Azadi Aur Taraqi Ke Bawajood
Aurat Par Tashadud Abhi Tak Khatam Nahein Hosakien. Tasadad Ke Maney ( Meaning)
Mekisi Ko Zabardasti Zulm O Jabar Ka Nishana Banane Ke Hain, Lakin Agar Sirf
Aurat Ke Hawale Se Baat Ke Jaye To Ye Wazahat Kafi Hogi, Khun Ke Iss Mein
Jismani Tashadud Ke Alawa Aurton Ke Sath Jarehana Bartaw Bhi Hai, Jo Na Sirf
Inko Haransa Karta Hai, Balke Nafsiyati Dabaw Ka Bhi Shikar Bhi Hoti Hain.
Mardon Ke Zalemana Rawayon Aur Ziadti Ka Aik Tareekhi, Samajee Aur Rewaiti
Pasmanzer Hai, Jo In Ko Aurat Par Tashadud Aur Aurton Ke Sath Bartaw Ka Aik
Zariye Banadeta Hai. Jis Ki Waja Se Auraton Ke Khelaf Tashadud Aur Jarihat Ko
Ghair Fitri Amal Nahi Samja Jata Balke Samajee Aur Rewati Iqtedar Ka Hissa
Tasawar Kiya Jata Hai. Inn Rewaet Aur Iqdar Ki Jarein Payedar Shahi Aur
Jagidarana System Nazar Ati Hain. Payedar Shahi Nizam Ke Tehat Shuru Hi Se Larke
Aur Larki Ke Kirdar Mein Tafreeq Ker Di Jati Hai. Aurat Ko Aik Natawan Makhlooq
Samjha Jata Hai. Mard Ko Taqatwar Aur Her Lehaz Se Barter Tassawar Kiya Jata Hai.
Mashra Inn Rawaiyon Ko Aur Mazboot Karta Hai Jagier Darana ( Jagirdari System)
Nezam Mein Aurat Ko Aik Niji Milkeat Tassawar Kiya Jata Hai Jis Ki Apni Koi
Shanakht Nahein Hoti Usey Mard Ki Izzat Ke Nam Per Gharon Mein Qaid Kar Diya
Jata Hai. Waqt Perney Per Uski Izzat Ki Khatir Usey Mar Bhi Diya Jata Hai,
Chukey Betiyon Ko Khandan Ka Hissa Nahein Samjha Jata Iss Liye Unki Parwarish
Bhi Aik Khas Dhab Se Ki Jati Hai, Jo Ke Mashrey Mein Unki Sanwi Hasiyat Ko
Mazeed Ubharti Hai. Go Ke Jagirdari System Abb Bhi Raej Hai.
Guzishta Kuch Arsa Se Iss Baat Ka Izhar Kiya Ja Raha Hai Ke Mazloom Aurat Ko
Tahaffuz Faraham Ker Ne Ke Liye Iss Qanoon Ki Madad Se Jis Ka Unwan Hirasan
Tahaffuz, Act Aur Pakistani Panel Code 186 Ka Tarmemi Bil Code Of Criminal
Procedure 1989 Ke Zareya Mehnatkash Aur Mazloom Aurat Ko Tahaffuz Faraham Ker Ne
Ke Liye Shuroo Kiya Gaya. Lakin Iss Ke Bawajood Aurat Ki Behurmati, Agwa Bray
Tawan, Ijtimai Ziadti, Jinsi Tashadud, Jail Jane Aur Bache Cheen Ker Gharon Se
Nikal Dene Ke Sankron Waqayat Hotay Hain. Aurat Ki Cheekh Chinggharti Surkheyan
Akhbarat Aur Electronic Media Ki Zeenat Banein Lakin Ta Hal Kuch Nahein Huwa.
Aurat Sadyon Se Apne Tashkhus Ki Talash Mein Sar Girdan Hai Izzat Ke Nam Per
Qatal, Karo Kari Aur Wani Jaisi Farsuda Rasumat Ajj Bhi Issi Zor O Shor Se Jari
Hain Parliament Seu Gairat Nam Per Aurton Ko Qatal Honey Se Bachaney Ke Leyeh
Karokari Ka Bil Pas Hua Lakin Us Ke Bawajood Bad Salooki Zair E Hirasat Tashadud
Maoraey Adalat Qatal Mein Kami Nahien Aie Agar Chey 1994 Mein Aqwam E Muttahida
Ke Convention Mein Yeh Eada Kiya Gaya Tha Ke Aurat Ke Khelaf Tasub Ka Khatma
Kiya Jaey Ga Lakin Pakistani Hukumat Aurton Ke Khelaf Motasbana Qawaneen Khatam
Ker Ne Mein Nakam Rahi Masharti Taraqqi Mein Khawaten Ki Shamulyat Ki Sharah
Bahot Hi Kam Hai Heomen Right Commission Of Pakistan 1999 Mein Report Ke Motabiq
Sirf Do Fisad Aurat Molazmaton Mein Hain 93% Fisad Dehati Aur 72% Sehri Aurat Na
Khanda Hain. Iss Report Ke Motabiq Aurat Ko Beshumar Pabandyon Ka Samna Rahta
Hai Waqt Keysath Sath Abb Inn Mazalim Ko Media Per Ubhara Aney Laa Hai Sawat Ki
Larki Ko Korey Marney Ka Waqa Ho Ya Mokhtalif Ilaqon Mein Gharelu Molazmaon Ka
Ka Qatal Ho.
