Https://Www.Facebook.Com/QADRYASMS
QADRYASMS Service Pakistan
(1). “Tum Farmao ALLAH Hi Ke Fazal Aur Usi Ki Rehmat Aur Usi Par Chahiye Ke
Khushiya Kare (Surah Yunus Ayat 58)
Is Ayat Me Allah Azzawajal Ne Apne Fazal Aur Apni Rahamat Par Khushiya Manane Ka
Hukum Diya Hai
(2). "Or Humne Tumhe Na Bheja Magr Rahmat Sare Jahan K Liye" (Surah Ambiya Ayat
107)
Is Ayat Me Allah Azzawajal Apne Pyare Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Se Farma
Raha Hai K Humne Tumhe Sirf 1 Ya 2 Aalam K Liye Nahi Balki Sare Aalam K Liye
Rahamat Bana Kar Bheja Yaha Gour Kare Allah Ne Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Ko
Rahamat Kaha Hai Aur Jo Paheli Ayat Pesh Ki Gai Hai Usme Allah Ne Apni Rahamat
Par Khushi Karne Ka Hukum Diya Hai
Jo In Ayato Ka Munkir Honga Jo Nabi Salallah Aihe Wasallam Ko Apne Liye Allah Ki
Rahamat Aur Nemat Nahi Samajta Wo Nabi E Pak Salllaho Aliahe Wasallam Ki Wiladat
Ki Khushi Se Aitaraz Karega Yani Wo Gum Manaega Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Ki
Wiladat Par
(3). “Apne Rab Ki Nemato Ka Khoob Khoob Charcha Karo” (Surah Duha Ayat11)Is Ayat
Me Allah Azzawajal Ne Hume Apni Nemato Ka Charcha Karne Ka Hukum Diya. Har Momin
Ye Janta Hai Ki Allah Azzawjal Ki Subse Badi Aur Azeem Nemat Hamare Liye Uske
Rasool Salllaho Aliahe Wasallam Hai
Is Baat Ko Samjhane K Liye Mai Quran Ki Ek Ayat Pesh Karta Hu Allah Azzaajal
Farmata Hai:“Humne Momino Per Ahesan Kiya, Ki Jab Unme Apne Rasool Salllaho
Aliahe Wasallam Ko Bhej Diya” (Sureh Al-Imran, Ayat 164)Mere Pyare Islami Bhaiyo
Aap Sara Quran Pad Lijiye Kisi Bhi Jagah Allah Azzawajal Ne Ye Nahi Kaha K Humne
Tumhe Ye Nemat Dekar Tumpar Ahesan Kiya Hai Siwae Apne Maheboob Nabi Salllaho
Aliahe Wasallam K Isse Malum Hua K Allah Ki Subse Badi Nemat Hamare Liye Uske
Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Hai…
12 Rabi Ul Awwal:12 Rabi Ul Awwal Par Tamam Ulama E Islam Ka Ijma Hai K Is Din
Muhammad Salllaho Alihe Wasallam Sare Alam K Liye Rahamat Bankar Duniya Me
Tashreef Laye Aur Isi Din Sari Duniya Me Musalman Apne Nabi Ki Wiladat Ka Jashan
Karte Hairefrance:1. Ibn-E-Ishaq (85-151 H): [Ibn Jawzi In Al-Wafa, Page 87]2.
Allama Ibn Hisham (213 H): [Ibn Hisham In As-Sirat-Un-Nabawiya, Vol. 1, Page
158] 3. Imam Ibn Jarir Tabari (224-310 H): [Tarikh Al-Umam Wa Al-Muluk, Vol. 2,
Page 125] 4. Allama Abu Al-Hasan Ali Bin Muhammad Al-Mawardi (370-480 H):
[Ailam-Un-Nabuwwa, Page 192]5. Imam Al-Hafiz Abu-Ul-Fatah Al-Undalasi (671-734
H): [Aayun Al-Asr, Vol. 1, Page 33] 6. Allama Ibn Khaldun (732-808 H): [Ibn
Khaldun In At-Tarikh Vol. 2, Page 394] 7. Muhammad As-Sadiq Ibrahim Arjoon:
[Muhammad Rasoolullah, Vol. 1, Page 102] 8. Shaykh Abdul-Haq Muhadath Dehlvi
(950-1052 H): [Madarij-Un-Nabuwwah, Vol. 2, Page 14] 9. Imam Qustallani (Alaihir
Rahma) [Al Muwahib Al Laduniya, Vol. 1, Page 88]
Milad Kis Kis Ne Manaya?
