Aaj Hum Yeh Baat Janege Ke
Aakhir Auraton Ko Raaz Faash Kar Ke Dosron Ke Gharon Mein Aag Laga Kar Milta Kya
Hai. Aaj Hum App Ko Aesi He Aik Kahani Sunane Ja Rahe Hain.
Naila Tum Ne Kuch Suna... Nahi To... Kya Hua Baji ? Are Wo Jo Hamare Samne Walon
Ki Beti Hai Na, Are Wohi Jis Ki Mangni 2 Dafa Toot Chuki Hai. Han Han Han... Kya
Hua Use ? Are Suna Hai, Ab Phir Us Ki Mangni Hone Wali Hai, Acha To Phir ? Suna
Hai Ab Ki Dafa Bohat Lamba Hath Mara Hai Us Ne. Kyun Baji Aesa Kya Hai ? Are
Suna Hai Ladke Ka Bahar Mulk Mein Apna Karobaar Hai. Mujhe To Na Jane Kyun Aesa
Lagta Hai, Ke Ab Bhi Is Ki Mangni Tot Jaegi. Oho Baji, Ab Aesa Na Kahen Is
Bechari Ke Liye, Yeh Is Ki Teesri Mangni Hai. Wo Sari Umar Mangni He Karti
Rahegi Kaya Sirf.
Ab To Is Ki Shadi Ho Jani Chahiye. Waise Ap Ko Yeh Baat Kaise Pata Lagi Ke Is Ki
Mangni Ho Gai Hai? Are Suna Hai Ke Is Dafa Unho Ne Sab Ko Bina Batae Raaz Dari
Se Us Ki Mangni Ki Hai, Magar... Magar Kya ? Are Wo Jo Us Ki Saheli Hai Na, Wohi
Jo Us Ki Barhi Raazdaar Hai. Are Wohi Naghma Aunty Ki Beti, Jo Jag Bhar Mein “
Chalti Phirti Khala Kherun ” Ke Naam Se Mashoor Hai. Wo Meri Saheli Ki Barhi
Gehri Dost Hai. Wo Dono Aapas Mein Koi Baat Nahi Chupati. Us Ne Yeh Baat Meri
Saheli Ko Bata Di Aur Phir Us Ne Mujhe Paas Kar Di. Waise Baji... Yeh To Barhi
He Buri Baat Hai Ke Agar Us Par Us Ki Dost Ne Koi Baat Aetemaad Kar Ke Batai Thi
To Use Apne Tak Rakhna Chahiye Tha. Sab Ko Is Tarha Nahi Batana Chahiye Tha.
Aakhir Raaz To Raaz Hota Hai Aur Baat Baat Hoti Hai. Kisi Ke Raaz Aur Baat Ko Jo
Wo Kisi Se Share Na Karna Chahe, To Use Is Tarha Phelana Nahi Chahiye. Yeh Koi
Itni Achi Baat Nahi Hai Ke Aap Itni Dilchaspi Le Kar Beyan Karen Aur Phir Apne
Umdah Khayalat Aur Khadshat Ka Bhi Izhaar Karen.
Insaan Ko Hamesha Husn-E-Zan Rakhna Chahiye Aur Bina Tasdeeq Na Kisi Ki Baat Ko
Aage Barhana Chahiye Aur Na He Ap Ki Tarha Chalta Phirta Ishtehaar Ban Jana
Chahiye. Kya Khayal Hai Ap Ka ? Naila Ne Apni Behan Ki Class Lete Huye Apne
Jazbat Ka Izhaar Bhi Kar Diya Aur Tanbihan Apni Adam Dilchaspi Bhi Zahir Kar Di.
Kya Is Tarha Kisi Ke Raaz Ko Aam Karna Achi Baat Hai ?
Amooman Is Burai Mein Auratain Bardi Badnam, Bal Ke Barha Naam Kamati Hain Aur
Baat Ko Idhar Se Udhar Karne Mein Barhi Taaq, Bal Ke Mahir-O-Mushtaq Mani Jati
Hain. Is Muamley Mein Aurten He Nahi Nal Ke Baaz Mard Hazraat To Auraton Ke Bhi
Record Torh Dete Hain Aur BBC Ka Kaam Karte Hain. Arbi Zuban Ki Barhi Maroof
Misal Hai, ( Jis Ne Apne Raaz Ko Chupaya Wo Apni Murad Ko Pohanch Gaya ), Yani
Apne Maqsad Ko Pane Mein Kamiyab Ho Gaya. Kisi Ke Raaz Ya Us Ki Baat Ko Bina Us
Ki Ijazat Ke Aam Taur Par Phelana Ikhlaqan Wo Sharan Nehayat Mayoob Baat Hai.
