Mai Ne Aksar Ye Kehtay Howay
Sunna To Tha Ke Moashray Ka Ye AALMIA Hai Moashray Ka Wo AALMIA Hai,Yeah Aalmia
Bhi Insanu Aur Moashru Ki Zindagi Mai Ajeeb Hota Hai-Isanu Ki Zindgi Ko Bilkul
Badal Kar Rekh Daitay Hain...Sehzada AKBAR Aur AANAR KULLI Ki Zindagi Mai Hony
Wala Aik Aisa Waqia Jo Aanar Kulli Ki Zindgi Ka Almia Bann Kar Reh Gia Muhabbat
Ki Manzil Bhi Kitni Ajeeb Hai Na!,..Har Kissi Ko Muhabbat Kehan Raas Aati
Hai,,,Na Janay Kitnu Ka Dil Toarti Hai, Kitnu Ko Millati Aur Kitnu Ko Joda Karti
Hai...,Kitnu Ko DEWAAR Mai Cunwati Hai Aur Aanay Wali Tareekh Mai Mai Yaad Bann
Jati Hai,...Ebrat Ka Darass Deti Hai..,Aur Na- Janay Kitnu Ko Safae Hasti Se
Mita Deti Hai...Magar Yehe Muhabbat Kitni Khubsoorat Hai..Jannisar Aisi Ke BILAL
HABSHI ,AWAIS QARNI Aur Aisi Be-Shummar Hastiyan Hain Jinhu Ne Muhabbat Mai Paak
Hasti Ke Hijjar O Vissal Mai Soabtain Bardashat Kain, Jab Ja Ke CHAHNAY Walu Mai
Sonahri Haroof Mai Likha Aur Yaad Kia Jata Hai Aur Yaad Kai Jata Rehay Ga...,Qurban
Jaiye Aisay Chahnay Walu Ke Khubsurat Zindgiyu Ke Khubsurat Aalmiyu Per...Muhabbat
Kai Martabay Rekhti Hai,Martaba Muhabbat Koi Bhi Ho,Muhabbat Ka Bhi Ek AALMIA
Hai...Kia Aaj Kal K Doar Mai Hum Kissi Se Aissi Muhabbat Kar Saktay Hain K
Jaisay Paak Hastyan Kar Gai?...Nai Hum To Nuffrat Ke Oss Doar Se Guzzar Rehay
Hain K Jahan Siraf Apnay Anay Walli Naslu Ko Hum Nafrutt He Dey Rehay Hain,Kia
Rishtu Mai Kia Kommu Ami Aur Kia Islaam Ke Naam Pe...Khuda Ke Leye Apnay Buchu
Ko Suchi MUHABBAT Ka Daras Dain,Aur Yeah Tub Mumkin Ho Ga Jab Aap Unnay ALLAH
TALA Aur NABBI Ki SUNNAT Ka Paband Banaien.