Huzoor Ke Zamane Me Masjid-E-Nabwi Me Milaad Huyi Isme Khud Huzoor Salllaho
Aliahe Wasallam Neapni Wiladat Ke Fazail Bayan Kiye.(Tirmizi Sharif, Jild 2 Safa
201)Hazrat Abu Qatada Radiallah Anhu Se Riwayat Hai Rasool-E-Karim Salllaho
Aliahe Wasallam Se Peer Ka Roza Rakhne Ke Bare Me Sawal Kiya Gaya To Aap
Salllaho Aliahe Wasallam Ne Farmaya K Isi Din Meri Wiladat Hui Aur Isi Din Mujh
Par Quran Nazil Hua"(Sahih Muslim Jild 2.Hadith No 819 .Page 1162)(Nasai Al
Sunane Kubra Jild 2 Hadith 146 Page 2777)Jab Huzur Sallallaho Alihe Wasallam Ki
Wiladat Hui Tab Abu Lahab Ki Laundi Sobiya Ne Abu Lahab Se Kaha K Tujhe Bhatija
Hua Hai Is Khushi Me Abu Lahab Ne Apni Us Laundi Ko Ungli K Ishare Se Aazad Kiya
Tha "Pas Jab Abu-Lahab Mar Gaya To Uske Baad Ahl-E-Khana Ne Use Khuwab Mein Buri
Haalat Mein Dekha To Usse Puchha "Tera Kiya Haal Hai To Abu-Lahab Ne Kaha:Maine
Tumhare Baad Koi Bhalaa'ee Nahi Payilekin Mujhe Us Ungli Se Paani Diya Jata
Haiis Se Maine Hazrat Muhammad (Sallalahu Alaihiwa Salam) Ki Wiladat Ki Khushi
Mein Sobiya (Abu-Lahab Ki Londi) Ko Aazad Kiya Tha(Sahih Bukhari, Vol. 1, Page
153, Hadith No 5101, Kitaabun Nikaah)
Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Alaih Rehma Nay MA SABTA MINAS SUNNA
Main (Sahih Bukhari, V1, P153, Hadith No. 5101 Kitabunnikah ) Ki Ye Hadith Naqal
Farmaya Hai, Abu Lahab Ki Londi Thee Jiska Naam Sobia Tha, Usnay Sarwar E Do
Alam Sallallaho Alaihay Wasallam Ki Peda'ish Par Abu Lahab Ko Khabar Di Thee To
Aap Sallallaho Alaihay Wasallam Ki Peda'ish Ki Khabar Sunnay Par Abu Lahab Nay
Sobia Ko Azaad Kardiya ...Tha. Tou Abu Lahab K Marnay K Baad Kisi Nay Usay
Khuwaab Main Dekha, Poocha K 'Kaho Kia Haal Hay' To Woh Bola AAG Main Hoon
Albatta Itna Karam Hay K Har Peer Ki Raat Mujh Par Takhfeef Kardi Jaati Hay Aur
Isharay Say Bataya K APNI DO UNGLIYUN SAY PANI CHOOS LAYTA HOON, Aur Yeh Inayat
Mujh Par Is Waja Say Hay K Mujhay Sobia Nay Bhatijay Ki Peda'ish Ki Khabar Di
Thee To Is Basharat Ki Khushi Main, Mainay Usay Do Ungliyun K Isharay Say Azaad
Kardi Tha Aur Phir Usnay Usay Doodh Pilaya Tha.
