Galti/Mistake Kia Hoti Hai Yai
Galti...
Kia Yai Sirf Dsry He Krty Hain? Q Yai Kisi Ko Apny Andar Nazar Ni Ati...Q Sirf
Dsroun Mai He Galtiyan Hoti Hain..Q Kch Koi Khd Galat Ni Kr Sakta Q Baqi Sb Sirf
Galat He Nazar Atay Hain...
Yai Saray Q K Baray Mai Koi Q Ni Sochta....Q Koi Insan Ni Samjhta K Samny Wala
Bhi Insan Hai...Yai Sary Q Zindagi Mai Shayad Har Koi Sochly, K Har Insan Apny
Liay Hamesha Acha He Sochta Hai Or Usay Yai Sochny Ka Haq B Hai To Shayad Koi
Kisi Ko Galat Na Kahy...
Q K Bhaiee Us Ka Haq Hai Na Apny Baray Mai Acha Sochna...Ab Wo Galat Kr Rha Hai
To Sb Q Usay Theek Krna Chahty Hai Allah Py Choro Na Yai Sb Q Khd He Samny
Kharay Insan Ko Sahi Krna Hai..Q Hamein He Usay Sahi Krna Hai...Or Sahi Krna B Q
Hai Us Ny To Apny Baray Mai Sahi Soch K He Kch Kia Hai Na?Kia Usay Apny Baray
Mai Acha Ni Sochna Chahyei?
Jitny Q Meri Is Baat Mai Hain Us Sy Kahi Ziada Mere Dimag Mai Hain...
Agar Log Insan Ko Insan Samjhna Shroo Krdein To Shayad Yai Dunya Behtaree Ki
Taraf Jaie...Lekin Ni Bhaieeee..Kahan Samjhna Hai Kisi Ko Insan...
Lagy Raho Aik Dsry Ko Sudharny Mai...Apny Andar Jhank K Mt Daikhna K Kia Masla
Hai...
Khair Baat To Yai Samajh Ni Ati K Agar Hum Yai Jaan Lein K Us Insan Ny Kch Soch
K He Yai Kia Hoga,Ya Us Ka Perspective Jannay Ki Koshish Krlein To Shayad Ap
Kisi Ko Galat Na Kahein...
Hamari Adhi Zindagi Dsroun Ko Galatiyan Batany Mai He Nikal Jati Hai Agar Wahi
Adha Waqt Hum Apni Galatiyan Dhoondny Or Un Ko Sudharnay Mai Laga Dein To Shayad
Bht Soun Ka Bhala Hojaie...
Samnay Wala Hamesha Galat Ni Hota,Zara Ruk K Us Ki Jaga Py Apny Ap Ko Rakh K To
Daikho...Door Sy Baithy Mashwary Daina Or Yai Kehna K " Yai Galat Hai Ya Yai
Galat Kr Raie Ho" Bht Asan Hota Hai..
(Continued)