Zindagi Kia Hai ?Aik Khubsurat
Khawab Ya Aik Khouf Naak Haqeekat Jab Ye Tootta Hai Pashymani Ky Siwa Kuch Hasil
Nahi Hota .Zindagi Aik Aysa Phool Hai Jo Apni Khubsurti Ky Liye Kantoo Ka Sahara
Lyta Hai.Jin Logo Ko Zindagi May Har Asaeesh Muhaya Hoti Hai Zindagi Inky Liye
Aik Khubsurat Khawab Sy Kam Nahi Or Jin Logo Ko Rozana Zindagi Ky Naam Pay
Mushkilat Ka Samna Karna Parta Hai Inky Liye Zindagi Aik Khof Naak Haqeekat Ky
Siwa Kuch Nahi ,Lakin Zindagi Ko Khof Naak Nhi Samajna Chaea Ku Ky Ghtatoop Har
Rat Ky Bad Saweera Yakeeni Amr Hai Zindagi Aik Aysa Darama Hai .Jis May Haqeekat
Bi Hai.Natak Bi ,Zindgai Andheery,Gham,Ujaly Or Khushiyun Ka Haseen Saungam Bi
Hai . Zindagi May Muskilat Ka Ana Zindagi Ka Aik Hisa Hai , Kuky Khushiyun Ki
Pehchan Gham Sy,Roshni Ki Pehchan Andhery Sy Hoti Hai Insan Ko Kisi Mor Par Bi
Mayous Nahi Hona Chaea , Mayousi Gunah Hai Kisi Bi Mushkil Waqt May Himat Nahi
Harni Chaea In Ka Datt Kar Mukabla Karna Chaea Yehi Kamyab Zindagi Guzareny Ka
Raaz Hai.