Ispar Allama Jazri Alaih Rehma Farmatay Hain K Jab Abu Lahab Jaisay Kafir K Yeh
Haal Hay K Usko Huzoor Sallallaho Alaihay Wasallam Ki Wiladat Ki Peda'ish Ki
Raat Khush Honay Par Dozakh Ki Aag Main Bhe Badla Dia Jaraha Hay Tou Rasool
Allah Sallallaho Alaihay Wasallam Ki Ummat Main Say Un Logon K Haal Ka Kia
Poochna Jo Aap Ki Peda'ish K Bayan Say Khush Hotay Hain Aur Jis Qadar Bhe Taqat
Hoti Hay Unki Muhabbat Main Kharch Kartay Hain, Mujhay Apni Umar Ki Qasam! K
Unki Jaza Khuda E Kareem Ki Taraf Say Yehi Hogi K Unko Apnay Fazal E Ameem Yani
Fazl E Kamil Say Jannat Un Naeem Main Daakhil Farmaye Ga.Pyare Islami Bhaiyo
Zara Gour Kare Jab Abu Lahab Ko Apne Bhatije Yani Muhammad Sallaho Alihe
Wasallam Ki Wiladat Par Unhe Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Man Kar Nahi Balki
Apna Bhatija Maan Kar Khushiya Manaya Tha To Use Ye Faida Hua K Usi Ungli Se Use
Pani Pilaya Jata Hai Jisse Usne Apne Bhatije Ki Wiladat Ki Khushi Me Apni Laundi
Sobiya Ko Azad Kiya Thahum Musalman To Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Maan Kar
Wliadat Ki Khushi Manate Hai To Socho K Hume Allah Ki Bargah Se Kya Kya Inaam
Milege Duniya Aur Aakhirat Me
Khud ' NABI - E - PAK SALLALLAHU ALAI HI WASALLAM ' Ne Apne Milad Par ' ALLAH '
Ka Shukra Bajaa Lane Ki Talkin Farmayi Aur Targeeb Di....!!
Iski Tafseel Yaha Check Kare Hadith Taweel Hai[ Muslim Sharif, Jild - 2, Safa -
819 ]
[ Nisaai Sharif, Jild - 2, Safa - 147 ]
[ Baihaqi Sharif, Jild - 4, Safa - 286 ]
Ye Thi Milad Unnabi Manane Ki Dalile Milad Un Nabi Ko Eid Kahena Kaisa?
Aaiye Pahele Hum Eid Ka Matlab Samaj Lete Hai Eid Ka Lugvi Mana Hai Khushi Agar
Koi Arabi Khushi Ka Lafz Arabi Me Kahega To Wo Yahi Kahega Eid
Ise Samjhane K Liye Mai Quran Ki Ek Ayat Pesh Karta Hu
Kaha Esa Aban E Mariyam Ne: Aye ALLAH! Aye Hamare Rab!Hum Par Aasman Ss Ek
Khuwan Utar Ke Wo(Khuwan Utarne Ka Din) Hamare Liye Eid Ho,Hamare Aglon Aur
Pishlo Ki.(Surah Maida Ayat 114)
Is Ayat Se Maloom Hua Ke Jis Din Allah Ki Khass Rahemat Nazil Ho Us Din Ko Eid
Manana Aur Khushi Manana Allah Ka Shukar Ada Karna Ambiya Ka Tarika Hai Tabhi To
Hazrat Esa Ne Dua Mangi
Aap Khud Faisla Kare Ke Jis Din Hazrat Esa Alihissalam Par Khuwan E Nemat Utry
To Wo Un K Agly Aur Pichlon K Liye Eid Ho To Jis Din Sare Alam K Liye Jahan K
Liye Jo Zaat Rahemat Hai Un Ki Wiladat Ho To Us Din Musalmano K Liye Eid Yani
Khushi Kaise Na Ho?
Hazrat Allama Mulla Ali Qari Miskat Ki Shrah Me Imam Raghim K Hawale Se Lafz E
Eid Ki Wazahat Farmate Hue Likhte Hai Imam Raghib Ne Farmaya Ke Eid Ka Lugvi
Aitebar Se Us Din Ko Kahete Hai Jo Bar Bar Laot Kar Aaye Aur Shariat Ki Istelat
Me Eid Ul Fitar Aur Eid Ul Azha Ko Kahete Hai Aur Jab K Ye Shariat Me Khushi
