Bedard Mausam

(Fehmida Chaudhary, Karachi)

Garmi Sardi Khizan Bahar Ye Saray Mausam Tou Qudrat K Banaye Howay Hain Un K Alag He Rang Hain Mujhay Tou In Mausamon K Anay Janay Ka Pata He Nahi Chalta Kab Aye Kab Gaye Meray Dil Ka Mausam Tou Her So Aik Sa He Rehta Hay Jahan Sun'nata Hay Tareeqi Hay Tanhain Hay Aik Ankahi Si Dard Bhari Kahani Hay Kia Nam Don Is Mausam Ko Haan Shayad Ye Bedard Sa Mausam He Tou Hay.

Ye Bedard Mausam Bara He Bedard Hota Hay Jo Hamaray Dilon Main Yaadon K Darwazay Khol Daita Hay Aur Wo Loag Hamain Bohat Yaad Atay Hain Jo Hamain Ghumon, Tanhaiyon Aur Tareeqiyon K Hawalay Ker Gai Hon Jin K Honay Say Hotay Thay Zamanay Apnay Ya Jin K Honay Ka Ahsas He Hamarai Subh O Sham Howa Kerta Tha Wo Jo Hamaray Thay He Nahi...Unko Apna Maan Ker Zindagi Ki Bagh Dor Thama Dali Aur Unki Betawajihi Nay Hamain Ahsas E Mehroomi Ki Gehri Khaae Main Dhakhail Dia.

Is Gehri Khaae Main Na Tou Khul K Sans Lainay Ki Gunjaish Hay Na He Is Khaae Say Bahar Anay Ka Tareeqa Samajh Ata Hay..Ajab Qaid Hay Ajab Bebasi Ka Alam Hay Qist Qist Moat Milay Tou Moat Bhi Hirasan Ho Jati Hay Main Tou Phir Insan Hon Mujhay Jeenay Ki Qistain Ada Kerni Perh Rahi Hain K Moat Ki Tamana Main Yehi Samajh Nahi Ata Hay.

Wo Jo Waday Thay Jo Guzray Waqt Nay Jholi Main Dalay Thay Jin Ki Takmeel Ki Umeed Rahi He Nahi Un Wadon Ki Ab Din Raat BARSIYAN Manati Hon Ansoon Ki Barish Aur Armanon Ki Chadar Charhati Hon Main Unhe Wadon K Mazar Per Majawar Ban K Bethi Hon Is Umeed Per K Jab Moat Apni Agosh Main Lay Mujhko Tou Main Isi Mazar K Aahaatey Main Kisi Qonay Main Dafna Di Jaon Apnay Dil K Armanon Samait Aik Masoom Si Khawahish Hay Meri K Meri Qabr Pe Aik Saya Dar Ghana Darakht Lagaya Jaye K Meri He Tarah Koi Dard Ki Mari Is Darukht Say Taik Laga K Apnay Dukhon Ko Sukh Main Tabdeel Honay K Khawab Dekh Sakay K Khawab Tabeer He Kab Patay Hain Per Wo Lutf Jo Khawab Main Khawab Pora Honay Ka Hota Hay Uski Khushi Bayan Say Bahar Hay Bedard Mausam Main Janam Lainay Walay Hum Jaisay Logon Ki Zindagi Main Patjhar Ya Khizan He Ka Sama Rehta Hay Na Bahar Ati Hay Na Khawabon K Mazar Per Phool Khiltay Hain Banjer Zameen Per Bas Ghum Ki Khudroo Jhariyan Ug Ati Hain.
 

Fehmida Chaudhary
About the Author: Fehmida Chaudhary Read More Articles by Fehmida Chaudhary: 3 Articles with 2446 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.