Kuch Mendakun Ki Kisam Asee
Hutee Hay Ju Aap Ko Saal Bhar Mein Ek Dafa Hee Nazar Atay Hein Baqi Saal Wo Asay
Ghaieb Hutay Hein Jasay Gadhay Kay Sar Sey Saingh Ghaeib Hutay Hein Aap In Ko
Moqa Parast, Zamana Shanaas, Shaatir, Chalaak, Chalay Kaminay Keh Liijiye .Ye
Aap Ko Mazhabi Tahwaroun Par,Shadion Par, Mout Par, Election Kay Dinu Mein
Bakasrat Nazar Aein Gay Ye Moqa Dekhtay Hee Waardat Kartein Hein Aur Pher Ghaeib
,,,Kabi Ye Hamdard Kay Roop Mein Kabi Maseeha Kay Roop Mein Nazar Aein Gay
Wardaat Ki Aur No Du Gayraa .Insaan Ka Almiya Ye Hay Agar Koi Dukh Hay Tu Juun
Hee Koi Dukh Bantnay Wala Mila Insaan Ussi Kaa Hu Jata Hay Koi Moqaa Dekh Kay
Aap Ki Madad Ko Aye Ga Tu Ap Uss Ki Madad Ko Duniya Mein Sab Say Bara Sahara
Samajh Laitay Hu Kuch Logh Train Kay Safar Ki Tra Hutay Hein Kuch Ghantay Sath
Guzaray Aur Asaa Laghnay Laghta Hay Wo Ap Kay Barsun Kay Shanasa Hun Magar Juun
Hee Kici Ki Manzil Qareeb Ayee Wo Asay Ghaieb Hua Jasay Uss Ka Wajooodh Hee Naa
Tha Insaanu Ka Almiya Ye Hay Kay Wo Dukhun Ku Dard Mein Badal Deta Hay Aur Pher
Dard Ko Sambhalay Sambhlay Pherta Hay Yahan Tak Kay Har Khushi Mein Bee Usay
Ansoo Nazar Atay Hein Aur Khushi Ko Bee Wo Kici Dard Ka, Dukh Ka Peshkhema
Samajh Kay Dard Bana Laita Hay Kabi Ye Dard Mazi Ka Huta Hay,,Kabi Dil Laghee Ka
Huta Hay,,Kabhi Apnay Unn Adhuray Khabun Ka Dard Huta Hay Ju Uss Kay Kabi Thay
Hee Nahi Bas Yun Samajh Lijiyee,,,,,,,,,,,Kia Karun Ansoo Bahay Bina Neend Hee
Nahi Atee,,,,,Badhsha Ki Beitee Serf Ek Mujhay Hee Nahi Chahtee.Insaan Bas Apnay
Haal Ki Nisbat Mazi Sey Zayda Piaar Karta Hay Naiee Bemari Anay Kay Baad Puraani
Bemaari Achi Laghnay Laghtee Hay Jabh Insaan Kamzoor Hu Jata Hay Pher Ye
Barsaati Mendak Uss Ka Shikaar Kartay Hein Ju Serf Apnay ALLAH Par Bhrosa Kartay
Hein Pahrun Aur Malaown Sey Dour Rehtay Hein Wo Hamesha Khud Par Yaqeen Rakhtay
Hein Ye Hee Yaqeen Unhein Khudshansee Aur Iqbal Ki Khudi Kay Falsafay Say
Roshnaas Karwa Detay Hein Meray Dostu Khud Par Yaqeen Karna Seekh Lo Koi
Barsatee Mendak Ap Kay Qareeb Bee Nahi Aein Gay.Khud Par Reham Khaana Ya Khud Ko
Mazloom Samajhna Chore Dijiye.