Zara Hut Kaya

(hukhan, karachi)

Humaree Khushnaseebi Hay Kay Humaray Haan Sab Kuch Baqi Duniya Say Hut Kar Huta Hay Yun Keh Lein Kay Humaray Kartoot Baqiya Duniya Say Bhut Hut Kar Hein Yaha Jis Ki Lathee Uss Ki Behns Wala Mamla Zara Zayda Hay Ajh Kal Karachi Mein Baldiyati Election Hu Rahay Har Khas O Aam Ko Awaam Ki Fiqar Lahaq Hu Gai Hay Banda Ghar Mein Ghusta Nahi Hay Darwaza Bajhna Shuro Hu Jata Hay Qun Kay Loghun Ko Ilm Hay Ka Janay Bijli Hu Na Hu Khamakha Time Zaya Hu Ga Seeda Darwaza Hee Baja Detay Hein Hakeem Jalebi Khan Nay Tu Ghar Kay Baher Borad Laga Dia Hay ,,,Ghar Kay Makeen Jaa Chuckay Hein,,,,Subah Isi Board Kay Nechay Likha Hua Tha Fer Pechli Kherkee Say Kon Ata Jata Hay.Galion Mein Light Bee Theek Ki Jaa Rahi Hay,Pani Na Sahi Uss Kay Waday Zor O Shor Say Kiye Jaa Rahay Hein,Har Shaks Ka Dawaa Hay Kay Wo Ap Ko Bachpan Say Janta Hay Aap Kay Har Gham Har Khushi Mein Shareek Huta Raha Hay Koi Khta Hay Vote Uss Ki Amanat Hay Koi Khta Hay Aap Ka Vote Tabdeli Ki Zamanat Hay Bas Har Cheese Hut Kar Har Dawa Bilkul Sacha Nazar Ata Hay Par Uss Kay Baad Sab Kuch Pehlay Jasa Ya Uss Say Bee Burra Hu Jata Hay.,,Bechara Voter Baad Mein Ye Hee Gata Nazar Ata Hay,,,,,Ankhion Kay Jhrookon Say Mein Nay Dekha Ju Khabh Ray,,,,Fer Tum Nazar Hee Nahi Aye.Ajh Kal Bhut Ronaq Maila Hay Meetings ,Flags Or Bhut Saa,Shor Sharaba Hay Ghar Kay Baher Umeedwaron Ki Line Laghy Rehty Hay Ek Jata Hay Dosra Aa Jata Hay Hum Sab Ko Ek Dam Say Azeez Hu Gaye Hein Werna Humein Tu Ghar Mein Bee Koi Nahi Pochta.Meetings Mein Apni Apni Partion Kay Leadron Ko Bara Chara Kar Pesh Kia Ja Raha Hay Tareefon Kay Itnay Pull Kay Shaied Itnay Pull Newyork Mein Bee Nahi Hun Gay.Ap Ki Nani Dadi Saas Koi Bee Naraaz Hay Tu Ye Ap Kay Sath Un Ko Bee Mananay Jaa Saktein Hein Ajh Kal Sub Zakoota Jin Banay Huay Hein Yhan Ap Nay Apna Masla Bola Nahi Wo Palakjhupktay Masla Hal,,,Har Wada Wafa Kerin Gay Hum Wo Nahi Ju Aap Ko Ruswaa Karein Gay,,,,,,,,,,,,De Kar Dekhu Vote Humein Din Ko Raat Or Raat Ko Shab E Baraat Kerein Gay.Bahi Ap Vote Zror Dijye Ga Magar Mamol Say Hut Kar Umeed Naa Rakhiye Ga Meray Jasay Kici Danishwar Nay Kaha Tha Kay Naa Umeedi Say Bachnay Kaa Ek Hee Rasta Hay Kay Kici Bashar Say Umeed Hee Naa Rakhua

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1254392 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.