Mein Hairat Zada Sa Iss Jheel
Ko Dekh Rha Tha Uss Kaa Neelghun Saaf Shafaaf Barfiila Pani Sarghushiaan Kar
Raha Tha Par Ye Sargoshi Kuch Khushnaseeb Hee Sun Patay Hein Mein Un Mn Sey Ek
Thaa Kuch Der Tak Tu Mein Ye Bhool Gia Kay Mein Sindh Kay Shaer Karachi Se Chala
Tha Punjab Kay Baad Kpk Pohnacha Fer Kalaam Ubh Us Se Bee 40 Km Dour Hindukash
Pahaar Kay Qadmon Mein Moujudh Sata E Samandar Se 9600 Feet Ounchi Jheel Jasay
Machlion Wali Jheel Mahodand Pukara Jata Hay Barfili Chotion Kay Daman Mein Ye
Jheel Swat Kay Mathay Ka Jhoomar Hay.Kalam Mein Noor Palace Hotel Kay Garam
Kamray Mein Swaty Ya Kalaami Kehway Kay Dhuwaein Mein Hum Apni Sari Thakan Ko
Uraa Chukay Thay Humaray Sath Moujud Farooq Jise Hum Piar Se Moulana Pukartay
Hein Un Ko Rastay Mein Anay Walay Ushoo Kay Jungel Or Glacier Se Daranay Ki
Koshish Kar Rhay Thay Kalam Ki June Ki Raat Nay Karachi Ki January Jeci Thand Ki
Chadaar Oher Li Thi Humaray Liye Ye Sardee Bee Bhut Thi Hum Nay Apna Puarana
Plan Change Kia Or Moulana Say Un Ki Sweater Ki Farmaish Kar Dali Zaher Hay
Pehlay Uss Kay Chunao Or Smartness Ki Tareef Bee Ki Werna Sweater Tu Dour Ki
Baat Moulana Nay Hamein Apna Bukhaar Bee Na Dena Tha.Safar Mein Insaan Bhut Kuch
Seekhta Hay Mesaal Kay Tour Par Apnay Pasay Kam Se Kam Kharch Karna, Kam Se Kam
Apni Jaib Se Khana, Kam Se Kam Samaan Lay Jana Dosray Ka Zayda Se Zayda Istemaal
Karna, Hotel Kay Room Kay Pasay Na Hun Tu Musafer Khanay Ki Chaarpaie Ko Apna
Hee Samajhna, Dosray Ko Sabar Ki Taqleen Karna Or Khud Moqay Se Faida Utha Laina
Agar Room Lia Hu Hotel Mein Tu Uss Mein Achay Bed Par Qabza Jama Laina Subah
Jaldi Uth Kar Washroom Mn Chalay Jana Jabh Tak Sara Garam Pani Na Khtam Hu Jaye
Jee Bhar Kar Nahana ,,,,Qun Kay Baqol Hakeem Jalebi Khan ,,Nahaya Karo Iss Se
Pehlay Kay App Ko Nahlaya Jaye.Hum Nay Ye Saray Asool Ju Ap Ki Nazar Kiye Achay
Khasay Pasay Or Safar Kar Kay Apni Masoom See Aqal Kay Supard Kiye Thay
Werna,,,Kash Hum Bee Gar Puranay Zamanay Kay Hutay Tu Ibn E Batoota Say Kia Kam
Hutay,,Kher Baat Hu Rhi Thi Jheeel Mahodand Ki Qudrat Kay Haseen Shahkaron Mein
Se Ek Nayaab Toufa Ju ALLAH Nay Pakistan Ko Bakhsha Hay Ap Wahan Par Camping
Boating Fishing Or Horse Riding Sarii Cheezon Se Lutfandoz Hu Saktein Hein Waha
Moujudh Hotelon Se Kahana Chai Saray Lawazmaat Mil Jatein Hein,,,Jabh Ap Kalam
Valeey Se Jheel Kay Liye Niiklein Tu Subah 6 Bjay Tak Hotel Chor Dein Iss Tra
Rastay Mein Mojudh Oshu Jungel ,Glacier Water Falls Or Pani Kay Chashmon Say
Apni Piaas Bujha Paien Gay Qun Kay Mera Khiyal Hay Ap Wahan Sonay Nahi Jatay Qun
Kay Sab Say Achi Neend Bas Ghar Mein Hee Aty Hay,,,,,Pakistan Zinda Baad