Zindagi
(Shumaiya Amber Gill, Karachi,Pakistan)
                Zindagi Ke Liye Har Insan Ka 
Matlab Faraq Hota He.Kisi Ke Liye Yeh Sirf Ek Haseen Khwaab He To Kisi Ke Liye 
Ek Karwa Sach.Kisi Ke Liye Yeh Rangon Bhari Duniya He Or Kisi Ke Liye Yeh 
Virangi Ke Ilawa Kuch Nahi.Koi Ise Phoolon Ki Saij Samjhta He To Kisi Ke Liye 
Umar Bhar Ka Dard He.
Par Sochne Or Gour Karne Wali Baat Yeh He Ke Zindagi Sab Ke Liye Ek Jaisi Kyun 
Nahi He,Har Kisi Ke Liye Yeh Phoolon Ki Saij Kyun Nahi He.Iska Jawab Yeh He Ke 
Har Insaan Ki Zindagi Isi Liye Mukhtalif Hoti He Kyunke Har Insaan Ka Ek Apna 
Nazriya Hota He Ise Lekar Jo Ke Use Un Faislon Tak Le Jata He Jo Ke Ya To Uski 
Zindagi Sanwaar Dete Hen Ya Uski Zindagi Ko Bigaar Dete Hen.
Zindagi Yun To Kisi Ke Liye Aasan Nahi Par Agar Kisi Ke Liye Yeh Zindagi Aasan 
Hui He To Yeh Un Logon Ke Liye Hui He Jinhon Ne Humasha 
Sachayi,Khudari,Mehnat,Emaandari,Watan Parasti Ka Jazba,Aur Sabse Awal Apne Rab 
Ke Liye Beloss Muhobat Ko Sabse Uper Rakha Aur Chahe Kitna Hi Tang Rasta Kyun Na 
Ho Unho Ne Apne Asoolon Par Kabhi Samjhota Nahi Kiya,Apne Rab Se Apni Muhobat Me 
Kabhi Kami Waqya Na Hone Di,Aur Ab Tak Jinhon Ne Sehal Pasandi Aur Khudgarzi Ka 
Muzahira Kiya Unhen Zindagi Ki Talkhiyan Jhelni Pari.
Isi Liye Me Apni Nojawan Nasal Se Yehi Kahungi Ke Zindagi Ko Agar Behtar Banana 
Chahte Ho To Kushada Raste Ka Lalach Karke Be-Imani Ko Apna Shewa Na Banao,Balke 
Jhoote Logon Ka Sir Neecha Karte Huwe Sirat-E-Mustaqeem Par Gamzan Raho Aur Apne 
Rab Se Hi Muhobat Rakho Dunya Ki Asaish-O-Araam Ka Na Socho,Kyune Tume Tumari 
Wafadari Or Sachayi Ke Iwaz Wo Parwardigaar Bohat Kuch Dega Jo Tumari Soch Se 
Balatar Hoga.