Bismillahi Rehman E Raheem
Aaj Aik Munfaridh Sawaal Jo Mai Padhny Walon
Sai Karna Chahti Hu Gou Kai Is Sawaal Ki Koe
Haqeeqat Yai Phir Karny Ka Koe Ziyada Faida
Nhi Magar Is Kai Bawajud Bhe Chahti Hu Kai
Aap Apny Aap Sai Aik Baar Zaroor Puchy Aor
Dakhy Kai Aap Ko Is Sawaal Ka Kya Jawaab
Milta Hai .Wo Sawaal Yai Hai Kai Agr Aap Ko
Bilfarz Kai “Aladeen Ka Cheeraagh”Mil Jaye
Aor Aap Kai Ikhtiyaar Mai Ho Kai Aap Apni
Koe Aik Sub Sai Aham Dili Khuwahish Ko
Haqeeqat Ka Jama Pehnasakty Hain Tu Wo
Khuwahish Kiya Hogi?
Is Sawaal Kai Jawabaat Aap Sub Padhny Walon
Kai Yaqeenan Aik Dosry Sai Mukhtalif Hongy
Jin Ka Andaza Mai Nhi Laga Sakti, Han
Albatta Mujhy Is Baat Ka Zaroor Ilm Hai Kai
Is Sawaal Kai Jawaab Ma Mai Na Apni Konsi
Sub Sai Aham Khuwaahish Ko Samny Rakha.Is
Sawaal Kai Jawaab Mai Mary Dil O Dimaagh Kai
Baaham Itfaaq Sai Jis Khuwaahish Nai Sub Sai
Pahly Dastak Di Wo Koe Aalishaan
Mehel.Chamchamaati Hue Gaadiyan,Doolat O
Shohrat Nhi Balki Apny Bachpan Kai Sub Sai
Sunehry Dinon Ko Dobara Paany Ki Khuwahish
The.Insaan Chahy Jitna Bhe Dolat Kamaaly,Uos
Kai Aagy Peechy Mulazimon Ki Rail Pail
Ho,Apni Tamaam Khuwahishon Ko Chutkiyan
Bajaty Sath Hi Pura Karny Ki Heysiyat Rakta
Ho Lakin Jo Dili Sakun Aor Khushi Bachpan
Kai Dinon Kai Sath Waabasta Hoti Hai Us
Sakoon Aor Khushi Ko Wo Apni Puri Doolat
Lutaakar Bhe Haasil Nhi Karpaa Sakta.Bachpan
Ka Door Har Insaan Ki Zindagi Ka Sub Sai
Khubsurat Door Hota Hai Jub Insaan Zindagi
Ki Talkh Haqaaiq Sai Anjaan Apny Aap Mai
Magan Hokar Apny Masoomiat Sai Bharpoor
Choty Choty Khuwahishon Ko Pura Karky Apni
Zindagi Ko Khushiyon Sai Bhar Daita
Hai.Bachpan Zindagi Ka Wo Paakiza Door Hota
Hai Jis Door Mai Insaan
Hasad,Bugzh,Keena,Nafrat Jasy Tamaam Gunahon
Aor Baatini Beemariyon Sai Dur Garz Kai Har
Tarah Kai Aaybon Sai Paak Waqeeyatan
Farishton Ki Si Sifaat Sai Hamkanaar Hota
Hai.Bachpan Kai Khubsurat Yaadain Tu Us Rang
Barangay Phulon Sai Ladain Huen Guldasty Ki
Tarha Hoti Hai Jis Ki Yaadon Ki Mehek Insaan
Ko Marty Dam Tak Mehsus Hoti Rehti Hai Aor
Jis Ki Khushbu Mai Guzarty Huay Waqt Kai
Sath Koe Kami Mehsus Nhi Hoti.Waqt Tu Guzar
Jata Hai Aor Peechy Sirf Aor Sirf Achy Aor
Bury Yaadain Reh Jati Hain Jo Kai Insaan Kai
Nazdeek Sarmaye Ki Si Heysiyat Rakhti Hai
Aor Isi Sarmaye Mai Sai Sub Sai Khubsurat
Hissa Bachpan Kai Yaadon Pai Mubni Hota
Hai.Jub Insaan Bachpan Ki Dehleez Paar Karky
Umar Si Seediyan Chadny Lagta Hai Tu Usy
Apny Guzry Huay Waqt Yaani Kai Bachpan Ki
Qeemat Ka Andaza Hony Lagta .Phir Apni Akhri
Saan Tak Bachpan Ka Pura Door Aik Khubsurak
Khuwab Ki Tarha Insaan Kai Zehnon Mai
Gardish Karta Rehta Hai…