Essey Saaf Zahir Hain Ke Hum
Quran Aur Hadees Per Aamal Kar Ke Seedha Raastatay Kerte Huwe Es Duniya Say Apne
Asli Watan Jannat Kou Wapis Hou Jaye Es Aayate Kareema Ke Roshni Mey Kisi Kou
Yeh Haq Hasil Nahi Hota Ke Quran Aur Hadees Kou Chode Kar Kisi Ummati Ke Pairwi
Karey.
Raahe Jannat(*) Abdullah Bin Masood (R.A) Riwayat Kerte Huwe Kehte Hain Kay
Mohammed (Pubh)Ney Hamare Liye Ek (Seedha) Khat Keecha,
Phir Farmaya Ke Yeh Raah Allaha Ke Hain, Phir Aap Ney Seedhe Khat Ke Daaye Baaye
Kuch (Teerchey) Khat Keecheay Aur Farmaya Yeh Raahey Hain En Mey Say Her Raah
Per Shaitan Hain Jo Pukarta Hain Es Raah Ke Taraf Phir Mohammed (Pubh) Ney Quran
Ke Yeh Aayat Padhi
Tarjuma: Aur Tahqeeq Yeh Hain Rah Meri Seedhi Bus Pairwi Karo Es Ke (Surey Inam
Aayat # 153)
Note: Jo Naksha Mohammed (Pubh) Ney Keecha Woh Hadees Ke Keetab(Ahmed, Neesai,
Aur Darmi Mey Hain) Yeh Hadees Bhi Wahi Say Lee Gai Hain.
(*) Hazrat Jaber R.A Say Riwayat Hain Kehte Hain Ke Hum Mohammed (Pubh) Ke
Kidmat Mey Bhaite Huwey Theay Ke Aap (Pubh) Ney Ek Seedhi Lakheer Keechi Phir Do
Lakeere (Teerchi) Eske Daaye Aur Do Lakeere (Teerchi) Eske Baaye Keechi Phir
Darmiyani (Seedhi) Lakeer Per Haath Rakh Kar Farmaya Yeh Allaha Ke Raah Hain
(Ibne Maja).
Note: Woh Naksha Ibne Maja Mey Moujud Hain.En Dono Hadeeso Waa Shukul Ka Matlab
Ek Hi Hain Mohammed (Pubh) Ney Darmiyani Seedhi Lakheer Kou Allaha Ke Raah Kaha
Hian.
(*) Rasool (Pubh) Ke Etaath Allaha Ke Etaath Hain (Sure Nisa Aaayat # 80)
Es Aayate Kareema Say Allaha Ka Enkeshaf Hou Raha Hain Ke Rasool (Pubh) Ke
Pairwi Kerna Aur Enke Naqshe Qadam Per Chalna Gooya Allaha Ke Raah Per Chalna
Hain, Es Tarha Say Rasool (Pubh) Khol Waa Fail Ke Raah Taa Qayamat Raah Amal
Hain,
Aur Essey Saaf Zahir Hota Hain Ke Quran Aur Hadees Ke Raah Jannat Hain Aur En Hi
Per Aamal Ker Kay Jaanat Mey Daqil Hou Jaye.(*) Quran Aur Hadees Maqsade Zindagi
Hona Chaiye, Chuke Yeh Duniya Mahulat Ka Muqam Hain, Es Kou Ek Roz Chodna Hain,
Esliye Zindagi Ke Tamaam Manazil Kitab-O-Sunnat Ke Mutabiq Tay Kerte Huwe Aakhri
Saans Chodna Hi Kaameyabi Ke Manzil Hian Aur Woh Aakhri Manzil Jaanat Hain.
Paigham-E-Elahi(*) Aay Iman Walo Apne Aap Kou Aur Apne Ahlo Aayal Kou Dozaq Ke
Aag Say Bachao. (Surey Tahreem Aayat # 6)
Tashree: Roz-E-Qayamat Es Ke Baaz Paras Hogi, Es Neejat Ke Liye, Islami Taleem
Waa Tarbiyat Say Apne Ahlo Aayal Kou Waqif Kara Ke Baa Aamal Banane Ke Koshish
Karey,
Yeh Sadare Khandan Ke Bohath Ahem Zimmmedari Hain Aur Hidayat Dena Allaha Ke
Eqtiyaar Mey Hain Hum Sirf Koshish Ker Sakhte Hian Aur Duwa Ker Sakhte Hain.
Paigham-E-Rasool(*) Rasool (Pubh) Ney Farmaya Ke Baap Apni Aulaad Kou Ju Kuch
Deyta Hain Es Mey Sub Say Bahetar Aatiya Eske Acchi Taleem Aur Tarbeeyat Hain.
