Aietraf-E-Shiskast

(Rizwana Khan, karachi)

Ek Bare Se Khel Ke Maidan Mein Mehelle Ki Team Ka Cricket Match Khela Jaraha Tha.Bowller Line Aur Length Per Bowling Kar Raha Tha Jabke Batsman Singal Double Runs Le Raha Tha Aur Kabhi Ooncha Shot Laga Ke Choka Ya Chakka Bhi Mar Deta Tha.Sab Tamashai Khel Se Bharpoor Tareeqe Se Lutfandoz Ho Rahe They.Waheen Maidan Mein Unhi Players Ka Hum Umr Magar Basalahiat Aur Un Se Zara Ziada Tajarbe Kar Player Bhi Khara Match Dekh Raha Tha Ke Achanak Uske Dil Mein Apni Barai Aur Ahmiat Dikhane Ka Khayal Aaya.Wo Batsman Ke Pas Gaya Aur Us Se Kaha"Lao Bat Mujhe Do.Main Batata Hoon Ke Runs Ka Dher Kaise Lagate Hain"Batsman Ne Khamoshi Se Bat Usey Dia Aur Khud Door Hat Ker Uski Batting Dekhne Laga.Naey Player Ne Bohat Josh Mein Aake Ek Kafi Ooncha Shot Khela Aur Boundry Ke Qareeb Mojood Fielder Ke Hathon Aasani Se Catch Out Hogaya.Ab Usey Dil Hi Dil Mein Bari Sharmindgi Hui Lekin Aietraf-E-Shikast Karne Ki Himmat Na Thi Tou Apni Khajalat Chupane Ke Liey Ye Keh Ker Chala Gaya"Dekha Tum Ne Main Ye Hi Sikhana Chahta Tha Ke Aiese Nahin Khelte Warna Jaldi Out Hojate Hain"Tamam Players Usey Hairan Pareshan Ho Ker Dekhte Reh Gaey.

Rizwana Khan
About the Author: Rizwana Khan Read More Articles by Rizwana Khan: 48 Articles with 82325 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.