Pakistan Mein Zendeghi Mushkil
Say Mushkil Tar Bnaiee Jaa Rahee Hay Kuch Logh Jin Ki Tadaad Atay Mein Namak Kay
Barabar Hay Bilashuba Wo Iss Zameen Aur Iss Mein Basnay Walay Insaanu Ki Taqdeer
Ki Malik Hein,,,Pakistan Ki 85 Feesad Abaadee Ya Yun Keh Lein Insanu Ki Zindeghi
Ka Mayaar Nichay Say Ubh Zameen Boss Hu Raha Hay,,,,Ghareeb Insaan Ya Ek Asa
Tabqa Ju Ubh Tak Iss Tabqatee Jang Mein Bina Hathyaar Kay Lar Raha Hay Wo Ubh
Tak Ye Samajh Nahi Paya Kay Wo Jang Kab Tak Laray Ga Ya Yun Keh Lijiye Iss Jang
Mein Hee Iss Ki Baqaa Poshida Hay,,,,,,,,Kher,,,,Aiye Ek Aam Insaan Ki Zendeghi
Par Nazar Daltay Hein,,,,,,,,,,,Maa Tra Tra Ki Azmaaishun Kay Baad Ba Mushkil
Khud Qurbaan Hunay Sarkaree Hospital Kay Mailay Say Bed Par Ek Nai Zendeghi Ko
Janam Detee Hay,,,,Wo Masoom Pakistan Kay Iss Mailay Say Sarkaar Kay Hospital
Mein Paida Hunay Par Zor Zor Se Rota Hay,,Magar ,,Us Ki Faryad Koi Nahi
Sunta,,Pher Agar Wo Hospital Mein Churee Ya Yun Keh Lein Kidnap Hunay Say Bach
Jaye Ya Wahan Kay Adam Khor Chohun Ki Nazar Uss Par Na Paray Tu Bahifazat Ghar
Aah Jta Hay,,,,Pher Wo Bijli Gas Na Hunay Kay Bawajoodh Ya Kabi Kabi Milnay Ki
Sadat Hasil Krta Hay School Mein Zalim Kisam Kay Teachers Ju Ghar Bv Bachun Ka
Ghusa Wahan Kay Majhboor Bachun Par Utaraa Kartay Hein Un Kay Reham O Karam Par
Reh Jata Hay,,,,Kabi Kabi Bijli Ka Mukhra Nzar Ata Hay Sarkaar Kay Pani Kay
Nalkay Say Kabi Pani Kabi Hawa Ki Ankh Macholi Dekh Dekh Kay Bara Huta
Hay,,,,,,Ghizaiee Qilat Usay Chotay Qadh Kamzoor Hadion Pichkay Huay Gaalun Ka
Thufaa Detee Hay,,,,,,,Larkhrata Hua Bara Hunay Kay Baad Jabh Wo Simple BA YA MA
,,,,Ki Degree Lay Kar Market Mein Nikalta Hay Tu Na Tu Koi Dhangh Ki Nokeri
Milte Hay Naa Hee Shadi Kay Wastay Koi Dhangh Ki Larki Miltee Hay,,,,Saalun Ka
Safar Sadion Mein Taye Kar Kar Kay Uss Kay Paon Jal Jata
Hein,,,,,,,,Bas,,,,Jalay Huay Pairun Aur Behiss Society,,,,,Besharam
Hakoomatun,,,,,Uss Kay Paier Say Agh Uss Kay Dar Tak Pohanch Jatee Hay,,,,,Ye
Society Ju Ubh Madaa Parast Ban Chuckee Hay,,,,Jahan Insaanu Say Zyda Sarkoun
Par Invest Kiya Jata Hay,,,,,,,,,Taleem,,,Ghiza,,,,Safety,,,,,Achee Life,,,Achaa
Mustaqbil Insaanu Say Kosun Dourr Kar Diya Hay,,,,,,Bas,,,,Jalay Paon Aur Pher
Qabar Ka Andhera,,,,,,,,Ye Hay Humara Anay Wala Kal