kay Awaam Ko Apnay
Hakoomatee Kaarnamay Batanay Hutay Hein Tu Wo Apnay Eshtahraat Mein Cheekh
Cheekh Kay Bata Tee Hay Kay Humaray Anay Say Pehlay Aloo Kia Rupay Kilo Tha
Piaaz Tu Milta Nahi Tha Kadu Tu Hum Nay Itna Aam Kar Diya Hay Kay Har Shakhs
Kadu Sa Hu Gia Hay Ek Dafa Ek Gernal Sahibh Nay Ju Kay Khud Sakhta Taraqee Kar
Kay Mulk Kay Chief Executive Ban Gaye Thay Un Say Kici Nay Pocha Aap Kay Anay
Say Loghun Nay Kis Qadar Taraqee Ki Hay Wo Bolay Itnay Hazaar Cell Phone
Pakistani Saal Mein Khareed Tay Hein Iss Se Zayda Taraqee Kia Hu Gee Har
Hukmaraan Jabh Bee Hakoomat Mein Ata Hay Apni Ainak Sath Lay Kar Ata Hay Koi
Cell Phone Aur Koi Aloo Kay Rate Bata Kar Apni Taraqee Kay Guun Gata Hay Har Ek
Kaa Taraqee Napnay Ka Paimana Apna Apna Hay,,,,Inn Halkay Nikamay Hukmaranu Kay
Nazdeek ,,Taleem,,Sehat,,Rozgaar,,,Pani .....Bijli.Gas,Exports...Kaa Taraqee Sey
Koi Khaas Taluq Nahi Bas Cell Phone Aur Aloo Hee Behtareen Scale Hein.