Unkahi Batein 2

(Sadfari, Karachi)

Sirf 2 Comments Parh Ker Hi Khushi Aur Tasali Hogai K Yahan Pe Likh Dene Se Kamazkam Meri Batein Unkahi Nahi Rahein ,Mera Aik Aur Maqsad Bhi Hai Ye Sab Blogging Or Article Thru Likhne Ka Aur Wo Maqsad Ye Hai K Jo Kuch Meri Ankhun K Samne Howa Aur Jo Kuch Meri Ankhun K Samney Nahi Howa Us Sab Se Mein Dosrun Ko Bhi Hosiyaar Karun Jo Kuch Problems Humein Sirf Humari Kotahiyun Ki Waja Se Bhugatna Parti Hien Hum Usey Sudhar Sakein Hosakta Hai Ye Article Koi Bap Koi Bhai Koi Behn Koi Bv Koi Shauher Bhi Parhta Ho

Todays Advice (,Muft Mashware Dene Ka Bhi Shauq Rakhti Hun Mein ) Per Mukhlis Mashware Hote Hein Man Lein Tu Acha Hai Warna Mujhe Convence Karna Bhi Ata Hai :D Hehehe Han Tu Mein Kya Kehrahi Thi Kaha Tha Na Mein Buhat Bolti Hun Kahien Se Kahien Phunch Jati Hun ..Khair

Tu Mein Apna Maqsad Byan Karahi Thi  Buss Chotii Si Baat Hai Example Se Samjhana Chahungi Agr Koi Bv Husband Se Kuch Mange Kuch Bhi Kisi Cheez Ki Farmaeish Nahi Kehrahi Zindigi K Masle Masaael Ko Mad-E-Nazr Rakhte Hwe Kehrahi Hun Koi Bap Beti Se Koi Beta Bap Se Koi Bhen Bhai Se Gharz Koi Bhi Bara Chota Rishta Apas Mein Aik Dosre Se Koi Favor Mangey Tu Khudara Inkar Karne Se Pehle Haan Karne Se Pehlee.. Acha Kehne Se Pehle Bura Kehne Se Pehle... Plz Aik Baar Aik Baar Khud Ko Agley Ki Jaga Pe Rakh Ker Sochien.

Jab Mein Choti Thi Tu Mein Buhat Ziidi Thi Waise Tu Abhi Bhi Hun Per Jaise Bachun Ki Zidein Hoti Hein Buss Ye Chez Chahye Tu Chahye Kabhi Nahi Sochti Thi K Mere Istarah Zid Karne Se Mere Ami Aba Koi Problem Hosakti Hai Tabhi Wo Zid Puri Nahi Karparahe Hein Bachi Thi Na Bari Behn Ghar Ak Buhat Danti Ti Thi K Tumhein Zara Ahsas Nahi Ami Abo Ka Buhat Ziidi Ho Batameez Ho Etc Etc Per Such Kahun Tu Baad Mein Hamesha Buhat Afsos Hota Tha Mujhe K Mene Aisa Kyun Kiya Nahi Karna Chahaye Tha..Ami Abo Ko Dukh Hwa Hoga.

Per Phir Aik Tarah Yun Bhi Sochti Thi K Manga Kya Tha Chocolate ,Icecream , Balloon?? Buss Aisi Hi Chezein Dila Dete Bina Mere Zid Keye Tu Mein Zid Hi Kyun Karti ?? Tab Mein Socha Karti Thi ,K Agr Mere Bache Istarah Mange Gey Kabhi Kuch Tu Unkey Zid Karne Se Pehle Hi Dila Dungi Kabhi Bache K Dil Mein Bhi Jhanknaa Chahye K Wo Ye Mang Raha Hai Kehraha Hai Agr Humari Aik Haan Se Usey Kitni Khusshi Hogi Aur Humare Aik Inkaar Se Uska Kitna Dil Totey Ka Khair Tab Tu Mein Bachi Thi Per Aik Baar Mene Aisi Zid Ki K Us K Baad
Mene Kabhi Koi Zid Nahi Ki Mujhe Aj Tak Buss Wohi Zid Yaad Reh Gai.

Sadfari
About the Author: Sadfari Read More Articles by Sadfari: 2 Articles with 1756 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.