Tanhai
(Shumaiya Amber Gill, Karachi,Pakistan)
                Tanhai Ka Tasawur Aksar Logon 
Ko Dara Deta He.Bara Khauf Aata He Logon Ko Tanha Rehne Me.Unke Liye Tanhai Ka 
Matlab He Kisi Jagah Par Akele Rehna Aur Woh Log Jo Kisi Ki Muhobat Me Hote Hen 
Unke Liye Tanhai Ka Matlab Hota He Apne Mehboob Se Bichar Jana Aur Kisi Ke Liye 
Yeh Ek Qaid He.
Par Kuchlog Ayse Bhi Hote Hen Is Dunya Me Jo Is Tanhai Ko Qaid Nai Samjhte.Unke 
Liye Tanhai Ka Matlab He Sukoon,Dunya Ke Jhoote Bandhano Se Rehayi.Wo Logon Se 
Door Akele Rehne Me Khushi Mehsoos Krte Hen.Magar Ayse Logo Ko Humara Muashara 
Nafsiyati Mareez Kehta He.
To Phir Yeh Muashara Jawab De Ke Unke Is Haal Ka Zimedaar Kon He,Kiski Waja Se 
Wo Dard Ke Maare Log Tanhai Ka Sahara Lete Hen.Kya Iska Zimedaar Yeh Muashara 
Khud Nahi He.Humare Muashare Ke Banaye Huwe Bohat Se Ayse Khokle Rasm O Riwaaj 
Jisper Chalte Chalte Insan Itna Bebus Hojata He Ke Wo Is Muashare Se Door Tanha 
Rehne Me Sukoon Mehsoos Krta He.
Akhir Kyunkar Hi Hum In Bebunyaad Rasm O Riwaaj Or Khokle Bandhano Ko Maante 
Rahenge Aur Kab Tak.Kya Sirf Ek Baar Thande Dimaag Se In Rasm O Riwaaj Ka Jaiza 
Lekar Kisi Sahi Nateeje Per Pohancha Nahi Jasakta He.Hume Humesha Un Rasm O 
Riwaaj Ko Apnana Chaiye Jo Insani Filah O Behbood Ka Bais Bane Na Ke Insan Ko 
Andar Se Khokla Kardene Wale Rasm O Riwaaj Ko Apnana Chaiye.
Par Agar Ab Bhi Humara Yeh Muashara Is Baat Ko Nahi Samjhta.To Ek Baat Wo Jaan 
Le Ke Jis Tanhai Ko Wo Khaufnaak,Qaid,Bemaari Kehta He Yeh Un Logon Ke Liye Jo 
Is Muashare Ke Be Maine Rasm O Riwaaj Ki Chaki Me Pise Hen Sukoon Ki Panahga He 
Or Un Logon Ne Agar Tanhai Ka Sahara Liya He To Woh Bhi Inhi Be Bunyad Rasm O 
Riwaaj Ki Waja Se.
Isi Liye Khudara Ek Baar Is Pehlu Par Bhi Soch Kar Dekhen Ke Kya Humare Muashare 
Ko Yeh Zaib Deta He Ke Wo Barson Se Chalte Arahe In Be Bunyaad Rasm O Rowaaj Ki 
Waja Se Humare Hi Apnon Ko Tanhai Or Wirangi Ke Supurd Karde.