Police Ke Hanton Tashadud Electronic Aur Print Media Ki Roz Afzon Taraqqi Ki
Badaulat Camera Her Jaga Pahochta Hai Aur Awam Ke Samney Pashe Kerta Hai Iss Ke
Bawajud Aurton Ka Istehsal Jari Hai. Khandan Mein Aurat Par Tashadud Sirf Gareeb
Aur Jahil Aurat Tak Mahdood Nahien Balkey Parehey Likhey Khandano Mein Bhi
Bachyon Ke Sath Gair Mosawi Rawaiya Rakha Jata Hai. Gharon Mein Kharab Zaban
Istemal Ki Jati Hai Police Ka Record Hai Yeh Ke Puri Duniya Mein Aurton Ke
Khelaf Jo Tashadud Hota Hai Iss Mein Bevyon Ke Khelaf Tashadud Sab Se Amm Hai
Aik Aur Qisim Ka Tashadud Bhi Manzere Amm Per Hai Woh Hai Aurton Ko Hirasan Kiya
Jata Hai Aurton Ki Jo Manfi Kirdar Kashi Hoti Hai Woh Bhi Tashadud Ka Hi Aik
Hissa Hai Aurton Ki Sehat Ke Hawaley Se Jo Palesyan Banai Gati Haien Woh Bhi Aik
Qisim Ke Tashsddud Ko Janam Deti Haien Jo Sirf Khandani Mansuba Bandi Ya
Bachchey Paida Ker Ne Se Motaliq Hoti Haien Mashi Aur Amdani Ke Zaraey Mein
Aurat Ko Masawi Haqooq Mohaiya Nahien Keay Jatey Woh Khud Se Asadana Kam Nahien
Ker Sakti.
Guzashta Chand Saalon Mein Aurton Par Tashadud Ke Hawaley Se Kuch Bil Manzoor
Keye Gaye. Iss Sab Ke Bawajood Hota Wahi Hai Jo Ghar Ka Mard Chahta Hai. Aik Aur
Amm Baat Ye Bhi Hai Ke Kisi Mamley Mein Aurat Se Raye Nahein Li Jati Har Baat Ka
Faisla Mard Kerte Hain Khas Tor Per Shadi Aur Talaq Ke Mamlat Mein Khandani
Rasoom O Rewaj Aur Qawaneen Aurat Ko Jagir Tasauar Kertey Hain. Aurat Shadi Se
Pehley Bap Aur Bhai Ki Malkiyat Hoti Hai Aur Shadi Ke Baad Shohar Ki Almiya Ye
Hai Ke Aurat Ko Aik Shaye Bana Ker Rakha Jata Hai Iss Per Tashadud Ki Bunyadi
Waja Yahi Hai. Aurat Ko Raye Deney Ya Palaat Kar Jawab Deney Ki Ijazat Nahein
Hoti Aur Mard Ki Iss Khuli Jarehana Ajadari Ki Waja Se Rozana Ki Bunyad Per Woh
Tashadud Ka Shikar Hain. 70 Se 90% (Fisad) Aurtain Gharelu Tashadud Ka Shikar
Hoti Hain. Izzat Ke Nam Per Qatal To Amm Si Baat Hai Mard Ko Kabhi Saza Nahein
Milti. Surat Hal Ye Hai Ke Har Do Ghantey Baad Aik Aurat Ziadti Ka Shikar Hoti
Hai. Rozana Panch Aurtein Qatal Ker Di Jati Hain Haftey Mein 4 Se 6 Khawateen
Chulah Phatney Se Mar Jati Hain. Unhien Ghar Se Bedakhal Ker Ke Bachchey Bhi
Cheen Leye Jatey Hain. Jinhein Mard Aur Uska Khandan Apni Milkiyat Tasawar Kerte
Hain. Kiya Ye Reyasat Ki Zimmadari Nahein Ke Aurton Par Tashadud Khatam Karey
Aur Unhein Tahaffuz Faraham Kare.