Moon Sighting- Real Reasons

(Nouman Younas, Karachi)

Jesa K Aaj Kal Chand K Issue Py Bohut Ziada Discussions Ho Rhi Hain Aur Aaye Rooz Nai Nai Logics Nazar Aarhi Hain. Iss Ki Detail Mei Jaye Baghyr Main Iss Issue Py Dono Parties Means ANP & Mufti Muneeb Ur Rehman Sahab K Dalail Byan Kar Dyta Hoon Taky New Readers Ko Mushkil Na Ho.

ANP Ka Kehna Hy K Unho Ny Sarhad Mei Chand Dykha Iss Liye Eid Ki Aur Yeh K Wo Saudia K Sath Eid Karna Chahty Hain.

Mufti Muneeb Ur Rehman Sahab Ka Farmana Hy K Jab Tak Chand Dykh Na Liya Jaye To Eid Nahi Ho Sakti Aur Saudia K Sath Agar Eid Manani Hy To Fajar Ki Namaz Bhi Phir 2 Hour Baad Parhain.

Hum Yahan 2 Hisson Mein Article Ko Divide Karty Hain.Pehla Part Mei Hum Quran O Hadees Ko Lain Gy Aur Dosry Hissy Mei Hum Dykhain Gy K Hamary Sub Continent K Bary Bary Ulma E Deoband & Bralvi Iss Bary Mei Kiya Kehty Thy.


Tarmazi & Sanun Abu Daood Ki Hadees Hy K Aik Aarabi Hazraz Muhammad S.A.W.W K Pas Aaya Aur Chand Dykhni Ki Gawahi Di Iss K Baad Hazrat Muhammad S.A.W.W Ny Uss Sy Musalman Hony Ki Gawahi Li Aur Bilal R.A Sy Kaha K Aalan Kar Do K Kal Roza Rakhain. Is Hades Mei Hazrat Muhammad S.A.W.W Ny Uss Arrabi Sy Yeh Nahi Maloom Kiya K Woo Aya Wo Kis Jaga Sy Aaya Hy Aur Kitny Fasly Sy Aaya Hy.

Iss K Ilwa Imam Abu Hanifa Ka Yeh Qool Dar E Mukhtar [Jild No.1 ]Mei Darj Hy K Matla Mukhtalif Hony Ka Koi Aitbar Nahi Aagar Maghrib Waly Chand Dykh Lain To Mushriq Waloon Ko Iss K Mutabiq Amal Karna Chaye.

Timming Ko Problem Kehny Walon Ko Yeh Yaad Rakhna Chaye K Islam Mei Days Chand K Nazar Aany Py Hain Aur Timming Sooraj K Hisab Sy Hoti Hain To Agar Namaz Parhain Gy To Sooraj K Hisab Sy Aur Din Hoga Chand K Hisab Sy.

Aur Jo Loog Iss Ko Firqoon Ka Masla Samjhty Hain Unn K Liye Yeh Hi Kafi Hy Read N Decide.

The Co-Founder Of Dar Al-Uloom Deoband, Maulana Rasheed Ahmad Gangohi Said: “If The People Of Calcutta Sighted The Moon In Friday, Whereas It Was Sighted In Makkah On Thursday Itself, But The People Of Calcutta Did Not Know Of It (The Sighting On Thursday); Then Whenever They Come To Know Of This, It Will Be Obligatory For Them To Celebrate Eid With The People Of Makkah And Make Up (Qada’) For The First Fasting.” [Maulana Rasheed Ahmad Gangohi, Sharh Tirmizi (Explanation Of Tirmizi), Kaukab Un Durri, Pg 336, Urdu Edition]

Aik Aur

The Founder Of The Barlevi's Said: “In The Correct And Authentic Mazhab Of Our Imams, With Regard To The Sighting Of Moon For Ramdhan And Eid, Distance Of The Place Of Sighting Is Of No Consideration. The Sighting Of The East Is Binding Upon West And Vice Versa I.E. The Sighting Of West Is Similarly Binding On East.” [Maulana Ahmad Raza Khan, Fatawa Rizwi; Vol 4 Page 568, Urdu Edition]

Iss K Ilwa Aur Bhi Bht Sy References Hain But Mery Khyal Sy Abhi Itna Kafi Hy.. Iss You Have Any Question So Ask . I`M Ready To Answer.

Nouman Younas
About the Author: Nouman Younas Read More Articles by Nouman Younas: 2 Articles with 2317 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.