Kiya Aaqa Karim Ki Aamad Kisi
Hadsay Waqay Bigray Halaat Ya Waqti Zarorat Ka Natija Thi?
Nahain,
Bilkul Nahain.
Aap Karim Ki Aamad Bohat Pehlay Say Teh Thi Aur Es Amar Say Mota'alaq Qadeem
Ambbiya Karam Kay Haan Paish’goyaan Mojood Hain. Ba’toor Namona Chand Eak Ka
Tazkira Kiay Daita Hoon:
Jama’sap Hazrat Zartusht Kay Khalifa-E-Azam Thay. Onhoon Nay Qiyamat Tak Kay
Paish Aanay Walay Hadsoon Ki Paish’goyaan Kein. Oon Main Aap Karim Ka Bhi Zikr
Baray Wazay Alfaaz Main Mojood Hai, Malahza Farmaein:
"Aaftaab Ka Kitabi Hath Ba’janab Zohra Aur Zohra Ka Gohar Wala
Hath Aatarad Ki Taraf Aur Aatarad Ka Rukh Janab-E-Zohal
Mah-O-Mushtari Yak’ja. Jab Aisa Ho To Samjh Lo Kah Sab Kaam
Thek Ho Gay. Zamana (Moashra, Halaat)Darust Ho Ja’ay Ga.
Badshah Adal Karay Ga.(1)
Phir Eak Qiran* Paray Ga Jis Main Oulad-E-Hasham
Say Eak Mard-E-Bazurgpaida Ho Ga Jo Qad Main Miyana Hai Rang Main
Gora Na Kala (Saanvala/Gandmi), Khoob’surat, Khush Kalaam,
Sehar Biyan Dawa-E-Nabovat Karay Ga. Talwaar Os Ki Burhan Ho
Gi. Apnay Mazhab Ki Zanjir Bohat Say Logoon Kay Galoon Main
Dalay Ga. Os Ka Mazhab Sathoon Walaet Main Ja’ay Ga. -------Os
Ki Ouad-E-Narena Na Rahay Gi Albata Larki Say Naam Chalay Ga.
Os Ka Dein Din Ba’din Taraqi Karay Ga." (2)
Dou Tein Hawalay Baebal Say Dararj Karta Hoon:
1- "Kiya Tum Nay Kitab Moqadas Main Kabhi Nahain Parha Kah
Jis Pathar Ko Mimaroon Nay Rad Kiya** Wohi Konay Kay Siray Ka Pathar Ho Giya(3)
Yah Khadawand Ki Taraf Say Howa Aur Hamari Nazar Main Ajeeb Hai?
Es Liay Mein Tum Say Kehta Hoon Kah Khoda Ki Badshahi Tum Say Lay Li Ja’ay Gi
Aur Os Qoom Ko Jo Os Kay Phal La’ay Ga, Day Di
Ja’ay Gi" (4)
2- "Phir Mein Nay Aasman Ko Khula Howa Daikha Aur Kiya
Daikhta Hoon Kah Eak Safaid Ghora Hai Aur Os Par Eak Sawar
Sawar Hai (5) Jo Sach Aur Ba’haq Kehlat Hai Aur Woh Rasti Kay
Sath Insaaf Aur Laraee Karta Hai. Os Ki Aankhain Aag Kay Sholay
Hain Aur Os Kay Sar Par Bohat Say Taj Hain (6) Aur Os Ka Naam
Likha Howa Hai."(7)
3- "Mein Nay Yah Batain Tumharay Sath Reh Kar Tum Say Kein.
Likin Madad’gar Yaeni Rooh-Ul-Qodas Jisay Baap Mairay
Naam Say Bhijhay Ga*** Wohhi Tumhain Sab Batain Sikhay Ga
Aur Jo Kuch Mein Nay Tum Say Kaha Hai Wo Sab Tumhain
Yaad Dala’ay Ga.
The Gospel Of Barnabas" Kay Bhi Dou Tein Hawalay Daikh Lain:
1- " As For Me, I Am Now Come To The World To Prepare The Way For
The Messanger Of God, Who Shall Bring Salvation To The World." (9)
2- " I Tell You That Thither Shall Come {Even}The Messanger Of God,
To Behold The Justice Of God. Thereupon Hell Shall Tremble At
His Presence." (10)
3- "He Is Mohammad, Messanger Of God, And When He Comth Into
The World, Even As The Rain Maketh The Earth To Bear Fruit When
For Along Time It Hath Not Rained, Even So Shall He Be Occasion
Of Good Works Among Men, Though The Abundant Mercy Which
He Shall Bring. For He Is A White Cloud Full Of The Mercy Of God,
Which Marcy God Shall Sprinkle Upon The Faithful Like Rain." (11)
Sawal Paida Hota Hai Kah Aap Arab Main Aur Kisi Makhsous Ehad Main Hi Kayoon
Tashreef La’ay?
