Mein Or Meri Cycle
(hukhan, karachi)
hukhan,writer,author,tourist
Cycle Bee Kia Lajwaabh Cheeze
Hay Mein Kehta Hun Jis Nay Cycle Nahi Chalaie Wo F18 Bee Uraa Lay Tu Wo Bat Wo
Maza Nahi Ye Meray Bachpan Ka Pehla Piaar Tha Dosra Piaar Na Hunay Ki Waja Bee
Cycle Hee Hay .Du Pahion Ki Ajeeb Kahani Hay Meri Cycle Zara Puraani Hay Wesay
Tu Jabh Hum Nay Cycle Chalana Shuro Ki Tu Poray Muhalay Mein Ek Dhoom Mach Gai
Har Traf Humaree Cycle Ka Charcha Tha Wesay Tu Wo Ek Mukamal Cycle Thee Bas Us
Mein Ghantee,Break Or Seat Naa Thee Fer Bee Humaray Liye Wo Ek Jeewan Sathi Ki
Tra Thee Hazrat Kia Hua Ju Seat Na Thee Yun Samjh Lijye Uss Mein Kursee Naa Thee
Hum Nay Bachpan Say Sun Rakha Tha Kay Kursee Ya Seat Kici Ki Nhi Huty Fer Hum
Qun Kar Bhula Asee Bewafa Cheeze Ko Rakhtay Break Kee Bee Humein Koi Zarorat Naa
Thee Kici Bee Khatoon,Deewar,Darakht,Ya Foot Path Say Rok Lia Kartay Thay Wesay
Bee Jasay Jasay Loghu Ko Pata Chalta Gia Humein Kici Ko Bee Bachanay Zaraa Beei
Zarorat Naa Thee Har Koi Har Time Hushiyaar Rehta Kab Hum Cycle Ki Shahi Sawaree
Par Baraajhmaan Hu Kar Baher Niklein Sab Becharay Agay Kam Pechay Dekh Kar Zayda
Chaltay Kay Humari Cycle Kici Bee Time Un Par Hamlaawar Hu Sakty Thee Bhut Say
Logh Hamaree Cycle Kay Khouf Ki Waja Say Agay Kam Or Peechay Zayda Dekhnay Lagay
Thay Iss Tra Wo Humaree Cycle Kay Zakhmon Say Tu Bach Gaye Magar Ganday
Badboodaar Gatron Ki Nazar Hu Gaye Kher Jis Ko Apni Jaan Piari Thee Wo Humaree
Sawaree Kay Time Ghar Say Nahi Nikalta Tha Kai Logh Tu Itnay Khufzada Thay Kay
Ghar Kay Gate Bee Band Rakhtay Thay Kahein Asa Na Hu Kay Humaree Cycle Un Kay
Bedroom Tak Na Pohanch Jaye Barhaal Humaree Cycle Ki Drive Ka Dor Dor Tak
Charcha Bas Yun Samajh Lijiye Kay Har So Ruswaie Thee Hum Nay Samjha Ye Hee
Humaree Umar Bhar Ki Kamaiee Thee.Baat Thi Cycle Ki Ghanty Na Hunay Ki Uss Ki
Kaja Humein Zarorat Naa Thee Jabh Humaree Puraani Cycle Chalty Thee Tu Uss Mein
Say Asee Awazein Aty Thein Kay Jasay 2 Malkon Ki Jangh Hu Rahi Hu Ye Tezi Ki
Awaaz Thee Humaraee Cycle Ki Awaaz Mn Taan Sen Wali Variety Thee Slow Mn Asee
Awaaz Jasay Bacha Ro Rha Hu Zaara Speed Par Asee Garjhdaari Jasay Muhalay Mein
Badrhoon Nay Hamla Kar Dia Hu Kabi Tu Asee Awaaz Bee Aty Thee Jasay Koi Nai
Nasal Ka Singer Gaa Raha Hu Uss Time 4 Ya 5 Singers Ki Yaad Anay Laghty Thee Yun
Samajh Lein Chalta Pherta Ya Mobile Concert Ka Maza Ata Tha.Kher Kai Khawateen
Nay Aa Kar Shikyat Ki Kay Cycle Mn Uss Kay Mejazi Khuda Jeci Awaaz Aty Hay Baar
Baar Gali Mein Jhankna Parta Hay Jis Ki Waja Say Samanay Wali Manhoos Perosan
Say Nazar Mil Jaty Hay Jis Ki Apni Nazrein Apus Mein Nahi Meltein Yani Kay Wo
Bhanghee Hein Kahien Par Nighaein Kahien Par Neshana.Fer Kabi Mn Ap Ko Cycle
Lift Dun Ga Jabh Tak Mein Zara Cycle Ko Nahla Dhula Dun.