Khabardaar Cameray Ki Aankh Dekh Rahi Hay
(hukhan, karachi)
hukhan,writer,author,tourist
Hum Hairaan Hu Rahay Thay
Humaray Ek Dost Bhut Hee Afsurda Nazar Aa Rahay Thay Waja Pochi Tu Kaha Bahi Kia
Kahun Bhut Hee Bari Uftaad Aan Pari Hay Jabh Say Karchi Kay Bazaaron Sarkon
Chouraahun Par Ye Sighn Board Likh Dia Gia Hay Khabar Daar Cameray Ki Annkh Aap
Ko Dekh Rahi Hay Humari Begum Ghanton Lagaty Hay Tyaar Hunay Mein Qun Kay Un Ko
Poraa Yaqeen Hay Kay Ye Cameray Ki Ankh Unn Ko Hee Dekh Rahi Hay Kaie Dafa Tu Wo
Baqaida Parlour Say Tyaar Hu Kar Ghar Say Nikli Qun Kay Un Ko Kaie Asi Jagah
Jana Tha Jahan Ja Bja Cameray Thay Hum Bolay Pehlay Tu Shadi Bia Mein Movie
Cameron Ki Waja Say Shohar Bechara Iss Emtteahaaan Say Manhina Mein Ek Adh Baar
Hee Guzarta Tha Par Ubh Tu Had Hu Gai Hay Har Roz Kamo Besh Ye Hee Sorathaal Hay
Kher Un Ki Begum Hum Say Wsay Bee Naraaz Hee Rehtein Hein Qun Kay Unnn Ka
Khiyaal Hay Kay Un Ka Shohar Bhut Heee Masoom Hay Baqi Ju Bee Unn Mein Burraiyan
Hein Wo Humaree Dosty Ki Waja Say Hein Ek Dafa Hum Kici Waja Say Un Kay Shaohar
Kay Humraa Bazaar Mn Thay Tu Bahbhee Nay Poch Lia Ye Ladies Jutay Or Methaiee Ki
Dukaan Qun Kar Sath Sath Hein Unn Kay Mazloom Shohar Or Humaray Dost Nay
Masomiat Say Huamari Taraf Dekha Hum Tharay Aflaatoon Jhat Say Bol Dia Bahbhi
Dono Hee Khanay Ki Cheezein Hein Shadee Say Phlay Banda Methaiee Khata Hay Baad
Mein Jutay,,,,,,,,,,,,Bas Humara Jawab Unhein Bilkul Pasand Naa Aya Humaree Waja
Say Humara Dost Ghar Tak Daant Sunta Gia,,,Baat Hu Rahi Thee Cameray Ki Ankh Ki
Ju Kay Security Wajoohaat Ki Bina Par Laga Diye Gay Hein Chalo Mujh Saa Banda
Bee Ubh Ghar Say Nikaltay Huay Kam Say Kam Ount Marka Sabun Say Munh Tu Dhu Hee
Laita Hay Medical Science Research Kar Rahi Hay Kay Cameray Mn Kab Say Ankh Ka
Izafa Kia Hay Du Teen Doctors Nay Complain Bee Ki Hay Kay Ubh Mbbs Kay Douraan
Humein Cameray Ki Ankh Kay Baray Mein Bee Paraya Jaye Koi Saa Marz Or Mareez
Kici Bee Time Aa Sakta Hay Doctor Ko Sab Kuch Pata Huna Chaiye Pata Nahi Kia
Waja Hay Kay Cameray Ki Ankh Mein Wo Asar Nahi Hay Jis Say Crime Kam Hu Sakein
Qun Kay Crime Rate Wesa Hee Hay Balkay Or Izafa Hu Gia Hay Shaied Crimnals Ko
Bee Cameray Ki Ankh Ka Tara Ban Janay Ka Shoq Hu Agar Hakomaty Agencies Thora Sa
Explain Kar Detein Tu Crime Rate Kam Hu Sakta Tha Jasay Helmet Na Pehniye Isstra
Ap Ka Face Nazar Nahi Aye Ga ,Naha Dhu Kar Wardaat Kijiye Werna Rishta Nahi Aye
Ga, Brad Pit ,Tom Cruise ,Laeonardodecaprio,Bruce Willis Sab Cameray Ki Ankh Ki
Waja Say Ajh Hollywood Par Raj Kar Rhay Hein Cameray Ki Ankh Ko Ghore Say
Dekhiye Iss Kay Side Effects Bilkul Nahi.Kuch Is Tra Say Crimnals Ko Motivate
Karnay Say Yaqeenan Iss Ki Effadiyat Bar Sakty Hay Kher Humara Kaam Tu Advise
Dena Hay Koi Maanay Naa Manay Ye Uss Kaa Naseeb.