Hum Logh West Say Bahut Zayda
Mutasir Hein Ya Yun Keh Lein Kay Hum Mutasreen E Maghrib Hein Unn Ki Apnaiee Hui
Har Chese Hum Foran Apna Laitay Hein Kha Wo Koi Beemari Ya Kaprun Ki Almaree Hee
Qun Na Hu Un Ko Apnee Ammi Yaad Aye Tu Mothers Day,,Ghaltee Se Abbu Bee Yaad Aa
Jaein Tu Fathers Day Agar Mehbooba Yaad Aa Jaye Tu Valentine Day Announce Kar
Detay Hein Mehbooba Un Ko Yaad Atee Hay Phool Pakistan Mein Naapaid Hu Jatay
Hein .Ubh Unn Ko Bacha Khucha Ya Yun Keh Lein Third Class Maal Nahi Biq Raha Tha
Tu Un Loghun Nay Sab Ki Ankhun Mein Dhool Jhonkni Thee Yeni Andehra Karna Tha Ya
Yun Keh Lein Kali Mirch Daalni Thee Tuu Friday Ko Black Kar Diya Logh Har Kali
Kalotee Ya Yun Keh Lein Har Bogus Kisam Kaa Maal Basad E Khushi Sale Kay Naam
Par Khareed Kay Lay Aye Isi Naqal Kay Chakar Mein Ek Report Kay Mutabiq
Pakistani Qom Ko Bee Humaree Tajir Biraadree Nay Sara Choona Laga Diya Ubh
Market Sey Choona Bee Nayaab Hu Gia Hay Pehlay Jabh Humein Koi Kaam Nahi Karna
Huta Tha Tu Hum Asay Kaam Ko Kali Jumayraat Ka Din Bata Diya Kartay Thay Ubh
Humein Jabh Bee Choona Lagana Hu Ga Ya Pher Lakhun Rupay Kaa Teeka Lagana Hu Ga
Tu Black Friday Manaa Liya Jaye Ga Wesay Tu Pakistani Qom Kay Tajhir Kab Say
Choona Laga Rahay Hein Pata Nahi Kitnay Black Friday Iss Qom Kay Guzar Chuckay
Magar Ubh Kam Se Kam Qom Ko Ek Din Ka Pata Hu Ga Kay Inn Ko Choona Laga Diya
Giya.Wesay Tu Humaree Qom Teekay Ya Injection Say Bahut Dartee Hay Magar Ye
Black Friday Ka Teeka Bakhushi Laghwa Letee Hay.Har Teeka Black Friday Saa Kahaa
Huta Hay,,,,,Kia Hua Bas Saal Mein Ek Dafa Hee Tu Huta Hay.Hum Logh Goray Ki Har
Chese Apna Laitay Hein Hair Style,Zubaan,,Dishes,,Perfumes,,Fashion,,,Jutay Sab
Kuch Bas Nahi Apnatay Tu Un Ki Corruption Say Nafrat,Hard Working,,,Apnay Shaer
Aur Watan Say Muhabat ,,Asool Pasandi,,,Bas In Chesun Say Hum Unn Ki Nafrat
Kartay Hein ,,,,Iss Qadar Nadaan Hun Mein,,,,,Sarak Par Para Thokhdaan Hun
Mein,,,Kici Boseeda Say Shaier Ka Armaan Hun Mein,,,,,Pher Bee Bara Hee Azeem
Insaan Hun Mein,,,Har Baat Par Kehta Hun Mini Pakistan Hun Mein