Ye Kursii Meri He
(Kiran Shahzadi, Rawalpindi)
Chand Din Bad Jb Hamid Phir
Apny Nana K Ghar Jata He To Uss K Hath Main Jhandiyan Hoti Hain Wo Nana Jan K
Pass Baith K 14 August K Bary Main Pochta Hy To Nana Jan Usy Kehty Hain K Acha
Hamid Mian Ye Btao K Hum Ne Baton Ka Silsila Kahan Khatam Kia Tha Aj Phir Wahin
Se Shuroo Krty Hain Hamid Sar Khujaty Hue Yad Krny Lagta Hy Phir Kehta He K Nana
Jan Aap Ksi Bhuto K Bary Main Bata Rahy Thy K Aap K Bachpan K Zamany Main Unhain
Kursii Se Utara Gia Tha Nana Jan Kehty Hain Bhai Kmal Ki Yaddasht Hy Tumhari Tum
Mujhy Kafi Zaheen Mallom Hoty Ho Pocho Jo Tumhary Zahan Main Aata Hy Hamid Kehta
Hy K Nana Jan Iss Bar 14 August Mery Liye Kafi Dificult Ho Gi Qun K Shair Ka
Chela Hi Samny Aae Ga Main Ne Jo Kuch Suna Hy Uss Ki Waja Se Zahein Main Bura
Asar Parra Hy Dekhty Hain Ky 14 August Kaisy Guzarti Hy Mashel Door Se Dono Ko
Dekh Rahi Hoti He Wo Hamid K Pas Aa Kr Kehti He K Tumhari Birthday Bhi To 14
August Ko Hoti Hy Tum Apni Birth Day Pr Kia Karo Gy Main Ne Or Baba Ne Tumhary
Liye Gift Liya Hy Or Peck Bhi Krwa Dia He Dono Hi Mashel Ki Baat Sun Kr Muskura
Dety Hain Mashel Kehti He K Dada Jan Main Aap Dono Ki Batain Ghor Se Sun Rahi
Thi Socha Main Bhi Kuch Bolon To Ye Baat Kr Li Hamid Kehta He Mshel Tum Ghalat
Samajh Rahi Ho Tum Bhi Kuch Kehna Chahti Ho To Bolo Mujhy Ye Kehna Tha K
Pakistan Agr Jamhori Mulk He To Iss Main Jamhooriyat Ka Zayada Bolbala Hona
Chaiye Qun K Dada Jan Main Ye Samajhti Hun K Ajkal Ka Dour Jaisa Bhi Chal Raha
He Iss Main Shayad Kujh Hamara Bhi Qasoor He Hum Jaisi Yang Janreshan Apny Aap
Ko Mustehkum Nahi Kr Pa Rahi Dada Jan Mashel Se Pochty Hain Wo Qun Beta Tum Ye
Baat Kis Buniyad Pe Keh Rahi Ho Wo Iss Liye Dada Jan K Hamari Aik Teacher Ne Hum
Se Aik Sawal Kia Tha Jis K Bary Main Hamain Maloom Nahi Tha Or Hamain Kisi Ne
Bataya Hi Nahi Tha Dada Jan Kehty Hain Wo Sawal Kia Tha Mishel Kehti He Kdada
Jan Wo Sawal Kuch Yun Tha K Jab Pakistan Merz-E-Wajood Main Aaya To Qaed-E-Azam
Ne Pehli Martba Jo Khitab Kia Tha Uss K Kitny Pehloo Thy Or Yang Ganretion Ky
Liye Kia Pegham Tha Dada Jan Ye Sawal Sun Kr Mishel Se Pochty Hain Phir Tumhari
Teacher Ne Iss Bary Main Tum Se Kia Kaha Ya Kia Bataya Dada Jan Poory Sawal Ka
Jawab Unn K Pass Bhi Nahi Tha Mgr Aadha Jawab Zaroor Dia Tha ''Eimaan '' Tanzeem
''Ithaad ''Or ''Yaqeen-E-Mehkam ''Or Miljul Kar Itfaq Se Kam Karny Ka Dars Dia
Tha Or Kaha Tha ''Kam Kam Or Sirf Kam ''Dada Jan Ne Ye Sun Kr Kaha K Pakistan Ki
Histry Main Ne Bhi Nhi Parri Ya Phir Kabhi Ye Sb Batain Janny Ki Koshish Hi Nahi
Ki Han Shayad Tum Ne Saheh Kaha Iss Main Hamara Bhi Kahin Na Kaein Qasoor Zaroor
He Imran Door Khara Apni Beti Ko Dada Se Batein Karta Sun Raha Tha Or Shayad
Thora Sharminda Bhi Tha K Itna Arsa Uss Ne Apni Beti Ko Dada Se Door Rakha Imran
Chal Kr Un Sb K Pass Aaya Or Slam Kia Or Hath Main Pakrry Shapr Mishel Ko Diye
Mishal Uth Kr Kitchan Main Chali Jati He Or Samosy Plats Main Le Aati Hy Sb Ne
Mil Kr Khaya Pia Or 14 August Ki Teyaron Main Lag Jaty Hain Imraan Sochon Main
Gum Betha Tha Wo Soch Raha Tha K Jb Se Mishel Paida Hui He Shayd Ye Pehli Bar
Apny Dada K Sath 14 August Manarahi Thi Wo Bhi Dadi Ki Deth K Bad Aik Hi Shehr
Main Rehty Huy Bhi Main Kitna Pathar Dil Bana Raha Laikin Ab Pachchtany Ka Kia
Faida Jab Meri Maa Nahi Rahi Tb Main Iss Ghar Main Aayaimraan Inhi Sochon Main
Gum Tha K Mishal Kb Unn K Pass Aa Kr Bethi Unhain Ilam Hi Na Ho Ska Mishal Ne
Jaisy Hi Un Ka Hath Pakra To Wo Chunky Kon Baba Kia Hua Main Hun Aap Ki Peyaari
Si Beti