Faisla

(Kiran Sultan, Karachi)

'Ammi Main Doctor Ki Parhae Nahi Kar Sakti Mera Rujhan Nahi Hay Us Taraf....Ap Q Nahi Samajh Rahi" Arzoo Nay Apni Ammi Ko Samjhatay Huy Kaha. "Main Nay Tmhain Keh Dia' To Bus Keh Dia Tum Doctor Hi Bano Gi Ya Teaching Kar Lo Bus" Zahida Begum Nay Apni 19 Saal Ki Beti Per Takreeban Chekhtay Huay Kaha Aur Baat Khatam Kar Di......

Ye Kam O Besh Har Ghar Main Honay Wali Taqrar Hay. Aik Bacha Duniya Main Ata Hay..Waledin Ko Sub Mubarak Bad Daytay Hain Buhat Acha Lagta Hay...Waledain Ko Us Bachay Ki Masoom Harkatoon Sy Aur Qudrati Toor Per Us Bachay Sy Itni Muhabbat Ho Jati Hay K Apni Jaan Tak Usko Day Daytay Hain.....Apna App Waqf Kar Daytay Hain. Bachpan Sy Jawani Tak Jo Ap Sahi Samajhtay Hain Wo Ap Apni Aulaad K Liye Kartay Hain.....Hamay Daar Lagta Hay K Hamary Bachay Abhi Buhat Chotay Hain Wo Logo Ki Ghalat Batoon Main Aa Kar Apna Bura Na Kar Bethy......Magar Ham Apnay Daar Ki Waja Sy Apnay Bachoon Ko Apna Adii Bana Rahay Hain Unka Self Confidance Khatam Kar Rahay Hain.....Unko Un K Choty Choty Faisaly Khud Karnay Dain.....Unko Mashwara Dain Har Pehloo Samjahain Magar Faisala Khud Karnay Dain. Larkiun Per Apna Etibar Qaim Karain...Un K Faisloon Main Unka Sath Dain.Zarori Nahi K Ruab Main Ya Gussay Sy Chekh Kar Hi Ap Baat Manwa Saktay Hain.Wo Baat Hi Kia Manwae Jjo Gussay Sy Manwae....Bachoon Ko Unki Batoon Per Appriciate Karain Apki Choti Si Appriciation Unka Hosla Barha Dayti Hay.....Apnay Bachoon Ka Sath Dain Q K Unho Nay Abhi Urrna Sekha Hay Wo Har Har Urraan Per Apki Taraf Dekhtay Hain.....
 

Kiran Sultan
About the Author: Kiran Sultan Read More Articles by Kiran Sultan: 5 Articles with 9297 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.