Adab Or Athlete Mein Bhut Farq
Huta Hay Magar Ajh Kal Adab Bee Dourta Hay Balkay Ubh Tu Ye Puncture Bee Hu Jata
Hay Iss Ka Chalaan Bee Hu Jata Hay Kabi Kabi Ulat Bee Jata Hay Ap Pareshaan Na
Hum Aap Ko Shaer Say Samjha Detay Hein,,,,,Ek Din Mein Bee Sahib E Deewaan Hun
Jaon Ga Pora Dewaan Recksahw Par Hee Print Karwaon Ga.Public Transport Par
Likhay Gaye Ashaar ,Hiqayetein Humaree Qom Ki Ilm Dosty Ka Munh Bolta Saboot
Hein Painter Hazraat Nay Loading Trucks Par Pora Jungel Abaad Kar Rakha Hay.
Humaray Juglon Or Zoo Mein Itnay Janwaar Nahi Hein Jitnay Inn Dourtay Phertay
Truckon Par Nazar Atay Hein.Maa Ki Dua Janat Ki Hua,,,Papo Yaar Tangh Na
Kar,Kafeeel Bahi Laeft Arm Spin Bowler,Himat Hay Tu Pass Kar Werna Intezaar
Kar,,Driver Ki Zindghee Bee Ajab Khel Hay Mout Say Bachay Tu Central Jail
Hay,,Iqbal Ki Khudi Ko Chore Drivery Mein Naam Paida Kar,,,Kabi Kabi Meray Dil
Mein Khiyaal Ata Hay Patoki Say Pehlay Sahiwaal Ata Hay,,,Ye Or Asay Bhut Say
Awaami Adbon Say Humaree Transport Bhuree Pari Hay Ye Chalta Pherta Adab Asay
Loghun Kay Zahnu Ki Takhleeq Hay Ju Zayda Paray Likhay Nahi Magar Wo Iss Mashray
Ka Eham Hisa Hein .Humaree Duniya Say Alagh Lohay Or Ranghun Say Wo Apni Kitabi
Taskeen Pori Kar Laiatay Hein Jin Say Un Ko Zahni Asodghi Milty Hayor Iss Tra Wo
Baqi Mashray Ko Ek Peghaam Detay Hein Jis Mein Husla,Sakoon Or Hidayaat Hutein
.Kuch Logh Apnay Dukh Bee Iss Mein Biaan Kar Detay Kuch Publicity Kay Hasool
Mein Kamiyab Hu Jatay.Painting Kay Shoqeen Apni Gari Ko Art Gallery Ki Tra Pesh
Kartay Or Jasay Hee Ek Say Dil Bharr Jaye Tu Koi Nai Painting Banwa Kar Uss Kay
Nazaaray Laitay Kabi Urnay Wala Ghora Kabi Share Kabi Kici Haseena Ki Ankhein
Bana Kar Apnay Shoq Ka Izhaar Kartay Kuch Tu Apni Pasandeeda Heroine Ya Singer
Ko Hi Paint Karwa Laitay.Ye Chaltee Phertee Art Galaries Or Deewaan Humaree High
Ways Ki Zinda Ronaqay Hein Jis Ki Waja Say Safar Mein Rangh Bhrnay Laghtay Hunay
Balkay Iss Mein Dilchasbee Ka Ansar Bee Shaamil Hu Jata Hay.