Insaan aur Gidh.....
(Fehmida Chaudhary, Karachi)
Main Soch Rahi Thi K Insaan Aur
Gidh Main Ab Farq Kitna Reh Gaya Hay...? Gidh Tou Maray Howon Ko Khatay Hain Aur
Ye Insaan Zinda Ko Aik Aik Boti Noch K ... Aziat De K ...Dard Day K ....Gidh
Itnay Buray Tou Na Howay Na Phir....Ye Tou Maray Howon Ko Khatay Hain Jinhain Na
Durd Hota Hay Na He Ehsaas ...Na He Kisi Aur Kism Ki Takleef....
Jonkain Tou Mashoor He Khoon Peenay K Liye Hain Aur Ye Insan Mohabat Ka Natak
Ker K Shehr E Zaat Main Dakhil Ho Ker Ghont Der Ghont Khoon Peeta Hay...Qatra
Qatra Nachor Leta Hay Jism Se....Phir Bhi Ashraf Ul Makhlooqat Kehlata Hay....
Dekha Jaye Tou Zahir Main Jo Kuch Hota Hay Wo Asal Main HOTA Nahi Hay....Pata
Nahi Kisi Cheiz K Honay K Liye Kia Hona Chaheye ....Laikin Ye Falsafyana Soch
Kisi Bhi Bat Ka Jawab Nahi..Balkay Shayad Duniya Main Kisi Bhi Sawal Ka Jawab
Nahi....Hum Apnay Zehan Ko Raam Kernay K Liye Jawab Bana Tou Lete Hain Per Wo
Jawab Hota Nahi Hay...
Kon Kehta Hay K Her Aik Sheh Ka Taluq Dosri Sheh Say Jura Hota Hay...Ye Sub
Khalayat K Tanay Ba'nay Hotay Hain Jo Hamain Cheizain Ik Dosray Say Munsaliq
Nazar Ati Hay....Jab K Wo Hoti Nahi Hain....
Aisa He Kuch Insani Rishton Main Hota Hay...Koi Kisi Ka Kuch Bhi Nahi Hota Per
Dekhnay Say Aisa Lagta Hay K Apas Main Aik Dosray Ka Bohat Gehra Taluq Hay..Per
Hota Nahi Hay....
Na Maloom Ankhain Jo Dekhti Hain Wo Der Haqeeqat Hota Kyoon Nahi Hay....
Ya Jo Haqeeqat Ho Wo Dikhta Kyoon Nahi Hay....???
Nazrain Kamzoor Hoti Hain K Hamari Hiss'yat Jo Hum Ye Sub Mehsoos He Nahi Ker
Patay.....