"Khabeer" Aur Baseer, Allah Kay Dou Sifati Naam Hain. Allah Say Ziyada Koon Jany
Ga Kah Kab Kiya Hona Hai, Kiya Karna Hai Ya Kab Kiya Hona Chahiay Es Ki Allah
Say Ziyada Basirat Kisay Ho Gi. Zara Baebal Kay Es Jumlay Par Ghoor Karain:
"Es Liay Mein Tum Say Kehta Hoon Kah Khuda Ki Badshahi Tum Say Lay Li Ja’ay Gi
Aur Os Qoom Ko Jo Os Kay Phal La’ay Ga, Day Di Ja’ay Gi."
Allah Sar’kashi Pasand Nahain Karta. Tawazan Ki Kharabi Os Kay Takhleeq Kiay
Howay Kaenati Nazam Ko Darham Barham Karti Hai. Es Liay Her Seh Omour Ki
Zaroorat Kay Tehhat Aap Ka Tashreef Lana Lazam Teh Pata Hai.
Qiyamat Barpa Karnay Kay Liay Koee Daleel Aur Hujat Bhi To Hona Chahiay Thi
Ta'kah Insan Kay Pas Shakaet Ki Gonjaesh Hi Na Rahay.
Sou Gaz Rassa Siray Pay Ghanth, Aap Karim To Hamaisha Say Aur Hamaisha Kay Liay
Hain. Zara Ghoor Karain; Kalma Taeba Jo Musalmi Ki Ibtada Aur Jar Hai, Youn Hai:
La : Nahain
Ela : Mahbood (12)
Ella : Siva
Allah : Allah (13)
Allah Kay Siwa Koee Mabood Nahain
Mohammad : Hamad Kiya Giy, Jis Ki Hamd Ki Gaee Ho (14)
Rasool : Tarseel Karnay Wala
Allah : Allah
Mohammad Allah Kay Rasool
Allah Aur Mohammad (Aap Ki Khidmat Main Mujh Na'cheez Ki Taraf Se Unhaad
Daroud-O-Salam) Kay Liay Koee Tha, Hai Ya Ga Ka Sigha Mojood Nahain. Goya Oon (Donoon)
Ka Hamaisha Say Hona Sabat Hai. Woh Kab Nahain Thay Aur Kab Nahain Hoon Gay?!
Woh To "Assr" Hain. Hum "Assr" Ko Kiya Janain.
Hum To Issay Dinoon, Mahinoon, Saloon Ya Sadyoon Wala Waqt Samjhtay Hain Jabkah
"Assr" In Say Bala'tar Hai. (15)
Tasleem Ki Baat Dusri Hai. Assr Ko Tasleem Na Karnay Say Os Par Kiya Assar Ho Ga,
Kuch Bhi To Nahain, Haan Tasleem Karnay Walay Par Zaroor Assar Moratab Ho Ga.
Hum Zamanay Kay Liay Hain. Kitaab Parho Gay To Aaghi Milay Gi Nahain Parho Gay
To Kitaab Ka Kiya Bigray Ga. Jotay Jahar Kar Pehno Gay To Noqsan Say Bach Jao
Gay Warna Jotoon Ki Sehhat Par Kiya Assar Paray Ga. Chori Nahaion Karo Gay To
Pols Kay Jotay Nahain Khao Gay, Bai’izati Nahain Ho Gi, Ghar Walay Dar Ba’dar
Nahahin Hoon Gay, Moashray Ka Tawazan Kharab Ho Ga.
Zana Na Karnay Say:
1-Shaoor Aur La’shaoor Ko Noqsan Nahain Ho Ga
2- Khoof Damagh Ko Kamzoor Honay Say Bachay Ga
3- Viraj Zaya Nahain Ho Ga Jis Kay Sabab Jisam Mutwazan Rahay Ga
4- Gher Kay Ghar Tumhara Bacha Na Honay Ki Surat Main "Mama" Kehlanay Say
Mehfooz Raho Gay
Ab Yah Sab Kartay Ho To Assr Ko Kiya Ziyaan Ho Ga, Nahain Kartay To Os Ka Ossay
Kiya Faeda Ho Ga, Kuch Bhi Nahain. Wo To Waisa Hi Rahay Ga Jaisa Kah Wo Hai.
