Assalamoalikum Dosto!
Dein Or Duniya Ki Apki Nazar Mein Kya Matlb Hai?
Meri Nazar Mein To :
"Dein Wo Jo Hamein Khuda Se Jorey Rkhta Hai Or Duniya Wo Jis Mein Agar Insan
Magan Ho Jaye To Wo Khuda Se Doore Ho Jata Hai"
Insan Kiun Bhool Jata Hai Ky Insan Ko Khuda Ne Apni Ibadat Ky Liye Paida Kiya
Hai Yahan Tak Ky Jin, Farishtey, Parindey Sab Khuda Ki Ibadat Mein Her Waqt
Magan Rehtey Hain... Allah Ny Insan Ko "Asraful_Mehluqak" Banaya Hai Or Insan Ka
Faraz Hai Ky Wo Baki Sab Bhool Ky Dein Mein Lag Jye Or Apny Apko Ek Naik Raah Py
Chala Ly...
Ye Duniya To Arzi Hai Or Ek Na Ek Din Is Ny Hatam Ho Hi Jana Hai Magar Dein Wo
Wahid Hai Jo Marne Ky Bad Insan Ka Sath Tab Bhi Nai Chory Ga... Han Duniya Mein
Hamary Bohat Se Apne Hotey Hain Or Boht Se Ese Loge Bhi Hotey Hain Jinse Doore
Jane Ka Tasawer Hamein Dara Sa Deta Hai Magar Insan Ko Ye Nai Bhoolna Chahiye Ky
Mout Haqeeqi Hai Or Ek Na Ek Din Zarure Ani Hai Or Jab Mout Ny Ana To Insan Ky
Duniyawi Kam Duniya Mein Hi Reh Jayein Gy Magar Ager Kabhi Us Ny Dein Mein
Dilchasbi Li Ho Gi Ya Kuch Naik Kiya Ho Ga Namaz Wagaira Ya Quran Pak Ki Talawat
Ki Ho Gi To Wo Hi Usy Akharat Mein Bachaein Gy ...
Ager Insan Chahey To Wo Dein Or Duniya Ko Sath Ly Bhi Chal Sakta Hai Magar Aj Kl
Ky Insano Ny Khud Ko Duniya Ki Bhaag Dooree Mein Itna Masroof Kar Liya Hai Ky Wo
Dein Se Mukamal Tore Per Doore Hotey Ja Rhy Hain Or Ye Baat Bilkul Bhi Achi Nai
Hai ...
Mana Duniya Ka Safar Zara Mushkil Hota Hai Or Insan Usy Asan Bananey Mein Din
Raat Ek Kar Deta Hai Magar Wo Ye Kiu Bhool Jata Hai Ky Dein Ka Safar Bilkul Bhi
Nai Mushkil Agar Wo Khudko Khuda Ky Qareeb Kar Ly To Wo Usy Asani Se Paar Kar
Sakta Hai .. 😊
"Wo Shaks Kabhi Kameeyab Nai Ho Pata Jis Mein
Duniya Ki Naqami Ka Khoof Dein Ki Maeeyabi Ki
Chahat Se Zayada Ho"
Ehlaqi Sabak:
Dubniya Mein Kam Zarure Karo Magar Apne Dein Ko Sath Sath Rakh Ky Warna Tum
Duniya Mein To Kameeyab Ho Hi Jaoe Gy Magar Dein Mein Naqami Tumhy Barbad Kar Dy
Gi...😊