Zarurate Rishta

(Bakhtiar Nasir, Lahore)

Aik Nauumr Sayyed Zada, Seena Kushada, Naik Chalan Aur Sidda Sadda, Lamba Kam, Past Zyada, Husan Ka Dildada, Shadi Par Amada, Khub Surato Jawan. Aala Khandan, Arsey Sey Pareshan Kay Liay Aik Haseena Misle Hoor, Nashae Shabab Main Chur, Chashm Makhmoor, Chehra Purnoor, Baatameez, Baashaur, Baaaadab, Baahayaa, Sabqa Sukunat Zilla Gya, Baahunur-O-Salleqamand, Saum-O-Salath Ki Paband, Na Shaiq Surkhio Kireem, Mamuli Taleem, Mah Jabeen, Beh Had Haseen, Parda Nasheen, Baqaid-E-Had, Past Qad, Aahista Kharaam, Shaista Kalam, Piaara Sa Naam, Ajubae Kainat, Rafiqae Hayat Darkar Hai,  Warna Zindagi Baikar Hai. Masehri Ya Charpai, Rooi Bhari Razai, Chand Zaiwar Talai, Kuch Kursian Aur Maiz, Bas Is Qadar Jaihaiz. Larka Go Anari Hai Magar Karobari Hai. Aik Chohti Dukan Aur Munh Main Zaban Rakhta Hai. Mazeed Baat Cheet Bilmashafa Ya Bazarya Lififa. Khato Kitabat Pabindie Sighae Raaz Hai. Dausto' Yah Arzudah Dil Ki Aawaaaz Hai.

(Sabraang Digest)
 

Bakhtiar Nasir
About the Author: Bakhtiar Nasir Read More Articles by Bakhtiar Nasir: 75 Articles with 110846 views A man likes for what he thinks you are; a woman for what you think she is. { Ivan Panin }.. View More