Tasleem To Yah Hai:
1- Zoban Say Iqrar Karo
2- Dil Say Mano Kah Jo Iqrar Kar Rahay Ho Ossi Tara Say Hai
3- Amal Her Dou Amoor Kay Motabaq Ho
Zamanay Ko Waqt Yah Phir Khita-E-Arz Say Makhsous Nahain Kiya Ja Sakta
Kayoon’kah Es Ka Ta’alaq Hameshgi Say Hai. Kalaam Malahza Farma Lain Es Ka
Mokhtab Insan Hai Na’kah Koee Khas Qoom Ya Khita-E-Arz Kay Log. Goya Zamanay****Kay
Jitna Qareeb Jao Gay Otna Hi Nikhro Gay, Phalo Gay, Phulo Gay, Taraqi Karo Gay.
Zamanay*****Ki Mohabat Jab Eshq Ka Roop Ekhtayar Karti Hai To Iqbal Ka Yah Kaha
Samjh Main Aa Jata Hai:
Ki Mohammad Say Wafa To Nay To Hum (16) Tairay Hain
Yah Jahan Cheez Hai Kiya, Loh-O-Qalam Tairay Hain
------------------------------------------------------------------------------
1- Nosherwaan Aadal Badshah Ka Ehad
2- Jama’sap Nama, P.15
Asal Kitab Yand Main Hai Issay Eak Fazal Irani Nay, Naam Daraj Nahain, Farsi
Main Tarjama Kiya Jab'kah Urdu Tarjama Mohammah-Ul-Wahdi
Nay Kiya Aur Yah Kitab Daftar Nazam-Ul-Mashaekh Dehli Nay Motaliya-E-Aam-O-Khas
Kay Liay 1912 Main Paish Ki.
3- Aakhri Nabi
4- Anjeel Mati Baab No. 21 V. No. 43, 44, Yah Baat Anjeel Murqas Kay Baab No. 12
V. No. 10,11 Main Bhi Daraj Hai.
Kitab-E-Moqadas, Baebal Society Anarkali Lahore, 1972
5- Maraj Shareef
6- Aap Ki Shareat Kisi Eak Qoom, Khita-E-Arz Ya Kisi Eak Ehad Tak Mahdood Nahain.
Aap Ka Peghaam Her Ba’shaoor Makhlooq Kay Liay Hai Aur Os Ki Aata’at Oon Sab Par
Wajab Hai.
7- Makashfa Baab 19 V. No. 11, 12 13 . Kitab-E-Moqadas, Baebal Society Anarkali
Lahore, 1972
8- Yohanna, Baab No. 14 V. 25, 26, 27 Kitab-E-Moqadas, Baebal Society Anarkali
Lahore, 1972
9- The Gospel Of Barnabas Chp.72 P.91 Oxford At Clearendon Press 1907
10- The Gospel Of Barnabas Chp.136 P.175 Oxford At Clearendon Press 1907
11- The Gospel Of Barnabas Chp.163 P.212 Oxford At Clearendon Press 1907
12- Jis Ki Ibadat Ki Ja’ay
13- Ism-E-Zaat
14- Already Hamd Wala, Yaeni Aaj Hi Nahain
15- Es Ko As'hab-E-Kaf, Hazrat Ozer (Pbh) Aur Hazoor Ki Miraj Kay Tanazar Main
Daikhain Gay To Moamla Wazay Ho Ja’ay Ga
16- Allah
* 20 Saal
** Hazrat Hajra Aur Hazrat Ismaeel (Pbuh)
*** Aap Nay Jumla Ambya Ki Tasdeeq Ki Aur Oon Ki Talimaat Ko Bar’haq Kaha.
Meem Mase Aur Mahammad Donoon Kay Sath Hai. M+ASE, Mo+Hammad. Sura Fatiya Main
Hamd Kay Sath Al Ka Sabqa Hai Jo Ossay Makhsous Banata Hai Issi Tara Hamd Kay
Sath Meem Ki Jurt Ossay Mukhous Suft Kay Darjay Par Faez Karti Hai.
**** Allah Aur Mohammad
*****Jo Sab Kay Liay Aur Sab Oon Kay Liay Hain