Pata Nhi Hum Apny Kismat Kai
Faislain Pury Yaqeen Ka Sath Kasy Krlaity Hain Jub Ki Humy Pata Hota Hai Ka
Qismat Kai Kamom Mai Insan Ka Koe Amal Dakhal Nhi.Qismat Ka Qalam Tu Us Paida
Krny Waly Ka Hath Mai Hai Jis Ka Ikhtiyar Kainaat Kai Zary Zary Par Hai Lakin
Insaan Ka Iktiyar Tu Khud Apny Zinda Wajud Sai Nikalty Huay Aik Sans Pai Bhe
Nhi.Kabhe Kabhe Insan Bohot Aagy Tak Ki Mansubabandi Krchuka Hota Hai.Apny
Khayalon Ki Dunya Mai Apny Aany Wali Zindagi Par Nigah Jamaye Iradon Ki Ak Ak
Seedi Lagaty Huay Khuwahishon Ki Bohot Badi Amarat Khadi Krdaita Hai Aor Apny
Khayalon Mai Hi Us Buland O Baala Amarak Ki Aunchaae Pai Khady Hokar Hath
Phelaye Har Taraf Sai Aany Wali Kamiyabiyon Ki Hawaon Ko Mehsus Karta Har.Phr Ak
Nigah Aamarak Ki Unchaae Sa Har Us Cheez Pai Doorata Hai Jo Us Ka Samny Choti
Nazar Aati Hai Lakin Askar Haqeeqat Mai Wo Apni Khuwahishon Ki Buland O Baala
Amarat Ki Pahli Seedi Pai Hi Qadam Rakhty Huay Phisal Jata Hai.Us Waqt Insan Ko
Is Baat Ka Yaqeen Hota Hai Ka Insan Ka Khud Apni Zindagi Par Koe Ikhtiyar Nhi.Us
Ki Khuwahishon,Pasand Napasand Aor Choices Ki Qismat Kai Aagy Koe Haiseyat
Nhi.Honi Ko Koe Cheez Nhi Taal Sakti .Honi Ko Har Haal Ma Hona Hi Hai.Insaan Ki
Aqalmandi Isi Mai Hai Kai Wo Apni Qismat Kai Aagy Sar Tasleem E Kham Kar
Dy.Lakin Jub In Sub Baton Pai Ghor Kya Tu Hazarhan Sawalat Nai Zehen Mai Janam
Liyan.Bohot Sa Sawalon Kai Jawab To Khud Mil Gayan Lakin Phr Bhe Zehen Mai Kae
Uljhany Paida Hogae Jasy Agr Hona Wohi Hai Jo Qismat Mai Likha Ho Chahy Insaan
Jitna Bhe Hath Pair Que Naa Marly Tu Phr Dua Ka Ikhtiyar Insaan Kai Pass Q Hai
Lakin Phr Dil Nai Is Ka Jawab Dai Diya Kai Duaon Sai Tu Qismat Bhe Badalti
Hai.Phr Is Jawab Kai Baad Ak Umeed Dil Mai Paida Hue Kai Han Duaon Sai Tu Waqae
Mai Qismat Badalti Hai Bs Insaan Ko Allah Pai Aor Apni Duaon Pai Bharosa Hona
Chahiya Phr Achanak Ak Aor Khyal Na Zehan Mai Kae Sawal Paida Krdiyan .Kuch Din
Pahly Ak Kitaab Mai Is Jumly Pai Nazar Padi Kai Allah Woh Nhi Krta Jo Hum Chahty
Hain Balqi Wohi Karta Hai Jo Hamary Liya Behtar Hota Hai Aor Phr Yai Sawal Kai
Hum Tu Jo Dil Nai Kaha Ak Lambi Feherist Allah Kai Samny Paish Krdaity Hai Ab
Hamy Kya Pata Kai Hamari Konsi Mangi Hue Dua Hamary Haq Mai Behtar Hai Aor Konsi
Dua Nhi.Matlab Kai Ab Sari Duayan Ya Phr Dunyawi Khuwahishan Bhe Puri Nhi Hongi
Lakin Chahti The Kai Ak Asa Jawab Mily Jis Sai Umeed Paida Ho Kai Nhi Koe Tu
Rasta Hai Kai Hum Allah Sai Hi Apni Har Jaiz Hajat Ki Qabuliat Ka Yaqeen Rakhy
Que Kai Insaan Kai Paas Awal Aor Akhri Sahara Khuda Hi Ki Zaat Hai Jis Sai Wo
Apni Saari Umeedy Wabasta Kar Laita Hai Phr Dil O Dimaag Mai Rache In Sawal O
Jawab Kai Kashmakash Mai Kuch Din Pahly Ak Aor Kitaab Mai Moujud Is Khubsurat
Jumly Nai Sari Uljhany Suljhadi.Wo Yai The Kai Allah Apny Bandon Sai Farmata Hai
Kai Tu Wo Karta Hai Jo Tu Chahta Hai Lakin Hota Wohi Hai Jo Mai Chahta Hun.Tu Wo
Kar Jo Mai Chahta Hu Aor Phr Dakh,Hoga Wohi Jo Tu Chahy Ga.Subhan Allah.Kitny
Khubsurat Jumly.Agr Koe Bhe Insaan Kuch Dair Kai Lya In Jumlon Pai Ghor Kry Kai
