Gumnaam Musafir ki Gumnaam Manzil
(Gumnaam Musafir, Lahore)
Mai Aik Gumnaam Musafir Hoon..
Mainay Deikhi Hain Manzilain Kai...
Goh K Hum Sub Hi Aik Mansil Ki Taraf Barh Rahy Hain Mager Us Manzil Sey Bekhaber
Ho Ker Hum Dosri Buhut Si Manziloon Ki Talash Mai Gum Rehty Hain...
Or Is Talash Mai Hum Apnay Ap Ko Bhi Bhool Jaty Hain Or Us Asal Manzil Ko Bhi.
Kisi Ki Manzil Dolat Ban Jati Hai .
Kisi Ki Manzil Shuhrat.
Kisi Ki Manzil Kisi Ko Pana Ban Jata Hai Or
Kisi K Liyey Yai Sub Hi Zarori Ho Jata Hai
Koi In Sub Chezon Sey Benayaz Ho Jata Hai Mager Wo Bhi Us Manzil K Rastay Sey
Bhatak Jata Hai
Ju Darhaqeeqat Hum Sub Ki Hi Akhri Manzil Hai ...
Or Mai Bhi Aik Gumnaam Musafir Hoon ... Mainay Bhi Deikhi Hain Manzilain Kai...
Mager Sub Arzi Manzilain.. Sub Jhoot Or Fanni...
Kya Kabhi Ap Nay Socha K Ap Ki Manzil Kiya Hai ?