Larkian Aur Mulazimat

(Kiran Sultan, Karachi)

"Apki Beti Hamain Buhat Pasand Ai Behan Aur Apka Gharana Bhi Buhat Acha Hay Magar Hum Apnay Betay Ka Rishta Ap Logoon Main Nahi Kar Saktay' Maaf Kijiye Ga Behan" Rishatay K Liye Ai Hue Khawateen Main Sy Aik Khatoon Nay Kaha," Koi Waja Bata Sakain To Mehrbani Hogi?" Farzana Begum Ny Buhat Tahammul Sy Pocha." Asal Main Behan Bura Nahi Maniye Ga Hum Apnay Betay Ki Shadi Kisi Job Karnay Wali Larki Sy Nahi Kaar Saktay....Q K Job Karnay Wali Larkiun Ki Zabanain Buhat Ho Jati Hain ..........."

Ye Wo Masala Hay Jo Ab Hamary Mashray Main Toul Pakarta Ja Raha Hay. Aj K Iss Mehngae K Dour Main Ghar Ka Agar Har Fard Mulazmat Karay Tu Zindagi Ki Ghari Chain Aur Sakoon Sy Chalti Hay...Aurat Agar Haya K Libaas Main' Nichee Nigah Kiye Apnay Ghar Ko Sahara Day Rahi Hay To Ye Us K Liye Fakhar Ka Mauqam Hay Aur Mehnat Main Hi Azmaat Hay. Mehnat To Hamaray Piyaray Nabi Ko Bhi Pasand Hay.Aik Mulazimat Pesha Kahtoon Apnay Ghar K Nizam Ko Buhat Achi Tarhan Chala Sakti Hay. Apnay Bachoon Ki Behtar Tarbeeyat Kar Sakti Hay Aur Unko Duniya Main Uthnay Bethnay Aur Duniya K Sath Chalnay K Sahi Rastay Samjha Sakti Hay.
 
Hum Nay Jadeed Fashion Ko Tu Apna Liya Hay...Apnay Baloon Ko Rangwa Kar' Naay Fashion K Kapray Pehan Kar' Angrezi Main Baat Kar K Hamay Lagta Hay K Hum Modern Mashray Main Chal Rahay Hain Aur Hamary Zehan Buhat BROADMIND Hain...Darhaqiqat Hum Aj Bhi Wo Kuanain K Maindak Hain. Aj Bhi Agar Rah Chaltay Hamary Agay Sy Kali Billi Guzar Jay To Hum Lahaull Parhtay Hain Q K Hamay Lagta Hay K Aj K Din Kuch Bura Zaroor Hoga......Zaroori Nahi K Har Mualzimat Pesha Khatoon Ghalat Hi Ho...Ya Ap Ka Us K Liye Intikhab Ghalat Hi Ho' Ya Wo Achi Biwi Aur Maa Sabit Na Ho. Khawateen Main Bardasht K Mada Buhat Ziyada Hota Hay. Mard Hazrat Jub Apni Mulazimat Sy Farigh Ho K Ghar Jatay Hain To Un Main Sy Beshtar Ki Khuwaish Hoti Hay K Wo Ghusal Kar K Ai Aur Garm Garm Khanay Ki Tary Un K Samnay Ajay Aur Wo Chay Ka Mag Ly K Aram Sy Akhbar Ki Sheh Surkhian Parhain Ya Lait Kar Aramm Karain...Jub K Aik Mulazimat Pesha Khatoon Ko Office' Ghar' Bachay' Husband' Rishtaydarian' Muhallaydarian' Waqt Per Har Kam Aur Phir Shopping Per Nazar Rakhni Parti Hay Phir Bhi Wo Har Mamlay Main Ghalat Hay...Q ??? Faisla Ab Apko Karna Hay...........
 

Kiran Sultan
About the Author: Kiran Sultan Read More Articles by Kiran Sultan: 5 Articles with 8774 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.