Kabi Ek Filmi Dialogue Sunna
Tha ,,,Tareekh Par Tareekh Ubh Ye Tuu Yadasht Say Jaa Raha Hay Par Hum Pakistani
Pervaiz Musharaf Ki Wardee Wali Jamhooriat Hu Ya Ppp Ki Awaami Hakoomat Ya Noon
League Hu Ju Kay Awaam Kay Dukh Dard Mein Doobhee Hui Metro Jamhoriat Ki Malik
Hay Ye Sab Musalsal Tax Par Tax Walay Haqeeqee Dialogue Ki Zadd Mein Hein. Ishaq
Dar Serf 40 Arab Kay Naye Tax Laga Diye Sath Ye Bee Keh Dia Ye Sab Important
Items Hein Iss Liye Aam Awaam Ya Dosray Lafzon Mein Ghreebon Ko Iss Say Koi Farq
Nahi Paray Ga Hakoomat Ghreebon Kay Gham Mein Iss Qadar Dubhli Hui Jaa Rahee Hay
Kay Uss Ki Qamar 52 Inch Say 25 Inch Hu Gai Hay Chalo Metro Hakoomat Nay Adnan
Sami Khan Say Kuch Tu Seekha.Magar Iss Malta Train Wali Hakoomat Say Jalnay
Walay Kehtay Hein Kay Ye Sab Kashkool Kay Size Ki Waja Say Hay Laghta Hay Aap Ko
Baat Samaajh Nahi Aa Rahi Bahi Baat Hay Kay Ye Sab Imf Ki Farmaishein Pori
Karnay Kay Liye Kia Jaa Raha Hay Ubh Hakoomat Kay Pass Itna Faltu Time Tuu Nahi
Kay Wo Tax System Ko Up Grade Karty Pharay Yaa Pher Mehnghee Mehnghee
Metroz,Maltaa,Solar Power Project,Nandipur Ko Khatam Kar Day Ya Pher Corruption
Khtam Karnay Kay Chakar Mein Par Jaye Yaa Allah Na Karay Apnay Shahee Ekhraajaat
Mein Hee Kami Kar Day Bas Ghareeb Ki Patli See Gardan Dabochu Or Easy Way To Run
The Amazing Good Governance Tax Par Tax.Make Up Par Tax Mazeed Laga Denay Say Un
Khawateen Par Behad Zulm Kia Gia Hay Ju Sotay Huay Bee Make Up Kar Kay Soty Hein
Iss Tra Wo Khaabh Mein Be Khubsorat Nazar Anay Ki Koshish Kartein Hein Qun Kay
Bina Make Up Kay Un Kay Apnay Bachay Bee Dar Kar Perosan Ki Godh Mein Ghuss
Jatay Hein.Ubh Asa Tu Mumkin Nahi Kay Tax Ki Waja Say Buzargh Numma Larkiaan
Make Up Adhaa Karna Shuro Kar Dein Bhulla Ek Hont Par Lip Stick Ek Ankh Mein
Kajal Ek Gaal Par Bulsh On Adha Munh Chand Sa Adha Munh Bijli Ki Loadshading
Jasa Ye Tu Bhut Hee Ajeeb Saa Tasur Paida Karay Ga Hum Iss Kay Haq Mein Bilkul
Nahi.Hum Wasooq Say Keh Saktein Hein Hakoomat Jald Hee Zananaa Voton Say Mehroom
Hu Saktein Hein Ju Humaray Mulk Ki Abaadee Ka 52 Percent Hein.Baharhaal Hakoomat
Ko Chaiye Kay Iss Awaam Ko Izat Say Zinda Rehnay Ka Haq De Dein ,,,,Mein Tu
Pehlay Hee Dobha Hua Hun Qun Mujhay Samandar Burd Kartay Hu