Manane K Liye Mukarrar Kiya Gaya Hai Jis Tarha Nabi Sallallaho Alihe Wasallam Ne
Apne Is Farman Me Tambih Ki Hai Ke (Aitam E Mina Khane Pine Aur Azdwajiyat Ke
Din Ha) Lihaza Eid Ka Lafz Har Khushi K Din K Liye Istemal Hone Laga (Mirat Ul
Mafateh, Kitabul Salat Bab Ul Juma)
Dekha Aap Hazrat Ne Ke Itne Bade Imam Mulla Ali Qari Aur Imam Raghib Bi Yahi
Farma Rahe Hai K Eid Ka Lafaz Har Khushi K Din K Liye Istemal Hota Raha Hai
NABI E Mu’ajjam, Sarapa Judo Karam Salllaho Aliahe Wasallam Ne Farmaya Ki Juma’a
Ka Din Sab Dino Ka Sardar Hai, ALLAH Ke Nazdik Sabse Bada Hai Aur Wo ALLAH Ke
Nazdik Eidul Azha Aur Eidul Fitr Se Bada Hai. ALLAH Ne Isi Me Hazrate ADAM
Alaihissalam Ko Paida Kiya, Isi Me Zameen Par Unhe Utara Aur Isi Me Unhe Wafat
Di.[Sunan Ibne Majah, Jild 2, Page No. 8, Hadith No. 1084]
Is Hadees Me Teen Khaslate Hazrate Aadam Alaihissalam Ke Liye Bayan Ki Gai,
Jisme Aap Ki Wafat Ka Bhi Zikr Hai, To Pata Chala Ki Ek Nabi Ki Paidaesh, Unka
Zameen Par Utarna, Aur Unki Wafat Ke Din Ke Bawajud Bhi Mo’amino Ke Liye ALLAH
Ne Use Eid Bana Diya. Ki Woh Din Eidul Azha Aur Eid Ul Fitr Se Bhi Afzal Kar
Diya.Tou Hamare Sarkar E Do Jahan Jo Ki Tamam Ambiya Ke Sardar Hai, Unki Tashrif
Aavari Par Hum Us Din Ko Kyun Eid Na Kahe, Balke Hum Tou Use Eido Ki Eid
Kahenge, Ki Unki Tashrif Aavri Ki Wajah Se Hi Tou Hume Baki Eid Mili Aur Har
Hafte Me Ek Eid Karke Pure Saal Me 52 Eido (Juma) Ka Tohfa Mila Woh Isi
Rahmatalil Aalamin Ki Tashrif Aavari Se Mila Hai. Tou Hum Kyun Us Din Khushi Na
Kare?
Naat E Pak Padna:
Huzur Sallallaho Alaihe Wasallm Hazrat Hassan Razi Allah Anho K Lye Masjid E
Nabvi Shareef Me Minbar Rakhte Or Hazrat Hassan Us Par Kharey Ho Kar Huzur
Sallallaho Alaihe Wasallm Ki Shan E Aqdas Me Naatia Ashaar Parhte The Or Huzur
Sallallaho Alaihe Wasallm Farmate: Jb Tak Hassan Mere Baare Me Naatia Or
Fakharia Ashaar Parhta Rahe Ga To Beshak Allah Taala Roohul Uqdas (Hazrat
Jibrail Alehsalam) K Zarye Hassan Ki Madad Farmata Hai(Sunan Abu Dawood,Kitab Ul
Adab, Baab Ma Jau Fi'shaar, Jild 5 Page 176 Hadith No 5015)(Sunan Tirmizi,Kitab
Ul Adab,Baab Ma Jau Fi Inshad'shaar, Jild 3 Page 562,561 Hadith No 2846)
Ye The Milad Un Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Ko Eid Kahene Ki Dalil Ab Aaye
Dekhte Hai Milad Un Nabi Sallallaho Aalihe Wasallam K Mauke Par Kiye Jane Wale
Mustahab Aamal Hadith Ki Roshni Me
Juloos Nikalna Aur Usme Ya Rasool Allah K Nare Lagana:
Jab Aaqa Salllaho Aliahe Wasallam Hijrat Kar K MADINA Sharif Aaye To Logon Ney
Khoob Jashan Manayanojawan Larkey Apni Chatton Par Charh Karaur Gulam, Khuddam
Raasto Me Phirte Theyaur Nara'Aey Risalat Lagate Aur Kehteya RASOLALLAH.
