Ab Bohat Jald Mobile Ya Tablet
Nahi Balkay Aap Ki Ankhen Tasaveer Khenchnay Aur Data Send Ya Receive Karne Ka
Kaam Karen Gi.
South Korea K Science Daano Ne LED Se Bane Aisay Eye Lenses Tayyar Kiye Hain Jis
Se Mustaqbil Mein Aankhon Se Tasaveer Lainay Aur Scanning Waghera Karne Ki Janib
Paish Qadmi Hui Hai.
Olson National Institute Of Science And Technology Ke Mohqiqeen Is Lens Par Kaam
Kar Rahay Hain Aur Abhi Unhon Ne Is Mein LED Technology Se Bane Lenses Ki Tayari
Mein Kamyabi Haasil Karli Hai.
Muhaqiq Oung Park Ke Mutabiq Neon Material Ke Zariye Lachak Dar Aur Aankhon Mein
Pehnne Ke Qabil High Sensor Device Ki Tayari Mumkin Hai.
Yeh Team Pehli Bar Aisa Lachak Dar Aur Shafaaf Material Tayyar Karne Mein
Kamyaab Hui Hai Jo Contact Lenses Ki Tayari Mein Istemaal Kiye Jasaktay Hain.