Uff Ye Mehanghaee
(hukhan, karachi)
hukhan,writer,author,tourist
Aap Soch Rahay Hun Gay Hum Koi
Maher A Mashiyaat Hein Asa Kuch Nahi Hum Bee Ap Ki Tra Kay Ek Saref Hein Ju Iss
Kambakht Mehanghaee Kay Hathon Bahut Tangh Hein Ubh Tu Kuch Khanay ,Pehnay Ko
Dil Hee Nahi Karta Magar Kia Kijye Kay Majhboori Hay Ap Ko Khana Bee Hay Or
Pehana Bee Hay Bas Phlay Sab Kuch Branded Huta Tha Ubh Unbranded Bee Chalta Hay
Pehlay Murghee Mein Shorba Huta Tha Ubh Shorbay Mein Murghee Dhundee Jaty Hay
Jis Tra Du Mullaown Mein Murghee Haraam Hu Jaty Hay Isi Tra Ajh Kal Mehnghaee
Mein Murghee Napaid Huty Jaa Rahi Hay Ubh Tu Shadion Kay Khaano Mein Bee Wo Baat
Nahi Rahi Kahien Oily Hay Tu Kahien Merchi Zayda Mein Tu Dar Raha Hun Kay Kahien
Anay Walay Waqton Har Cheese China Ki Hee Na Hu Jaye Dulhan China Ki Disposible,
Dulha Plastic Ka Jaha Say Tot Jaye Magic Depoxy Say Jor Lia Sabziaan Ju Ajh Kal
Gosht Say Bee Zayda Rate Par Hein Wo Bee China Say Na Import Huna Shuro Kar Dee
Jaien Pata Chala Moli Mn Sab Kuch Hay Par Wo Moli Jeci Tursh Hee Naa Hu
Mehanghaie Ka Jin Hay Kay Kici Kay Qabu Nahi Ata Ek Baba Ji Nay Ek Jin Ko Qabo
Kia Us Say Kaha Mehanghee Ko Qabu Karna Hay Wo Bola Aqaa Mein Tu Khudh Kohe Qaff
Chor Aya Mehngae Ki Waja Say Meri Bv Kici Insaan Kay Sath Bhagh Gai Mujh Par
Insaano Kay Baray Ehsaan Hay Werna Mein Roz Roz Bv Ki Farmaishon Ki Waja Say
Maqrooz Hu Gia Tha .Humaray Jasay Mehnghae Kay Maron Ki Tasali Kay Liye Bhut Say
Plan Kiye Gaye Jasay Dhamakaa Sale,Bye 1 Get 1 Free,Naya Puranay Kay Daam
,Purana Du Naya Lo,Aieye Dekhiye Dekhnay Kay Koi Pasay Nahi Magar Kuch Bee
Kargar Nahi Jaib Ko Phlay Say Zayda Gehra Zakham Ata Hay . Ghreeb Bee Kia Karay
Hakoomat Kehty Hay Ye International Saazish Hay Jabh Kay Hum Samjhtay Hein Ye
Saazish Nahi Ameeron Ki Kharish Hay Ju Khatam Hu Kay Nahi Dety Shohar Ko Bv
Tangh Karty Uss Ki Jaib Ki Sare Shaam Ya Din Deharay China Cutting Kar Dee Jaty
Hay. Daku Sasta Mobile Bee Nahi Chortay Dakown Ka Bee Standard Bhut Ger Gia Hay
Shareef Tu Shareef Dakowaon Ki Bee Iss Mehngaee Nay Qamar Tor Dee Hay Wo Bee
Mehngae Ka Rona Rotay Rehtay Hein 1 Daku Bola Pehlay 1 Ya 2 Dacateon Say Kaam
Chal Jata Tha Ubh Aye Roz Ka Decoty Marna Bhut Mushkil Kaam Hay Banda Zehni
Jismani Tor Par Thak Jata Hay Oper Say Police Ko Decoty Ki Asal Raqam Ka Pata
Chal Jata Hay Un Kay Hisay Mein Bee Ubh Dandee Marna Asaan Nahi Raha ,,Koi
Batlaye Kay Hum Bhula Kis Say Faryaad Karein ,,,,Bas Ek Sabar Hay Jis Kaa Daman
Thamay Baithay Hein