Guftugoo Ka Kamaal

(Chiraghdeen, Karachi)

Urfi Anweri Iran Mein Ek Sha'ir Guzra Hey Uss Ne Ek Dafa Badsha-E-Waqt Ki Shaan Mein Ek Qaseeda Parha Tau Badshah Ney Usey Inaam Mein Ek Aala Nasl Ka Arbi Ghora Dia. Anweri Ghora Leker Ghar Aagaya Magar Choonkeh Ghareb Aadmi Tha Ghorey Ko Achhi Ghiza Khila Na Saka Jabkeh Wo Shahi Astabal Mein Achhi Ghizaeein Khata Tha. Jab Ghorey Ki Sahih Perwarish Na Huwi Tau Ek Roz Wo Ghora Mergaya. Ab Tau Anweri Ko Bari Parehsani Lahaq Huwi Keh Agar Badshah Ney Us Ghorey Key Barey Mein Poochh Lia Aur Mein Ney Kaha Keh Wo Mergaya Tau Yaqeenan Badshah Mujhey Bhi Mar Dega Chunacha Badshah Key Itaab Sey Bachney Key Liye Wo Khud Hi Badshah Key Derbaar Mein Hazir Hogaya Aur Kaha Keh :Aalijah Aap Ney Jo Ghhora Mujhey Ata'a Fermaya Tha Wo Bara Hi Be-Misl Tha, Itna Taiz Raftaar Keh Hawaein Bhi Uska Muqaabla Na Ker Sakein Aur Phir Us Ney Aisi Taizi Dikhai Keh Raat Hi Raat Mein Aalam-E-Dunya Ko Uboor Kerkey Aalam-E-Aakhirat Mein Pohonch Gaya, Badshah Ko Shair Ka Andaz-E-Bayan Sun Ker Hansi Aagai Aur Wo Samajh Gaya Keh Iss Becharey Ka Ghora Mergaya Hey Chunacha Badshah Ney Usey Ek Aur Ghora De Dia.

FAEDA:
Aap Apni Guftugoo Mein Wo Kamal Paida Kijiye Keh Aap Ki Zabaan Sey Nikli Huwi Sakht Baat Bhi Log Ba-Khooshi Qubool Ker Lein Jis Tarah Key Irani Sha'ir Ney Apney Andaaz Sey Dobara In'aam Hasil Ker Lia Agar Wo Yoon Keh Deta Keh Ghora Mergaya Tau Shayed Uski Garden Zani Ka Hukm Sadir Hojata Magar Usloob-E-Bayan Key Sabab Wo Saza Key Bajaey Inaam Ka Mushahaq Qaraar Paya, Iska Yeh Matlab Nahi Keh Lachhey Daar Batein Ki Jaeein Ya Ghuma Phira Ker Jhoot Bola Jaey Balkeh Iska Matlab Yeh Hey Keh Bola Tau Sach Jaey Magar Alfaaz Aisey Hoon Keh Saamney Wala Apney Gussey Ko Mahoabbat Mein Tabdeel Kerdey, Guftugoo Mein Shaistagi Aur Sanjeedgi Paida Kerney Waley Log Hi Ma'aashrey Mein Kamiab Rehtey Hein Aur Unkey Dushmano Key Muqabley Mein Unkey Dooston Ki Tadaad Ziadah Hoti Hey.

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 196252 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.