Pakistani Society Mein Peer Ki
Bhut Ehmiyat Hay Jabh Kahien Kuch Na Hu Rha Hu Mahool Par Sakoot Hu ,,,Sakoon
Hu,,,,Kahien Na Kahein Koi Peer ,,,,,Namoodaar Huta Hay,,,,Aur,,,,Humaray Islami
Chahray Par Ek Zor Daar Tamacha Maar Kay Rukhsat Hu Jata Hay Ubh Tu Haftaa Waar
Peer Bee Kehnay Lga Hay,,,,Bahut Badnaam Hu Liye,,,Ubh Tu Badal Du Naam
Mera,,,Roz Koi Fitnaaa Hu Jata Hay Rukhsat Kar Kay Naam Badhnaam
Mera,,,,,,Sargodha Mein Ek Peer Nay Wo Gul Khilaye Kay Insaniyat Ko Asay Kalay
Garhay Mein Dafan Kar Diya Kay Isay Nikalnay Say Pehlay Koi Aur Peer Koi Naya
Gul Khilaa Dey Ga,,,,Society Mein Har Tra Kay Soor Aur Nasoor Paye Jatay Hein
Magar Ye Peer Wala Nasoor Pakistan Kay Wajoodh Say Pehlay Hee Jin Ki Tra Humaree
Iss Society Se Chimtaa Hua Hay ,,,,,Ajeeb Baat Ye Hay,,Hakoomat Say Bahree Pasay
Batoornay Wali Agencies Sotee Rehtee Hein,,,Apnay Thannu Aur Dafaater Mein Iss
Jaah U Jalaal Karu Far Say Baithay Hutay Hein Jasay Pora Mashra Un Kay Liye Koi
Ehmiyat Nahi Rkhta Hu ,,,,Ju Logh Sar E Aam Hunay Walay Asay Awaamil Ko Rok Nahi
Saktay Un Ka Sad E Baab Nahi Kar Saktay Un Ki Intelgence Ka Kiya Haal Hu Ga Ju
Sar E Aam Hunay Wali Asee Peeranaa Karwaiuon Ko Na Rok Skay,,Sharam Tum Ko Magar
Nahi Atee,,,,,Hum Nay Kal Ju Sifarish Kay Bal Botay Sarkaar Kay Ehalkaar Bhartee
Kiye Thay Ubh Wo Asar Dekha Rahay Hein Agar Merit Ka Qatal E Aam Na Kiya Huta
Sahi Logh Sahi Jaga Kay Liye Post Kiye Hutay Tu Ajh Ye Haal Na Huta,,,,Ubh Ye
Society Peer Hee Peer Ka Shikaar Hutee Chali Jaye Gee,,,,Hum Serf Ek Aur Peer Ka
Intizaar Kartay Reh Jaein Gay,,,,Jgah Jgah Baithay Huay Amil ,Peer,,,Ye Naam
Nehaad Logh Qanoon Islam Society Insaniyat Kay Liye Asa Hee Khatra Banay Rahein
Gay,,,Hum Kab Tak Baithay Huay Pani Ko Pulon Kay Nichay Se Guzarta Hua Dekhtay
Rahein Gay,,,Qanoon,,,Sahib E Ilam ,,,,Society Kay Har Fard Ko Asay Peerun Ka
Sad E Baab Khud Se Karna Hu Ga Hakoomat,,,Pani ,,Bijli,,,Tahafuz Naam Ki Koi
Chese Ajh Tak Na De Sakee,,,,Ye Kaam Awam Ko Khud Hee Karna Hu Ga Har Peer Ka
Elajh Khud Se Karna Hu Ga,,,Werna Dekh Laina Dharna Hu Ga,,,,,Har Peer Ka Har
Jgah.