Zindagi K Is Kathal Safar Ma
Nangay Pair Chlte Chlte Itna Door Agyi K Ab Ye Bhi Yaad Nae K Jootay Kahan
Utaary Thy Is Hujoom O Shor Ma Mjhe Tw Apna Ap Bhi Pehchanna Bht Mushkil Lgny Lg
Gya Hai Jab Raastay K Chatayaal Maidaano K Nookelay Kanton Ne Thais Pohnchayi Tw
Is Ehsaas Se Bhi Aashna Hugyi Hun K Kch Raasty Aese Hi Hotay Hain Jo Musaafir Ko
Khud Se Thakne Par Majbor Krdete Hain Apni Dedaa Dilairi Se Vo Raasty Bhi
Musafir Se Barabari Ka Mukaabla Krne Ko Koshish Krte Hain Or Jb Musaafir Majboor
Hujata Hai Tw Foran Uski Raahain Bhi Jawab De Hu Kar Kalam Krti Hain K Aye Raahi
...! Teri Manzil E Maqsood Hi Hmare Hawalay Hai Tw Q Tu Hosla Shikan Hukar Hmse
Shikwaa Kr Betha Hai Or Q Bhula Betha Ha K Manzilo Ne Bhi Hmse Tahiyaa Kr Rkha
Ha K Teri Raahain Hi Itni Khatal Krdengy K Tjhe Akheer Ma Ajare Rehmaat Kisi
Naiymat Se Kam Na Lgy Or Phr Tw Is Azmaish Ko Allah Ka Imtehaan Smjh Kar Shikwa
Ko Radd Krde Or Us Rab Ki Khuda Wandi Ka Shukar Ada Kry.