Aisi Ye Duniya Kyoon Hay......?
(Fehmida Chaudhary, karachi)
Raste Khud Ba Khud Ban Jatay
Hain Sirf Manzil Ka Tayun Kerna Zaroori Hay... Jab Manzil K Nazdeek Pohanch
Jatay Hain Tou Lagta Hay K Manzil Asan Thi Phir Is Qadr Kathnayan Kyoon Muqader
Bani...Beher Hal Zindagi Kat He Jati Hay Kabhi Manzil Ki Talash Main Aur Kabhi
Tamam Umer Bhatuktay Howay ...Hamsafar Na Bhi Ho Tab Bhi Aur Ho Tab Bhi ...Moat
Itna Nahi Rulati Jitna K Zindagi Rulati Hay....Kabhi Aansoon Ka Samander Aur
Kabhi Khoon K Aansoo Jisko Dekho Wohi Hay Apnay Ghum May Dooba Howa....Is Qadr
Doba Howa K Apnay Ilawa Kisi Aur Ka Hosh He Nahi....
Main Nay Zindagi Say Ye Sekha Hay K Sach Ko Apna Hathyar Bana Ker Larnay Walay
Log Aksar Duniya Ki Jaang Har Jatay Hain....Shikist Unka Muqadar Banti Hay..Aur
Jhoot Ki Parastish Kernay Walay Musafir Akser Paar Uter Jatay Hain ....Na Janay
Aisa Kyoon Hota Hay...Per Haqeeqat Yehi Hay Aur Karwi Haqeeqat .....Aur Is Say
Kisi Taur Inkar Nahi Ho Sakta....
Zindagi Main Aik Aur Cheiz Jo Meray Mushahiday Main Aye Wo Ye K Jin Logon K Liye
Hum Purkhaloos Howay Hain ...Inteha Ki Mohabat Kertay Hian Wohi Hamain Dosray
Logon K Muqabalay Main Sub Se Pehlay Daggah Day Jatay Hain ...Meri Zindagi Main
Ab Tak Siwaey Aik K Sub He Dagahbaz Aye ....Meri Mohabat , Meray Khaloos , Meri
Saadgi Ko Meri Kamzori Samajnay Walay Log Meray Dil Say Uter Jatay Hain Mujhay
Kisi Qism Ka Badla Nahi Chaheye Na He Kisi Qism Ki Asnad....Magar Kam Nikal
Janay K Bad Un Logon Ki Ankhon Ka Rang Badal Jana Aur Unki Asliat Ka Zaahir Ho
Jana Bohat Dard Deta Hay....Takleef Deta Hay.....Magar Yehi Duniya Hay...Yahan
Aisa He Hota Hay...Her Chamaktay Chehray K Peechay Aik Ghinaowna Chehra Jo
Dikhta Kuch Aur Hay Aur Hota Kuch Aur Hay.....Kehta Kuch Aur Hay Aur Kerta Kuch
Aur Hay....
Faraib Ka Aik Jaal Sa Hay Jo Her Shaks Dosray Shaks K Gird Bunta Hay Aur Tawakoo
Ye Kerta Hay K Us K Saath Sirf Bhaalai He Ho....Usko Jo Milay Wo Purkhaloos Ho,
Wafadar Ho,Magar Khud Koi Apnay Ap Ko Aainay Main Nahi Dekhta ...K Wo Khud Kia
Cheiz Hay...
Yehi Duniya Hay.....Janay Ye Duniya Aisi Kyoon Hay..Badalna Chaho Bhi Tou Na
Badalnay Wali...Tou Kyoon Na Aisa Karain Hum Apnay Ap Ko Badlain.......K Apnay
Ap Ko Badalna Tou Duniya Ko Badalnay Say Bhi Ziada Mushkil Hay......
Fehmida Chaudhary