(Tirmizi, Mishkat)
Explanation: Waaliden Ka Bahetareen Aatiya Aulaad Ke Saahi Taleem Wa Tarbiyat
Hain Islam Ney Baccho Ke Taleem Wa Tarbiyat Kay Silsiley Mey Bohath Hi Takeed Ka
Hukum Diya Hain,
Es Hadees Ke Maine Yeh Nahi Hian Ke Koi Aatiya Hi Naadiya Jaaye Yaa Jayedad
Warsa Mey Naa Chode Jaaye Balke Avaliyat Aur Sub Say Ziyada Ahmiyat Taleem Aur
Tarbiyat Kou Dee Jaaye.
Apne Aamal Kou Zaya Naa Karo Kafir Aur Musalman Mey Taqabil Key Silsiley Mey Ek
Baath Aarz Ker Dena Zaroori Samajhta Hou,
Woh Yeh Ke Aakhirat Ka Inkar Kerne Wala Kafir Kitna Bhi Naik Kam Kare Es Kou
Sawab Nahi Milta, Balke Duniya Hi Mey Kuch Naseeb Hou Jaata Hain Bar Khilaf Es
Ke Aakhirat Ka Eqrar Kerne Wala Musalman Agar Quran Aur Hadees Ke Mutabik Aamal
Naa Karey Tou Eska Koi Naik Kam Khuwa
Woh Kitna Hi Bahetar Hou Allaha Talaha Ke Pass Khabil-E-Khubul Nahi Hota Aur Naa
Es Kou Jannat Naseeb Hoti Hain.
Ek Guzarish Hum Allaha Say Duwa Kerte Hain Ke Aay Dilo Kou Phare Wale Tamaam
Musalmano Ke Dilo Kou Apne Khalis Islam Ke Taraf Aamal Kerne Ke Taraf Phare Day
Aur Hamey Hidayat Naseeb Farma (Aameen)
Hamari Aap Sub Say Yehi Iltija Hain Yehi Guzarish Hian Yehi Khawaish Hain Yehi
Darkhast Hain Yehi Hamari Daawat Hain Yehi Hamara Manhaj Hain Key Hum Apne
Tamaam Tar Eqteelaf Kou Meeta Kar Ek Hou Jaye Aur Firqa Parasti Say Baaz Aa Jaye
Balke Ek Hou Ke Ek Allaha Kay Deen Kou Phaylane Mey Lag Jaye, Yaad Rakho Kay
Allaha Kou Hamari Zaroorat Nahi Hain Balki Hum Kou Allah Ke Rahem-O-Karam Ke
Zaroorat Hain,
Mere Bhaiyo Naa Hum Kisi Firqey Kou Maante Hain Naa Kisi Jamaat Kou, Hum Ney
Apna Imam Sirf Aur Sirf Mohammed (Pubh) Kou Maana Hain,
Allama Iqbal Ney Kaha Tha, Firqa Parasti Hain Kahi , Aur Kahi Zaatey Hain Kya
Zamane Mey Panap Ney Ke Yehi Baatein Hain,
Agar Aap Kou Es Mey Kahi Kuch Ghalat Nazar Aa Jaye Tou Hamari Eslah Zaroor Ker
Di Jiyega, Allaha Aap Kou Jaza-E-Khair Deygaa,
Allaha Hum Sub Kou Quran Aur Sunnat Pay Aamal Kerne Ke Naik Toufeek Ata
Farmaie(Ameen)
[ Is Artical Mai Mere Dost Yasir Ka Bhut Bara Hath Hai Jo KE Fiqah Hanfi, Aur
Mera Talluq Fiqah Shafi SE Hai .. Par Ye Maslak Batane Ka Mqasad Har Giz Ye Nahi
Hai Ke Hum Kisi Fiqah Se Talluq Rakhy Hai ..
Har Giz Nahi Hamara Batany Ka Mqasad Ye Hai Ke Hum Alaq Alaq Maslak Ke Hokar Bhi
Musalm Hai Aur Yehi Chaty Hai Ke Sub Musalmn Ban Jaie Na Ke Hanfi,Maliki, Shafi
Aur Na Hambali :)
Hum Bus Yehi Chaty Hai Ke ALLAH Hame Tmaam Maslak Se Pak Farmaie
Akhir Mai EK Ayat Ke Sath Ijazat Chahoga
اے ایمان والو! اللہ سے اتنا ڈرو جتنا اس سے ڈرنا چاہیے (١) دیکھو مرتے دم تک
مسلمان ہی رہنا
سورة آل عمران
102
Aur Akhri Mai Firqa Bandi Par Ek Ayat :
بیشک جن لوگوں نے اپنے دین کو جدا جدا کر دیا اور گروہ گروہ بن گئے (١) آپ کا ان سے
کوئی تعلق نہیں بس ان کا معاملہ اللہ تعالٰی کے حوالے ہے پھر ان کو ان کا کیا ہوا
جتلا دیں گے۔
سورة الأنعام
159
Fi-Amanillah]