Uff Ye Shaeri

(hukhan, karachi)

Muni,Sheela,Dard E Disco Jabh Say Humaray Kano Mn Ye Shaeri Pari Hay Sara Maiel Kano Say Baher A Gia Doctors Nay Jin Kamon Say Ya Elaaghun Say Jawab De Dia Tha Wo Kaam Iss Shaeri Numa Dhamkion Nay Ba Asanii Kar Dia Pata Nahi Munni Kon Hay Ya Fer Sheela Keci Hay Humein Kuch Khabar Nahi,,,, Unnka Khiyaal Atay Hee Dil Jhoomnay Laghta Hay Pata Nahi Un Dono Ko Ye Sab Kasa Laghta Hay.Aci Tabahkun Shaeri Kay Muzer Asraat Ki Waja Say Marhoom Shuraae Qaraam Ka Bus Chalay Tu Qabar Say Nikal Kar Ehtajhajh Kartay Wo Tu Fareshton Nay Un Ko Tasali De Rakhi Hay Kay Anay Du Ek Ek Sher Ka Hesabh Lain Gay Werna Tu Baat Bhut Bar Jani Thee.Pata Nahi Munni Or Sheela Kay Ghar Walon Par Kia Guzarty Hu Ge Qun Munni Badnaam Huay Ja Rahi Hay Dosree Say Apni Jawaani Nahi Sanbhali Jaty.Pehlay Dard Kia Kam Thay Kay Ek Naya Wajood Mein Aa Gia .Medical Science Phlay Hee Mojhuda Dardon Kay Pechay Pareshan Thy Lakhon Khrach Hu Rahay Thay Ubh Naya Dard E Disco Bee Aa Gia Ye Koi Merasee Type Dard Hay Doctron Kay Bas Ki Baat Nahi Ya Fer Gangha Raam Hospital Walay Nach Nach Kar Hee Ellajh Kar Paien Wo Zara Vakhree Type Kay Maseeha Hein .Ubh Dekhtein Hein Konsi Shaeri Ki Kisam Market Mein Aty Hay Jis Say Soch Or Fiqar Kay Naye Zaviye Paida Hun Likhnay Walon Ka Koi Bhorsa Nahi Kay Ubh Meena Teena Dard E Huqa Kuch Bee Nazil Hu Sakta Hay Humaray Kano Ko Har Kisam Ki Shaerri K Liye Tyaar Rehna Hu Ga Iss Kay Liye Kano Ko Excercise Karwana Hu Gee Jasay Saas Kay Tanay,Bv Ki Daant,Boss Ki Dhamkian Ya Fer Pakistani Police Ki Gaalian Jis Say Kaan Itnay Dheet Hu Jatay Hein Kay Achi Buree Awaaz Ka Farq Khtam Hu Jata Hay Balkay Gadha Bee Sureela Laghta Hay.Kher Insaan Ko Achay Umeed Rakhni Chaiye Anay Wala Waqt Adab Kay Liye Acha Hee Hu Ga Beadab Kisam Kaa Adaab Zara Zara Kam Hu Jaye Ga Ya Fer Hum Sab Muni Sheela Yaa Pher Uss Halwaei Ki Shaeri Jasay Jalebi Bai Kay Fan Hu Jaien Gay. Ye Bee Achi Baat Hay Ubh Halwaei Hazraat Bee Time Nikal Kar Shaeri Kar Rahay Hein Werna Inn Ko Milawat Say Kabi Fursat Hee Nahi The.

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1254076 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.