Allah Apny Bandon Sai Kya Chahta Hai Aor Badly Mai Khud Insaan Ko Kya Mily Ga Tu
Insaan Ki Sari Uljhany Sulajh Jayangi.Hamari Naaqis Aqal Tu Samny Moujud Aik
Pardy Kai Pechy Ki Kaifiat Bhe Waazeh Alfaaz Mai Bayaan Nhi Kar Sakti Aor Kahan
Wo Khuda E Taala Kai Jo Is Dunya Mai Moujud Hazarhan Pardon Kai Pechy Moujud
Hamzarhan Razon Sai Bhe Waqif Hain.Us Khuda Ki Hikmat Ka Andaza Insaan Ki Mehdud
Aqal Kahan Laga Sakti Hai. Insaan Yai Tu Nhi Janta Kai Us Kai Lya Kya Behtar Hai
Lakin Khuda Yai Zarur Janta Hai Ka Us Kai Bandy Ki Behtari Kis Cheez Mai
Hain.Kabhe Kabhe Asa Bhe Hota Hai Ka Hum Apny Mustaqbil Sai Mutaliq Hazarhan
Khuaab Zehnon Mai Sajaty Hai Aor Khuda Pai Umeed Bhe Hoti Hai.Apny Maqasid Mai
Kamiyabi Ka Lya Khuda Kai Bargah Mai Hath Phailaye Gid Gida Kar Khuda Sai
Faryaad Bhe Kartain Hain Lakin Jub Wasa Nhi Hota Jasa Hum Chahty Hain Tu Phr
Khuda Kai Samny Shikayaton Kai Ambaar Laga Laity Hain.Kya Insaan Ki Khuda Pai
Umeed Ka Matlab Yahi Hai Ka Us Nai Jo Bhe Jasa Bhe Manga Ho Chahy Wo Us Kai Haaq
Mai Behtar Hoya Ya Na Ho Khuda Usy Daidy. Yaa Phir Yai Kai Hamari Khuwahishy
Puri Hogae Tu Hamari Umeed Khuda Pai Barqarar Rahi Aor Jub Wasa Nhi Hua Jasa Hum
Nai Manga Tha Tu Hamari Umeed Toot Gae.Lakin Phr Yahan Aik Sawal Kai Hamari
Umeed Toot Gae Tu Phr Hamary Pass Dusra Rasta Konsa Bachy Ga.Wo Khuda Jo Yai
Dakhty Huay Bhe Kai Us Kai Bandy Kai Gunah Kitny Bady Hain,Us Ka Banda Us Ki
Kitni Hi Naafarmaniyan Karha Hai, Wo Apny Naaimaton Mai Zarra Barabar Bhe Kami
Nhi Karta Balki Us Mai Farawani Karta Jata Hai.Que Kai Khuda Janta Hai Kai
Hamary Pass Us Kai Ilawa Koe Sahara Nhi.Chahy Kitny Baar Bhe Hamary Umeed Tooty
Lakin Jaa Jaa Kar Humy Phr Sai Usi Kai Samny Hath Pailana Hai.Hamari Umeed Nai
Phr Sai Usi Khuda Ki Taraf Rujuh Karna Hai.Afsos Ki Baat Tu Yai Hai Kai Hamari
Umeed Akhar Tootti Hi Q Hai.Halankai Hamay Waqt Kai Sath Aksar Ahsas Bhe Hojata
Hai Kai Khuda Kai Hukum Sai Hamary Sath Jo Hua Aor Jo Nhi Hua Donon Hamary Haq
Mai Bahtar Thy.Jasy Jub Mai Apny Maazi Ki Taraf Ak Nazar Dodati Hu Tu Mujhy Ab
Is Baat Ka Andaza Hota Hai Kai Wo Duan Jo Mai Nai Us Waqt Tu Khuda Sai Bohot Dil
Sai Mangay Thay Lakin Jub Wo Pury Nhi Huay Tu Bohot Maayusi Hue Lakin Phr Waqt
Kai Sath Ahsas Hua Kai Wo Mary Haq Mai Behtar Hi Nhi Thy Aor Is Baat Ka Bhe
Ahsas Hua Kai Khuda Nai Us Sai Bhe Behtar Mary Liya Socha Tha Jo Har Lihaaz Sai
Mary Liya Bahtar The.Shayad Hamari Umeed Kai Totna Hi Is Baat Ki Nishani Hai Kai
Hamara Imaan Kitna Kamzoor Hai.Aik Asa Insaan Jis Ka Imaan Aor Khuda Pai
Tawwakul Mazbut Hoga Wo Apni Har Dua Ki Qabooliat Sai Is Baat Ka Andaza Lagaye
Ga Kai Is Mai Khuda Na Us Ka Liya Behtari Dakhi Hogi Isi Liya Us Ki Dua Ko
Qaboliat Ki Manzil Tak Pohoncha Diya Aor Jub Us Ki Koe Dilli Muraad Puri Nhi Ho
Chahy Us Ki Khud Jitni Bhe Arzu Q Na Ho Tu Is Baat Ka Andaza Lagakar Kai Is Mai
Khuda Ki Koe Hiqmat Shamil E Haal Hogi Us Kai Yaqeen Mai Aik Tinky Barabar Bhe
Kami Nhi Aya Ge Que Kai Wo Janta Hai Kai Khuda Hi Ka Hath Mai Hai Sub Kuch Aor
Yai Bhe Ka Khuda Hi Apny Akhtiyaar Sai Us Kai Liya Sub Sa Behtar Faisla Kar
Sakta Hai.