Sharda Divi Say Miliye

(hukhan, karachi)

Mandar Ki 66 Seeriaan Chartay Huay Humari Saana Train Kay Kulay Walay Engine Ki Tra Chal Rhi Thy Sharda Divi Kay Chakar Mein Humari Ballee Charnay Wali Thy.Hum Nay 5 Km Pechay Jeep Ko Kher Baad Keh Dia Tha Ju Ubh Humein Shidat Se Yaad A Rhi Thy Dil Mein Kai Baar Socha Divi Ji Kici Asaan See Jagah Par Reh Letin Tu Kia Ghzab Hu Jata Bas Kia Kijiye Wo Devi Thein Or Hum Un Ko Dekhnay Kay Mushtaaq.Barish Thi Kay Ruknay Kaa Naam Be Na Laity Thy Moulana Farooq Nay Humein Asay Dekha Jasay Hum Nay Devi Jee Ko Yhan Mandar Rent Par Lay Kay Dia Hu Jabh Kay Asa Kuch Na Tha Hum Bilkul Beqasoor Thay Raastay Mein Water Fall Or Neelam Darya Ko Dekh Kar Moulana Shaer Par Shaer Maar Rhay Thay Shied Ghalib Kay Hun Gay Ubh Unn Par Moulana Farooq Sabh Ka Qabza Tha Ghalib Apnay Mushkil Se Milnay Walay Sarkaree Wazifay Ka Bee Lalach De Kar Ubh Ye Ashaar Moulana Se Nahi Lay Sktay Thay Sheron Ki Had Tak Moulana Ka Taluq Qabza Group Say Hay Ubh Ya Pata Nahi Kitnay Ashaaron Ki In Sahibh Nay China Cutting Ki Hay Ye Tu NAB Walay Hee Unn Say Poch Saktay Hein Hum Tu Khud Bhut Masoom Say Hein .Jabh Hum Muzafarabad Se Chlay Thay Tu Hum Nay 2 Ghntay Kay Safar Kay Baad Dhani Water Fall Ko Enjoy Kia Uss Kay Baad Hum Nay Non Stop Safar Kia Keran Tak Wahan Rest House Mein Raat Guzarnay Kay Baad Huamari Manzil Kel Say Hutay Huay Sharda Thy Neelam Darya Humaray Sath Sath Tha Neelam Mein Lakrion Se Bnaya Gya Raasta Bana Dekha Bhut Hee Anokha Manzar Jis Mein Thrill Tha Adventure Tha.Mandar Ponch Kar Pata Chla Kay Sharda Devi Moujhud Nahi Us Kay Liye Humein Kai So Saal Pehlay Ana Chaiye Tha Bas Uss Mandar Kay Khandhraat Thay Jis Se Pata Chal Rha Tha Kay Wo Bhut Zyda Khufnaak Na Hu Gee Koi University Kay Asaar Bee Thay Iss Mein Koi Shak Nahi Sharda Bhut Khubhsurat Valley Hay Jungel Darya Chashmay Water Falls Lush Green Peaks Sab Kuch Anmol Tha Dil Mein Ehad Kia Mn Fer Bee Aon Ga Baar Baar Aon Ga Hazaar Baar Aon Ga INSHALLAH....Pakistan Teray Har Angh Ko Har Rangh Ko Salaam,,,,,,,,,,Pakistan Zinda Baad

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1253794 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.