Chalna Hay Tu Fairy Meadows Ko Chaliye

(hukhan, karachi)

June Ki Garmiaan Uss Par Loadshading Socha Chlo Ek Safar Hee Sahi Sath Main Naveed Gold Leafia Sohail Urf Lahori Mohtram Kaleem Sahib Ko Sath Lia Train Ki Economy Class Mein Rawalpindi Tak Ka Jaan Laiwaa Safar Kia Ju Kay English Wala Suffer Ban Gia Bas Nangha Parbat Kay Daman Mein Parion Ka Baseara Dekhnay Ka Itna Shoq Tha Kay Train Kay Diye Gaye Dukhon Ka Yaqsar Bhula Dia Humaray Chand Se Mukhray Par Train Nay Waqt Ki Aci Dhool Jamaiee Kay Taqatwaar Surf Nay Bee Us Ki Safaie Say Hath Jore Liye.Rawalpindi Kay Peer Wadhaiee Bus Adday Say Hum Nay Rai Kot Kay Bridge Tak Ka 14 Ghntay Kaa Safar Kia Raat Barish Nay A Lia Doston Nay Iss Safar Or Bus Mein Humarai Bebasi Ko Nazar Andaaz Kar Kay Humari Traf Asay Dekha Kay Hum Zindghi Mein Shaied Hi Kabi Aci Beizaty Ko Feel Kia Hu Chay Jaye Kay Humray Doston Nay Kabi Khul Kay Humarai Izzat Ka Faluda Nahi Kia Magar Pher Bee Humein Khud Par Reham Anay Laga Rastay Ki Barish Paharee Rastay Sarak Kay Sath Sath Uchalty Kodty Khaaiyaan Or Thaa.

Kot Say Sath Sath Shor Machata Sher Darya Urfe Aam Mein Darya E Sind Sab Kuch Qadary Khufnaak Sa Tha Bahar Hall Jis Shakhs Nay Soch Rkha Hu Wo Anay Wali Life Mein Shadi Bee Karay Ga Uss Ki 1 Adad Bv Or Saas Bee Hu Ge Usay Mout Se Zyda Dar Nahi Laghta Naveed Nay Safree Asolon Ko Balaye E Taaq Rakhtay Huay Or Cigerate Ka Dhuwaan Humaray Munh Par Nechawar Krtay Huay Farmaya Khan Saab Yhan Tu Koi Rescue Bee Nazar Nahi Ata Itni Khtarnaak Tangh Tangh See Khaiyaan Sath Hein Gar Koi Accident Hu Jaye Raat Kay Iss Pehar Kia Bnay Ga Mein Ne Kaha Bahi Khaiyaan Gar Tangh Hun Or Ap Khaiee Mein Hun Tu Rescue Walay Suabh Tak Ap Ko Dosri Khaiee Mein Shift Kar Detaein Hein Humaray Doston Ko Humara Jawab Pasand Nahi Aya Or Ek Moty See Gaali Inayat Kar De Bahi Wo 3 Thay Hum Ek Fer Teeno Nay Ek Hee Gali De Hum Nay Socha Maty Pao Nangha Parbat Par Concentrate Karo.Rai Kot Bridge Par Subah 7 Bajay Bus Walay Nay Humein Bay Bus Kar Dia Apna Samaan Bandnay Or Ankh Kholnay Kay Baad Hum Nay Tatuu Kay Gaon Tak Transport Kay Liye Ek Jeep Ka Intekhabh Kia Qun Kay Raasta Bhut Khtarnaak Tha Or Serf Jeep Horse Ya Paidall Hi Jaya Ja Skta Tha Kaleem Sahib Nay Apnay Munh Ko Mazeed Bura Bana Kar Washroom Ka Address Pocha Hum Nay Baray Say Pathar Ki Traf Eshara Kia Far Hum Sab Time Zaya Kiye Bagher Pathron Kay Pechay Roposh Hu Gaye,,Yun Samajh Lijeiye,,,,,, , ,Uss Nay Saharaa Dia Ju Khud Besahara Tha ,,,,Sath Hee Nangha Parbat Kay Daman Se Behtay Glacier Kay Pani Ko Istemaal Karnay Par Pata Chala Kay Itna Thanda Pani Har Jagah Kay Istemaal Kay Liye Nahi Huta ,,,,Pani Huna Bura Nahi Par Itna Thnda Huna Hamein Pasand Nahi Aya,,,,Jeep Nay 90 Mnt Kay Safar Kay Baad Humein Tatu Kay Chotay Say Qasbay Mein Poncha Dia Silk Road Ek Lakeer Ki Tra Nazar A Rhi Thy Iss Time Hum Sata E Samndar Se 9000 Feet Oper Thay Tattu Se Hum Nay Apni Tanghun Ka Istemaal Suro Kia Or 3 Ghantay Kay Mushkil Tareen Safar Kay Baad Nangha Parbat Ki Peak Hmaray Samnay Thy Dhoop Nay Uss Ko Bilkul Sonay Jasa Chamakdaar Bana Dia Tha Fairy Meadows Ki Almost 14000 Height Nay Isay Zra Mushkil Bna Dia Hay Han Ye Baat Apni Jagah Wahan Ponch Kar Ap Us Kay Lazawal Husan Mein Khu Jatay Hein Wahan Pakistani Kam Or Foreighner Zyda Thay...Duniya Ki 5th Or Pakistan Ki 2nd Highest Peak, Fairy Meadow Ki Valley ,Paper Tree Lake Lush Green Atmosphere Uff Meray Allah Sab Kuch Iss Qadar Haseen Kay Insani Taswar Bee Naa Ponch Paye Or Iss Kay Daman Mein Glacier Ki Awaaz Sab Kuch Anmol Tha Hmaiein Samjh A Rha Tha Kay Iss Killer Mountain Kay Logh Itnay Deewanay Qun Hein Apni Jaan Tak Ka Soda Kar Laitay Hein Par Iss Ko Milna Chatay Hein Ye Ashiqon Ki Mehbooba Or Pakistan Kaa Maan Hay Mein Ek Pakistani Hun Ye Mera Pakitan Hay Humein Khud Par Rashq Anay Laga ,,,,,,,,,Pakistan Tujhay Salaam,,,,,,,,,,,Ye Wadiaan Parbaoton Kee Shahzadiaan,,,,Pakistan Zinda Baad
 

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1197418 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.