Eshtaharee Nosarbaaz

(hukhan, karachi)

Humaray Mashray Mein Eshtehaari Kaiee Eqsaam Kay Hein Ek Wo Jin Ko Baray Eshtahare Yeni Wardee Walay Dhundhtay Phertay Hay Un Ko Kaie Eshtaharee Tu Wardee Main Hee Mil Jatay Hein Jin Ko Wo Apna Pety Bahi Kehtay Hein Ek Or Kisam Kay Eshtaharee Wo Hutein Hain Jin Ko Model Bee Kaha Jata Hay Iss Mein Humein Tmaam Kisam Kay Logh Mil Jatein Hein Ek Eshtahari Wo Hutay Hein Ju Na Tu Madel Na Tu Khilaaree Na Hee Koi Naamwarr Shakhsiat Hutein Hein Ye Apnay Naam Kay Sath Degree Ki Jagah Serf Designation Istemaal Kartein Hein Jasay Aamil ,Professor,Baba, Ya Fer Jagah Ka Naam Likhtay Hein Jsay Kay Kala Pul Walay ,Jutay Walay,Topi Walay,Cheeni Walay Ya Khutay Walay Baharhaal Humaray Hakeem Jaelbi Khan Sahib Ko Bee Ek Dafa Ishq Hu Gia Wo Topi Baaz Ya Fer Topi Walay Baba Jee Kay Pass Gaye Jin Se Un Ko Ek Kici Pata Ya Ghaas De Ju Khnay Kay Baad Mazeed Khani Thi Jis Kay Baad Baqol Baba Ji Mehboob Un Kay Qadmon Mein Aa Kar Gerna Tha Pehlay 2 Din Tu Kuch Na Hua Abhi Jalebi Khan Saab Mayus Hunay Hee Walay Thay Kay Tesree Subah Darwaza Baja Hakeem Dourtay Huay Gertay Partay Darwazay Par Ponchay Hi Thay Kay Dhraam Se Koi Un Kay Qadmon Mein Aa Kar Gera Hakeem Abhi Baba Kay Wari Sadqay Janay Ka Soch Hee Rhay Thay Kay Unhein Shaq Sa Hua Kay Ju Sar Qadmon Mein Hay Kafi Mardana Type Hay Pata Chala Kay Un Ka Doodh Wala Mehboob Hay Ju Pechaly 6 Mahino Kay Dodh Ka Bill Mangh Rha Tha Uss Ka Israar Tha Kay Gar Hakeem Ji Nay Un Ka Bill Nahi Dia Tu Un Ki Behnsein Strike Kar Saktein Hein .Ye Eshtaharee Har Tra Kay Kaam Kar Detein Hein Halanakay Pakistan Mein Pasay Se Saray Kaam Hu Jatein Hein Par Ye Eshtaharee Zra Kam Kharch Mein Kaam Bana Detein Hein Is Liye In Kay Darbaron Mein Bhut Se Ullowon Ka Rush Rehta Hay.In Kay Eshtahaar Dekh Kar Ye Andaza Laghana Mushkil Nahi Kay Ye Dour Publicty Ka Hay Baqi Kisam Kay Eshtaharion Par Fer Kabii Baat Hu Gee,,,,Baat Niklay Gee To Dour Tak Jaye Gee,,,

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1254058 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.