Saab Jhooth
(Fazal Rehman Swati , Swat)
Islamabad Mein Ke Aik Park Mein
Betha Mein Soch Raaha The Ka Kash Koi Haseen Dosheza Hoti Mere Sath Tu Kitna
Maza Ata Mein Ye Soch Hi Raha Ke Pass Se Aik Khubsurat Haseen Larki Ka Udhar Se
Guzar Howa Isheq Our Transport Mein Dear Insan Ko Manzil Se Door Kart Deti Hia
Ye Soch Kr Mein Nai Dear Karna Munasib Na Samjha Ke Kaheen Mein Manzil Se Dor Na
Ho Jaon Waise Ya Mere Aaba Ji Ka Qaol Hai Ke Kabhi In Do Mamlo Mein Dear Nahi
Karni Chahiye Aba Ji Ke Hukam Ki Takmeel Ke Liye Our Apne Aap Ko Farmabadar Beta
Sabit Karne Ke Liye Mein Nai Foran Us Haseen O Jameel Larki Ka Hath Tham Liya
Our Un Se Kaha Kia Aap Mujh Se Isheq Karoo Gi Pehle Tu Wo Mujhe Ghoor Se Dekhne
Lagi Phir Gusaay Mein Boli Ye Isheq Kia Hota Hai Kis Bala Ka Naam Hai Mein Bhut
Dear Es Sawal Ka Jawab Talash Karta Raha Lakin Mujhe Es Ka Jawab Apne Es Kaam
Aqal Wale Demagh Mein Talsh Krna Aik Namumkin Sa Kaam Laga Mein Us Haseen
Naznain Ki Taraf Bare Ghoor Se Dekh Raha Tha Achanak Aik Police Wale Ki Hum Par
Karam Ki Nazar Pare 7 Fit Ka Aik Jawab Meri Taraf Bara Our Hum Duno Ko Dekh Kar
Us Ke Mooh Se Aik Bari Se Awaz Nikli Awaz Khasi Daroni Thi Mein Nai Apne Es Kam
Aqal; Wale Demagh Se Es Baat Ka Andaza Laga Liya Tha Ke Wo Mujhe Jaise Badsurat
Shaks Ke Sath Aik Adam Jannat Ki Hor Ko Dekh Kar Aisa Kar Guzara Tha Waise Use
Ye Shayad Tawaqu Nahi Thi Police Wale Nai Thori Dear Bad Sakoot Ke Mahool Ko
Tora Our Guse Se Hum Se Pocha Aap Kia Batain Ge Kya Kar Rahe The Uff Kismat Bari
Mushkil Se Jannat Ki Aik Hor Mili Thi Jaise Ya Jallad Sifid Police Wala Mujh Se
Chean Raha Tha.
Gussa Tu Mujhe Bhut Aya Lakin Kahan Qanoon Ke Rakhwale Kahan Aik Muazaz Shehri
Mein Nai Kaha Bhai Na Chahte Hoye Bhi Bhai Kehna Para Ke Hum Log Tu Isheq Ki
Baat Kar Rahe The Police Wale Nai Ghor Se Meri Taraf Dekha Our Kaha Mujhe Tum
Shakal Se Chor Lagte Ho Ya Deshat Garad Tumein Mein Police Station Chal Kar
Batounga Tum Sb Kuch Bool Do Gey Na Chahte Hoye Bhi Humein Us Zalim Safak Shaks
Ke Sath Jana Para Rastae Mein Us Nai Mujh Se Daryaft Kiya Ke Apke Jaib E Mubarak
Mein Kitna Hadiya Para Hai Mein Nai Ghoor Se Us Ki Taraf Dekha Our Meni Khais
Nighhoon Se Us Ki Taraf Dekhne Laga Us Nai Mujhe Aik Tapar Raseed Kar Ke Pocha
Ke Mein Nai Tumein Koi Gali Nahi Di Jo Tu Mujhe Aise Dekh Rahe Ho Mein Nai Kaha
Yae Gali Se Kaam Nahi Ke Mera Na Koi Rozgar Hai Na Karobar Na Nokri Na Chokri
Khuch Nahi Hai Mere Jaib Mein Photi Kori Bhi Nahi Police Wale Ko Es Ki Umeed
Nahi Thi Us Nai Mujhe Kaha Tum Mujhe All Qaida Ke Agent Lagte Ho Wo Us Nai Larki
Se Pocha Ke Aap Ke Beg Mein Kitne Paise Hai Tu Us Nai Kaha 500 Poilce Wala Khush
Howa 500 Lai Kar Use Tu Chor Diya Or Sath Kaha Tum Shareef Gharane Ki Lagti Ho
Tum Aik Achai Pakistani Shehri Ho Us Se Mafi Bhi Mang Li Our Kahan Us Larki Se
Ke Qanoon Jahan Note Dekhta Hai Tu Qanoon Whan Andha Ho Jata Hai Use Jane Diya.
Mujhe Se Kehne Lga Kash Tumhare Jaib Mein Khuch Paise Hote Tu Aaj Tum Bhi Tum
Chot Jate Barhaal Wo Mujhe Police Station Le Gaya Wahan Bethe Sho Ko Mukhatib
Kar Ke Police Wale Na Kaha Sir Mein Nai Es Jawan Ko Aik Bhut Hi Sakhat Muqabile
Ke Bad Girftar Kiya Hai Ye Mujhe Aal Qaida Ra Mosaad Saab Ka Agent Lagta Hai Sho
Nai Mujhe Se Pocha Ke Kia Tum Aisa Kar Sekte Ho Ke Qanoon Ko Majbor Kar Do
Qanoon Ke Paon Mein Paise Ki Zanjer Dal Do Mein Nai Nafi Mein Sar Hila Diya
Mujhe Wahan Pura Insaaf Mila Rahi Sahi Kasar Jail Mein Puri Ho Gayi Mein Jab
Court Gaya Tu Wakel Ki Fee Nahi Thi Es Liye Mujhe Koi Wakeel Na Mil Saka Court
Ke Rejistar Nai Mujhe Mukhatib Karte Hoye Kaha Ke Agar Tum Khuch De Do Tu Mein
Justices Sahib Se Tumein Es Case Se Bari Karwa Lounga Mein Nai Wahan Bhi Nafi
Mein Sar Hila Diya Mujhe Juj Nai Moot Ki Saza Suna Di Jaab Mein Passi Charne
Laga Tu Dil Mein Ye Khayal Aya Kiun Na Saddam Ki Tarha Hero Ban Jao Par Jab Mein
Nai Nechay Dekha Chah Ki Taraf Tu Khoof Se Mein Kapne Laga Meri Maah Ro Rahi Thi
Mein Nai Maah Se Kaha Maat Ro Mein Shaheed Hone Ja Raha Hon Maah Nai Meri Jotoon
Se Tokhaiyi Ki O R Kehne Lagi 16 Cror Mein Aik Tu Hi Reh Gaya Tha Shaheed Hone
Ko Maah Ki Maar Ka Aisa Asar Howa Meri Ankh Khol Gayi Mein Nai Dekha Mein Apne
Bed Par Hon Phir Mein Nai Shukar Ada Kia Rubb Ka Our Uth Kar Fajar Ki Nimaz
Parne Chala Gaya.