Zindagi Aur Maut

(Saba MATLOOB Elahi, pakistan)

''Zindagi Bhi Ajeeb Mor Dekhati Hai.Kabhi Maut Ke Koonvey Main Dalti Hai To Kabhi Maut Se Bohat Door Le Jati Hai.Lekin Maut Se To Koi Bhi Mun Nahi Pher Sakta Keunkey Maut Yeh Nahi Dekhti Ke Yeh Insaan Mujh Se Raazi Hai Ya Naaraz. Maut Insaan Ko Roshni Ke Ujaaley Se Andhery Ki Tarreeki Ki Taraf Le Jati Hai.Yeh Baat To Teh Hai Ke Har Insaan Ko Ek Na Ek Din Iss Daare-Faani Se Rukhsat Kar Jaana Hai.Maut Se Bhagna Bewaqufi Hai.Keunky Maut Insaan Par Kabhi Bhi Taari Ho Sakti Hai-Maut Se Bachna Namumkin Hai.Keunky ''Maut Tanhai Ki Raani Hai''.Zindagi Do Din Ka Mela Hai Jo Jald Hi Khatam Ho Jaey Ga.Lekin Insaan Ko Maloom Hona Chahye Ke Zindagi Ka Asal Maqsad Kia Hai,Insaan Ka Is Duniya Main Ane Ka Asal Maqsad Kia Hai.Zindagi Ek Musafir Ki Tarha Hai Jo Araam Ke Liye Drukht Ke Saaey Taly Baethta Hai Aur Phir Apni Manzil Ki Taraf Ravana Ho Jata Hai.Keunkey Usey Hamesha Wahin Nahi Rehna Usay Apni Manzil Ki Taraf Jaana Hai.Isi Tarha Musalmano Ka Asal Ghar 'Jannat' Hai.Ye To Duniya Ki Rangeeni Hai Jisey Insaan Apna Ghar Aur Apni Manzil Samajh Betha Hai-Aur Aesho Araam Se Jee Raha Hai.Lekin Asal Main Yeh Dooniya Ek Qaid Khana Hai-Aur Hum Wo Qaidi Hain Jo Issey Apni Manzil, Apna Naseeb Aur Apni Qismat Samajh Kar Iss Se Dill Lagaey Bethey Hain.Aur Aakhrat Ke Ghar Ki Kissi Ko Koi Parwa Hi Nahi Hai''.
''Mat Laga Iss Qaid Khaney Se Apna Dill
Kooch Kar Jaana Hai Tujhey Is Dare-Faani Se''
''Socha Tha Behshat Main Karainge Aesho-Araam
Lekin Kar Diya Iss Qaidkhaney Ne Hum Ko Naakaam
Khush Hoga Yeh Dekh Kar Shaitan----
Jab Jaan Nikalney Par Tarpey Ga Insaan''------
 

Saba MATLOOB Elahi
About the Author: Saba MATLOOB Elahi Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.