Wesay Tu Ajh Ka Pakistan Wo Hi
Hay Ju Pechlay Haftay Tha Bas Zra Se Ye Farq Aya Kuch Logh Denghue Ki Nazar Hu
Gaye Or Baqi Har Traf Humaray Amamolon Pr Qurbaan Kiye Huay Masoom Se Marhoom
Janwaron Ki Baaqiyaat Ki Perfume Har Soo Phali Hui Hay .Wo Tu Yaqeenan Janat Mn
Kici Hamnawa Kay Agay Pechay Phartein Hun Gay Par Hamari Nanhi See Naak Mein
Dumm Hua Chata Hay Soch Rha Hun Jabh Kuch Hafton Baad Kmc Walay Ye Sab Saaf Kar
Dein Gay Ham Aci Jawedaan Perfume Kaha Se Laien Gay.Laghta Sefaie Nisf Emaan
Kici Ki Nazar Se Nahi Guzri .Sab Nay Janwaron K Zariye Apni Aaqbat Sanwaar Li
Baqi Adam Janay Adamzaad Janay.Janay Q Baqray Ko Dekha Tu Us Ko Shoron Se Bhut
Mushbeh Paya Pata Nahi Shaied Ye Hamaray Jamaliaty Zoq Ki Kami Ka Asar B Hu Skta
Hay.Masoom Se Shohar Ki Kamzoor See Jaib Baqray Ki Qimat Ne Khali Kar Dee Par
Saas Sahiba Ka Farmaan Jari Hua Kay Baqra Bhut Hee Kamzoor Hay Pakistani Economy
Ki Tra Saas Apni Bety Kay Shadi Kay Waqt Ki Sehat Bhool Gein Bety Aci Thy Ka Is
Baqray Mn Se Darjan Bhar Baramad Hu Jaien Becharay Shoar Kay Ghar Ja Kar Us Ne
Khana Suro Kia Ubh Laghta Hay Kay Baldia Kay Sarak Kotnay Wala Buildoser
Hay.Baesabeeltazkara Baat Yun Nikli Kay Raaqim Ka Dost Foreighn Se Aya Tha Us Ne
Kaha Ju Pathar Mn Ne 5 Saal Pehlay Jis Jagah Dekha Tha Ajh Tak Wahan Hi Hay Yhan
Kuch Nahi Badla,,,,,Koi Batlaye Kay Ham Batlaien Kia,,,,,,,,,,Ek Patahar Sala
Pool Khol Deta Hay