Jeep Humein Tennis Ki Ball Ki
Trah Uchaal Rahi Thee Agar Is Time Ap Kay Pait Mein Gar Bar Hu Tu Jis Tra Ka
Jeep Ka Track Tha Jeep Ko Dhuna Par Jana Tha Baharhaal Aci Koi Position Nahi
Thee Raastay Ko Dekh Kar Farooq Sahib Sraray Nazaray Bhool Gaye Humari Manzil
Gilgit Se 40 Km Ki Douree Par Naltar Valley Ki Wo Lakes Thein Jin Ko Ginna Jaye
Tu 3 Banty Hein Magar Wo 3 In 1 Thein Bashkiri Lakes Nay Naltar Valley Kay Husan
Ko Dobala Kar Dia Tha Raastay Mein 25 Km Kay Faslay Par PAF SKI Kay Muqablon Ka
Maqaam Tha Yhan Lift Bee Hay Ju Kay In Muqablon Kay Liye Istemaal Huty Hay
Rastay Mn 25 Mgv Ka Hydro Power Project Bee Nazar Aya Naltar Valley Ko Pine Kay
Junglaat Nay Bhut Hee Sarsabz O Shadaab Bna Dia Hay Jheel Kay Sar Kay Oper Water
Fall Ka Mast Nazara Siaahun Kay Liye Bonus View Hay. Gilgit Se Nikal Kar 2
Ghantay Kay Safar Kay Baad Jabh Paki Sarak Ap Ka Sath Chore Dety Hay Or Jeep
Oper Ko Charna Shuro Hu Jaty Hay Iss Time Kamzoor Dil Walon Kay Liye Pahaar Wali
Side Bhut Mozon Hu Jaty Hay Or Wo Kabootar Ki Tra Safar Kar Saktein Hein Ju Ankh
Band Kar Kay Samjhta Hay Kay Billi Chali Gai Hay.Gilgit Ki China Market Mein
Farooq Sahib Nay Bhut See Shoping Ki Hum Zara Iss Naymat E Khass Se Mehroom Hein
Qun Kay Humara Demaagh Or Jaib Dono Hee Shoping Ko Pasand Nahi Kartay.Gilgit Kay
JSR Hotel Mein Naltar Ki Jheeelon Se Dour Uss Ki Yaad Sattati Hay Jis Ko
Becharay Chand Ghntay Guzray Hutein Hein Uss Time Hum Dobara Yhan Anay Ka Ehad
Karttein Hein Qun Kay Wo Aci Mehbooba Ki Tra Hay Jis Se Baar Baar Milnay Ko Dil
Karta Hay.Jabh Ap Rawalpindi Se Northern Areas K Liye Bus Mein Sawaar Hutein Tu
Raat Ko Ye Khuf Sath Huta Hay Kay Kahein Driver Ki Ankh Na Lagh Jaye Werna Pata
Nahi Humari Ankh Kaha Khulay .Baqool Hakeem Jalebi Khan Kay Bahi Safar Asa Huna
Chaiye Jis Mein Jaan U Maal Ka Khatra Na Hu Hum Bolay Agar Asa Hee Hay Tu Fer
App Se Qunkar Koi Ellajh Karwaye Ga Farooq Sahib Bhut Hee Nastaleeq Kisam Kay
Adbi Admee Hein Un Ko Khana Milay Na Milay Par Shaer Zror Milna Chaiye Kha Wo
Kici Bee Nasal Ka Hu Un Kay Nazdeek Hum Adab Kay Mamlay Mein Bhut Hee Be Adab
Hein Qun Kay Hum Shaier Or Shaer Ko Tu Hazam Hi Nahi Kar Patay Koi Mushaera Hu
Or Shaeraa Ka Munh Acha Na Hu Jis Ki Waja Se Mushaira Ka Naam Para Humari Iss
Tehqeeq Se Moulana Or Hakeem Jalebi Khan Dono Mutafiq Nahi Han Baat Hu Rhi Thee
Agar Hum Mushaera Mein Hun Tu Baar Baar Gharee Dekhtein Hein Agar Humaray Hath
Mein Na Hu Tu Sath Walay Ka Bazoo Pakar Kar Baar Baar Dekhtein Hein Ek Dafa Sath
Khatoon Tashreef Farama Thein Or Humaray Hath Mein Garhee Naa Thy Bas Iss Se
Agay Kia Btana App Khud Kai Dafa Aci Khtarnaak Sorat E Haal Se Guzar Chukay Hun
Gay.Bahi Iss Se Kia Farq Parta Hay Yee Bee Ek Aizaaz Hay Hum Na Laitay Koi Or
Lay Laita,,,,,,,,,,,Uss Ki Har Adaa Bhut Piaari Hay Wo Perosan Humari Hay,,,Ajh
Shaam Mein Roty Kay Sath Neharee Hay,,,,,Humaray Adbi Zouq Ka Ap Ko Andaza Hu
Gia Hu Ga,,,,,,,,Baaadabh Loghun Se Maazrat................Kuch Or Fazooliaat
Lay Kay Fer Hazir Hun Ga