***** Is Barey Mein Halki Pait Ki Mashoor Hain, Ke Baat Koi Bhi Kisi Ki Bhi Ho,
Un Ki Zuban Se Phisal He Jati Hai, Yeh Bhi Aik Aieb Hai. Jo Deegar Ayoob Ki
Tarha Hum Se Chimta Hua Hai. Choti Si Baat Jo Raaz Kehlati Hai, Yani Chupane Ki
Cheez, Wo Apne Maeyne Ke Lihaz Se Barhi Wasee Aur Mafhoom Ke Lihaz Se Barhi
Waqee Hoti Hai. Jab He To Raaz Kehlati Hai. Hamara Mazhab Raazdari, Yani Kisi Ke
Posheeda Muamlaat Ko Posheeda He Rakhne Ka Hukum Deta Hai Aur Quran Pak Mein Is
Ki Taqeed Bhi Aai Hai.
Bilamoom ***** Raaz Fash Karne Mein Taaq Mani Jati Hain. Wo Baton Baton Mein Wo
Tamam Batein Keh Jati Hain, Jo Unhe Takeedan Yeh Keh Kar Batai Jati Hain Ke Yeh
Baat Aage Kisi Se Mat Kehna. Yeh Raaz Ki Baat Hai Aur Ye Baat Sirf Apne Tak He
Rakhna. Lekin Dekha Yeh Gaya Hai Ke Aapas Ki Baat To Wo Aapas Mein Share Kar
Leti Hai Aur Raaz Ki Baat Raazdana Andaaz Mein Keh Deti Hain. Goya Aapas Aur
Raaz Dono In Ke Hathon Se Nikal Aur Zuban Se Phisal Jate Hain.
Kisi Ka Raaz Fash Karna Bhi Aeib Joi Mein Shumar Hota Hai Aur Ise Bad Goi Bhi
Kaha Jata Hai Magar Aurat Ki Fitrat Hai Ke Kisi Ka Raaz Dosri Aurat Ko Bata Deti
Hai. Insaan Ki Zindagi Khuli Kitab Ki Tarha Hai, Lekin Is Ka Dil Majmooa-E-Raaz
Hai. Is Mein Is Ki Dunya Aur Aakhrat Ki Tamam Wo Batein Posheeda Hain. Jo Wo
Raat Ki Tanhai Mein Apne RAB Se Karta Hai. Apni Zindagi Ka Nichore Apni
Shareek-E-Hayat Se Share Karta Hai. Yeh Tamam Batein Amanat Hai Aur Inhein Is
Tarha Khule Aam Beyan Karna, Ke Kisi Shakhs Ki Private Batein Aam Ho Jaen.
Amanat Mein Khayanat Hai.
Sarkari Raaz Churane Ya Use Aam Karne Par Sarkar Saza Deti Hai, Lekin Dil Ke
Raaz Churane Aur Ya Aam Karne Par Sab Se Barhi Saza Sarkar Ne Sakht Tareen Saza
Muqarrar Ki Hai. Lehaza Apne Aemaal Mein Raazdari Ko Bhi Shamil Karen.Har Baat
Kehne Ki Nahi Hoti Aur Jo Baat Sar-E-Aam Keh Di Jae Wo Baat Baat Nahi Rehti,
Afsana Ban Jati Hai Aur Jo Afsana Ban Jae Wo Baat Zindagi Ajeeran Kar Deta Hai.
Jo Baat Zuban Zad-E-Aam Ho Jae, Khuwa Wo Jhoot He Par Mushtamil Ho, Sach Mein
Badal Jati Hai. Jab Aik Mehfil Main, Aik Majlis Mein 10 Aadmi Ba Yak Zuban Aik
He Baat Bolenge. To Wo Sach He Mani Jaegi. Is Liye Kaha Jata Hai Ke “
Zuban-E-Khalq Ko Naqqara-E-Khuda Samjho ”. Aik Waqt Mein Aik Aadmi Jhot Bol
Sakta Hai, 10 Nahi. Kya Hamari ***** Ko Is Ke Ilawa Koi Aur Kaam Nahi Hai ?