(Sahih Muslim Jild 2 Page 419)
Jhande Lagana:
Hazrate Amina Farmati Hai K Jab Mere Hai Muhammad Salllaho Aliahe Wasallam Ki
Wiladat Hu Us Waqt Hazrat Jibrail Alihissslam Ne 3 Jhande Nasab Kiye Ek Magrib
Me Ek Mashrik Me Aur Ek Kabe Ki Chat Paris Riwayat Ko Shah Abdul Haq Muhaddith
Dahelvi Rahamatullah Ahlie Ne Apni Kitab Madarijunnabuwa Jild 2 Me Naqal Kiya
Hai
Ab Aaiye Dekhte Hai Tarikh Ki Kitabo Me K Nabi Ki Wiladat Par Afsoos Kun Kun
Karta Hai
Imam Qastallani (Rahimullah) Farmate Hain :“Chahiye Eeman Walo Ki Tum
Milad-E-Mustafa Salllaho Aliahe Wasallam Ko Eid Ke Taur Par Manaya Karo. Allah
Apna Fazl Aur Ehsan Kare Unn Logo Par Jo Rabi Ul Awwal Ki Raato’n Ko Eid Ke Taur
Par Manate Hain, Kyunki Iss Maheene Ko Eid Ke Taur Par Manane Se Unn Dilo’n Par
Aur Unn Logo Par Ghazab Utarta Hai Jinke Dilo’n Mein Bughz Aur Munafikat Ki
Bimari Hai.” (Imam Qastallani, Al Muwahib Al Luduniya, Jild No. 1, Safa No. 148)
Shaitan Kaheta Hai Ki Mai Barso Jannat Me Raha, Farishto Ka Sardar Ban Gaya,
Magar Jab Ye AADAM (Nabi) Paida Huwa To Mere Liye Badi Musibat Paida Ho Gai,
Yaha Tak Ki Mujhe Jannat Se Bhi Nikal Diya Gaya!!! Phir Jab Jab Koi NABI Paida
Hota Woh Gumraho Ko Sahi Raah Dikha Kar Jannat Me Le Jata Aur Tab Tak Ki Meri
Sari Mehenat Mitti Me Mil Jati. Aur Aakhir Me Jab Aakhiri NABI MUHAMMAD Paida
Huwa Tab To Mai Itna Roya Jitna Pahele Jannat Se Nikalne Par Roya Tha, Aur Usne
Meri Tamam Mehnat Par Pani Pher Diya.(Hafidh Ibn-Kathir In Al-Bidayah Wal
Nihayah, Volume No. 2, Page No. 166)
By: Shaheer Qadri , Lahore On Dec, 03 2014
Reply Reply
0 Like
Slam To All:Nabi Ny Khud Apni Wiladat Ka Din Mnaya Hy Bukhari Ki Hadees Hy Jab
Hmary Nabi Y Pocha Gya K Ap Peer Ka Roza Q Rakhty Hen To Irshad Frmaya K Isi Din
Me Peda Hua Aur Isi Din Mujh P Pehli Wahi Ai Lihaza Jab Nabi Khud Apna Wiladat
Ka Din Manty Thy To Hmen Bhi Mnana Chahey.Isi Trha Quran O Hadees Ko Dekhty Hen
To Hmen Iska Suboot Milta Hy Para No 30 Sorate Wadduha Ki Ayat No 11 Me Allah Ny
Frmaya Hy K Apnu Rab Ki Nemato Ka Charcha Kro Aur Bukhari Ki Hadees Hy Jo Imam
Bukhari Ny Bab Qatl O Abi Jahal Me Riwayat Frmai Hy K Muhammad P,B,U,H Allah Ki
Sub Sy Bari Nemat Hen.In Ko Pesh E Nazar Rakhen To Natija Ye Nikalta Hy K Nabi
Ka Charcha Kro Aur Nabi Ka Charcha Krny Me Unki Wiladat Ka Chrcha B Ata Hy
Lihaza Hr Musalman Ko Chahey K Apny Nabi Ki Wiladat Ka Din Manay.
By: Imran Qadiri, Karachi On Nov, 30 2014
Reply Reply
0 Like
Ye Sare Aaj Kal K Jetne Bhi Fatwe Aate Hain Ye Sb Sirf Hmm Logo K Liye Nasihat
Hai Magar Khud K Liye Sb Kuch Jayaz Ho Jata Hai..Khud To Log Acha Kaam Krte Nahi
Per Agar Koi Kare To Rokne Zarur Chale Aate Hain..Bare Din Or Hadeesh Jan Kr Jo
Baith Gaye Ye...Jis Ko Nabi Ko Zaat Pe Bharosa Nahi Whi Unko Murda (Nauzbillah)
Tasleem Krta Hai ..Mai Kehta Hu Hamare Nabi Kal V Zindabaad The Or Aaj Bhi Hain
Or Ta Qayamat Rahenge....
Hm Kal V Eid-Miladunnabi Manate The Ajj Bhi Manate Hain Or Manate Rahenge AAMEEN
SUMMA AAMEEN..., In K Wajah Se Aap Hazraat Apna Imaan Na Kharab Kare Inshallah
Hm Din Or Duniya Dono Jahan Me Kamyaab Rahenge...Ye To Namaz Ki Bhi Riswat Lete
Hain ..